Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12602
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera swal yeh hy k kya shohar sy sex k baad orat ghusal krty wqt poory sar ka dhona lazim hy?? Long hairs ki wajah sy masla hota hy hr roz sar ka dhona.

Answer: Poray sar ko dhona wajib hai or ghusl main on cchote chote baalo ko jo badan ka jjuuz shumaar hote hoon dhona zarori hay or lambe baalo ka dhona wajib nahi hay .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 360). [Updated on 07-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12703
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar tang par pati bhandi ho to phir gusal kesy lety Hain

Answer: Agar badan per zakham ya phora ho tu ghusal ya tayamum ka ikhtiyar hay .agar wo ghusal ko ikhtiyar karta hay or zakham ya phore par jabera (patti ,dawaae ) tu ehtiyat mustahab ( behter )ye hay ke zakham ya phore par paak kapra rakhe or is kapre ke upper masah kare .agar badan ka koi hissa tota hoa ho tu zarori hay ke ghusal kare or ehtiyatan jabira ke upper madah bhe kare or agar jabira par masah karna mumkin na ho ya jo jagha toti hoe ho wo kholi ho tu tayammum karna zaroori hay . [Updated on 16-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12764
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o alaikum... Mera swal ye hai k hmara nikah hua hai rukhasti 1 saal baad hai. Mere r mere husband k darmyan rat ko kuch aisi batain hoti hain jis se pani nikalta hai.. Usse na susti nhi hoti pta b nhi chalta kya ghusal faraz h

Answer: Wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos krta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil kri hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-345) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12785
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya baal saaf kiye baghair haiz ka ghusal ho jata gai?

Answer: 1)G han baal saaf kiye bagair Ghusl ho jata hai. Aurat k haiz se paak ho janay k baad is per wajib he k namaz aur is jaisi doosri ibadaat jinhain wuzu , ghusl , ya tayammum k saath ada kerna zarori hay ghusl-e-haiz karay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 456 , 360-365) 2)Riwayat k mutabiq puray badan par noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. Aur Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey yani badan ke baal katay.(Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12791
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shirf dil me khayal aane se jo mani jesa katra aaye usse bhi gusal karna padega

Answer: Mard ki sharam gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo nah hi pishaab hoti hain or nah hi mani wo ye hain 1-wadi, 2-mazi, 3-wazi or ye teno paak hain na in se wazo totta hai or na hi ghusl wajib hota hai Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref: Ayatullah sistani d b tauzeehul masail edition 41 maslah#70). [Updated on 10-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12793
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera 2 sawal hai 1. Agr khwab ganda aye to gusul krna xruri hai? Or gusl mai nahana hota ha to sar sy nahana hai kya?? 2.. Kin kin halato mai sar sy nahany sy gusul hota or kin mai srf badan sy nahany sy gusl hota hai

Answer: 1)G nahin sirf ganda khuwab dekhne se insan par gusl wajib nahin hota balke Mani nikalny sy insan par gusal wajib hojata hai chahay mani kam ho ya ziada aur nend mai nikli ho ya jaghtay hue. aur namaaz or is jesi ibadatoo ke liye gusal karna wajib hai aur gusl ka aik khas tareeqa hai. Ghusl ka tareeqa : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)dafee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobarah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#344,356,360,365) [Updated on 19-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12811
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera pao xahmi h . 2weeks ka plaster laga hwa h . Is doran janabat hoy. To ghusal kasy karo . Jubky Mera pao pir plaster h??

Answer: Ghusl e mayyit k ilawa tamam qism k ghuslo mein jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hay keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaey aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyam mum karna zarori hai (Ref: Ayatullah seestani d b tauzee hul masael edition#41, mafhoom e maslah#338). [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12834
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum mera sawal ye hai ke jab mai apni biwi ke saath letta hu ya sota hu to lesdaar katre nikal jaate hai to kya isse napaki ho jayegi gusl karna padega

Answer: Wo ratoobat jo shehwat angez khayalat k wqt insan apni sharmgah men mehsoos karta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil kari hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344-345) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12846
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nail k nichy mail lagi ho gusal karny k bad nazer aye to kya gusal theek hai ya dobara kiya jaye

Answer: Agar nakhun mamool sai ziada barhay huay hon to jitna hissa mamool sai ziada barha hua hai is k nichay sai mail nikalna zaroori hai take pani khal tak pohnch jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41 edition, mafhoom e maslah # 376,377) [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12852
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya nikah se phle nahana zaruri h? Agr kisi ldhki ka nikah h to Kya zaruri h ki wo nhaye?

Answer: Zaroori nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2335). [Updated on 16-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!