Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 13144
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam u alaikum mera swal ye hy main ny ghusal kr lea tha Bad Main mujy yad aya k Main NY meyat nahe ke kya mera ghusal janabat ho gya ya dobara ghusal krna pry ga

Answer: Agar faqat ghusl e janabat ki niyat ki ho tu bhi ghusl e mayyit ada ho jaey ga. Dobara ghusl karne ki zarorat nahi. (Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#389) [Updated on 01-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13169
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASSALAM O ALLAYKUM AGR HATH KA ZINAH KIA OR US JAGHA KO DHOLE OR TO KIA WO USKE BAD NAMAZ PADH SKTA HAI ..AGR HATH KA ZINAH KIA OR US JAGHA KO DHO LE TO KIA NAMAZ HO JAI GI USKE BAD???

Answer: 1-Istimna or khud lazzati, haram hay or gunahaan e kabeera mai sai hai chahay hath se ho ya film or tasweer per nigah daalne se ho ya khayalaat or is ki maanid se ho. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #2296). 2-Aur Mani ke nikalne say namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusul wajib ho jata hay. (Ref: Tauzee hul masael ,Edition# 2019,Mafhoom e Maslah #344)-(Note: Sirf us maqam ko dhona kafi nahin hai balke gusl e janabat kiya jaye ga aur us ke bad namaz parhi jaye gi.) [Updated on 12-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 13317
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Molana Sahab Salam, Mera yeh sawal hai k Kia Chipkaly Marne k bad Gusul Waking ho ja ta hai ya sharai Ahkam Kia hai tafsily batea batea Jawan ka Muntazir Rahuga, hosake to aik mukhtasar vedio clips upload kerdigia

Answer: Jee nahi, is se ghusl wajib nahi hota. (Ref: Al-masael ul muntakhaba, pg#23). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13319
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr khawab ma sex dekha ho ar haqiqat ma wet ho jaye tu kya bedaar hony py ghusal wajib hai aurat py?

Answer: Namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai. Is liye ke Insaan do cheezon say mujnib ho jata hay. 1) jima (yani intercourse) say or 2) mani (yani semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat (yani lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat (lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi.(Ref: Aytullah sistani (d.b), Tauzih ul masail, edition 39th, maslah#344) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13327
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum sir mjhay yeh pochna tha k agar ehtelam ka pta na chalay or us halat me Namaz parh lain phr bad me pta chalay tw kia krain?

Answer: jab maloom ho keh ehtilaam k sath namaz perh li hay tu ghusl e janabat k baad dobara os namaz ko perhna zarori hay.(Ref: tauzihul masael, ayatullah sistani db, maslah#353). [Updated on 18-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gusal main be ahtyaati sy agr pair k nakhun main mail jami reh jaye or namaz ada karli jaye . Baad main dekh k utna nakhun kaat liya jaye to kya gusal ho jayega?

Answer: Ager mail ki jaga jism ka androni hissa shumar ho to gusal ke sahi hone ke liye mail ka hatana zarori nahi hai, or agr jism ka zahiri hissa shumaar ho or pani ponhanchne main rukawat ho to is ka hatana zarori hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition # 1414, maslah # 373,374,375) [Updated on 29-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13370
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia larkia bhi ghosal karegy jamma kai bad ? Aor baghair ghosal jamma ki bad namaz par saktai hai ?

Answer: gusale jumma karna zarori nahe hay us ke bagair bhe namaz wuzu ke sath perhe jasakte hay. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaal no. 651 & 653) [Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13400
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it necessary to apply shampoo on hair while doing ghusal or is it okay if we just pour water on head

Answer: Nahin Shampoo karna zaroori nahin hai. Ghusl karnay sai pehlay zaroori hai k najasat ko hata kar os jigha ko pak kia jae. Phir ghusl karain to pak ho jain gay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 371) [Updated on 09-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13411
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa Ghusal ma sir aur gardan ko dhone ke bad saraa badan pa pani poaunch jaie to kya ghusual ho jataa ha ya tarteeb se pani bhanaa lazim ha yani phele front pa left side pa phr back pa left side then right pa front pa aur phr back pa right side pa...?

Answer: Jee han, Sar or gardan ko mukammal dhonay ke baad, poray badan ko aik saath dhoya jaasakta hai. lekin behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.(Ref: Tauzeeh ul masayl, Ayatullah Sistani (d.b.), Edition 39th, masla # 360) [Updated on 10-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13443
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: بحوالہ جواب نمبر 111396 کے سلسلے میں عرض ہے۔ کہ سر اور گردن اور جسم صابن کے ساتھ دھونا کافی ہے۔ یا صابن سے دھونے کے بعدغسل کی نیت سے دوبارہ دھونا ہوگا۔

Answer: 1) mani (semen) k kharij (nikalnay say) insaan mujnib (yani us per namaaz perhne k lie ghusal e janabat wajib) hojata hay. 2) jis jagah nijasat lagi hai sirf us ko jagah ko paak kar lena kafi hai aur paak karne k baad gusl kiya jaye. sabun se dhona lazim nahe. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 119,44,) [Updated on 14-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!