Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12871
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar istabra na kiya ho sirf peshab kar k gusal jnabat kar liya jaye or bad main gusal mukamal kr k kuch dair bat koi ratobat nikly to gusal bati hai dobara karna ho ga ya nhi

Answer: Agar istibra nah kia ho or ghusl e janabat k baad koe mashkook rutubat kharij ho jis k baare main ehtimaal ho keh mani hay ghutu ghusl e janabat dobora karna hoga. [Updated on 14-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12882
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asallam o alaikum. Agr ghusl ke baad shak ho jaye k kahi jism ka koi hissa khushk tou nhii reh gaya tou kia hukum hai.

Answer: Agar aap buhat ziyada shak karte hain aur waswasay ki beemari main mubtala hain tu aap ko shak ki parwa nahi karna chahiye aur apnay aamaal ko durust samajhna chaie. Agar ghusl ke baad koi janta ho ke sar or gardan ko dhoya hai lekin shak kare ke us ka ghusl sahi tha ya nahin or seht e ghusl ki sharait ki riayat ki hai ya nahin to dobara ghusl karna zaroori nahin hai, is ka ghusl sahi hai agarche ghusl ke waqt ghusl ke sahi hone ki sharait ki taraf mutawajjah nahin tha or gaafil tha, (A.Sistani I-49, tuiziulmasail Jame ). [Updated on 24-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12993
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Galti se mobile galt photo dekhne ghusak nhi toota hai na

Answer: Jee nahi is sai ghusal batil nahi hota.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 384). [Updated on 28-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Only porn dkhne se gusal farz hota hai ya nhiii...semen nhii nikla hai..

Answer: 1-Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna beghair shewat k bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82). 2-Porn video ko dekhnay sai ghusl wajib nahi hota hai. Haan agar mani kharij ho jaay to ghusl janabat wajib ho jata hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). 3-Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. Wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rakhti hai, wo najis bhi hai aur us k nikalnay par ghusl kerna wajib hai laikin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,80,343,345). 4)Agar koi shaadi na karnay ki wajah sai fail e haraam mai mubtilaa hota ho tou us par shaadi karna waajib hai.(Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 2407) [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13087
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ghusal k doran wazo na kia gayay to gusal ho jata hai

Answer: Is website per fiqh e jaferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain. Jis shaks ne ghusl e janabat kia ho zaroori hai k namaz k liye wuzu nah karay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah # 389). [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13088
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام علیکم میں غسل کرتے وقت سب سے پہلے ناپاکی کو صاف کرتا ہوں پھر نیت کرتا ہوں پھر کولی کرتا ہوں پھر نال میں پانی ڈالتا ہوں پھر سر کا مسح کرتا ہوں وضو نہیں کرتا تو ایسے میرا غسل ہو جاتا ہے

Answer: Is website per fiqh e jaferiya k mutabiq jawabaat diay jaate hain. Jee nahin is tarh ghusl nahin hota, Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohanchaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobara say dhoo dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13103
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar sex Yar agrazi tasavir dhekhnay waqt shramga active ho Jaye or is sey Koch chiknahat (lasedaar) Koch niklay to wo najis hai or khusul wazib ho ga?

Answer: 1-Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shehwat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna beghair shehwat k bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82). 2-Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. Wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rakhti hai, wo najis bhi hai aur us k nikalnay par ghusl kerna wajib hai laikin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,80,343,345). [Updated on 07-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13104
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar sex Yar agrazi tasavir dhekhnay waqt shramga active ho Jaye or is sey Koch chiknahat (lasedaar) Koch niklay to wo najis hai or khusul wazib ho ga?

Answer: 1-Jinsi film (sexy video) ya (sexy) tasaveer ko shewat k sath nazar karna haraam hai balke Ehteyat wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna beghair shewat k bhi haram hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, roza, sawaal # 166,pg:82). 2-Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. Wo liquid jo sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust ho jae tou wo mani ka hokum rakhti hai, wo najis bhi hai aur us k nikalnay par ghusl kerna wajib hai laikin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70,80,343,345). [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13127
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera sawal ye hai k mein mazi ko kase khtam kr skta hin.. Halan k jb mein baat krta hon to mein dil mein ghalat khayal bhi ni lek aata.. Pher bhi mazi nijal aati hai... Sir plzz koi islamic tareka batai

Answer: Wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai, aur is halat mai jab k mazi pak hai to yaqeenan jism or kapron ko najis nahi kregi lehaza namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) [Updated on 06-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13138
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir mewra sawal ya tha ky sharam gah ky bal gandam ky dany k barabar thy aor balo par iasi chez lagi thi ka os ki wwajah sy pani bal tak nahi pohnch pa raha tha to kiya ghusal sahi howa hy ya nahe

Answer: 1-Jo cheez badan tak paani puhnchne main maane (rukawt) ho zaroori hai ke insan use hata de aur agar us ke hat jane ka yaqeen karne se pehlay gusl kare to us ka gusl batil ( sahe nahe) hai. 2-Gusl main un chhote chhote baalon ka dhona zaroori hai jo badan ka juz shumar hotay hain aur lambay baalon ka dhona wajib nahin hai balke agar paani ko jild tak is tarh puhnchaye ke lambay baal tar na hon to gusl saheeh hai lekin agar unhain dhoye bagair jild tak paani puhnchana mumkin na ho to unhain bhi dhona zaroori hai taake paani jild tak puhnch jaaye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #376,378). [Updated on 21-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!