Question: Salam Sir, mera sawal ye hy, k my jb wife k7 baat karta hu call per yaa shoq my ajawu yaa ziyada khushi ka moqa Ho to muj sy kuch pani ki tarah drop niklty hy, to es sy clothes napak hoty hy ya nhi, or koi ilaj hy.?
Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1)Uchal kar niklay. 2).shehwat k saath niklay 3).badan sust hojaye. jis libaas par mani lag jaaye tou qaleel pani sai aik dafa dhoney k baad agar nichor liye jaaye tou libaas paak hojaaata hai.or mani k nikalne sai ghusal bhi wajib hojaata hai. jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baki 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaaz bhi ada ki jaa sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah #345 , 156). [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ehtalam hojaye aur hum subha nahake namaz padle fir us bistar pe sojayen fir bad me namaz pad sakte hain ya gushal karna jaruri hojata hai
Answer: Agar namaz wagera ke liye aik martba gusl kar liya tha to ab dobara gusl karna zaroori nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Masala #: 344,356) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mard ke mani Aurat ke kapdon pe lag jaye or wo ek sikke se zyada ho to kia is halat me Aurat kapda change kar ke Namaz ada kar sakti hai
Answer: 1) Insan ki mani najis hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #84). 2) Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1) jima say (intercourse) or 2) mani (semen) k kharij(nikalnay say) honay say, chahay mani (semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat (lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl krna hoga. Agar mani libas main sai kisi jagah par lagey to libaas najis ho jata hai, aur namaz ke liye libas ko pak karna hoga, ya libas tabdeel karna hoga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah #119) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: sir many namaz perhi or quran bhe baad main jab dekha to mjy to raat ehtalam hua hy lakin mjy nhee ptalaga
Answer: Gusl e janabat kar ke dobara namaz parhna zaroori hai. aur agar namaz ka waqt guzr gaya ho to us namaz ki qaza karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 41, maslah #353) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamu alaikum. Mera sawal he. Shohar ki mani biwi k sarir par gir jae to biwi par gusal wajib he ya nahi(Janabat nahi hua)?
Answer: wsalam. agar dukhhol (intercourse) nahi hoa or sirf mani biwi k badan par giri hai tou biwi par ghusal wajib nahi hoga albatta shohar par ghusal wajib hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 06-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Raat ko khud he.....bina agar bina jaane nikl jaye toh(Sperm) ......kya hum Kapde badal krr nimaaz padh sakhte hai
Answer: Mani k kharij honay sai ghusal wajib hojata hai lehaza aap k liye laazim hai k namaz sai pehle ghusle janabat anjaam dein.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr khuwab men sex k doran aorat k jism se pani nikly tou us per ghusal wajib h ya nai r yh confrm b nai h k pani nikla b h ya nai?
Answer: jis aurat ke sath kise mard ne jima na kia ho agar us aurat ki sharamgha se koi ratubat nigle jis ke bare me wo na jaanti ho ke wo ratubat paak hay ya najis tu wo is masle ko perh kar apna hukum maaloom karsakte hay : wo rutoobat jo khawateen mulaabat (kheeal ) ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt apni SharamGaah main Mehsoos karte hain or wo ratoobat itni miqdaar me na ho ke dosere jagha ko aaluda kare ,wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota or wuzu bhi batil nahe hota Haan! agar wo rutubat( jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay ) is qadar zaada ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , (jo aam tor par us waqt nikalti hay jab) aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey or mukammal raza mandi ho to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga balke agar hejaan shewat ke sath na bhi ho tu bhi ehteyaate laazim ki bina per najis hay or janabat ka baais bante hay or in maqamaat per jaha aurat shak kare ke ratubat is hadse ziyada pouche hay ya nahe ya khud ratubat ke kharij hone me shak kare tu ghusal wajib nahe hoga or wuzu bhi batil nahe hoga(.Ref:Tauzeehul Masail ,Aqa Sistani, Masala No.345 Pg.62) Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dhakil ho jay to chahae ye dukhool farj(agli sharamgah) me ho ya dubr(pichli sharamgah) me aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.(aur dono par ghusl e janabat wajib ho ho jata hai). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh e ul masail, Masla #348). [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ham bistri k bad orat ko baal dhona lazmi hy
Answer: Ghusl mein on chote chote baalo ko jo badan ka juz shumar hote hain dhona zarori hai aur lambe baalo ka dhona wajib nahi hai balke agar pani ko jild tak is tarah pahunchae keh lambe baal tar nah hon to ghusl sahi hai lekin agar inhein dhoe bagher jild tak pani pahunchana mumkin nah ho to inhein bhi dhona zarori hai takeh pani badan tak pahunch jaay. .(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#378). [Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: White qatre kapde pr lagne pr kya kare qatre nikalte he par bina uchle hue or bina masti ke aesa hone pr kya namaz pad sakte he ya fir har baar ghusl karna padega.
Answer: Ye rutoobat mani ka hukm nahi rakhti, lehaza is k nikalne per ghusl wajib nahi hota, agar pehle wuzu thha tu wuzu bhi batil nahi hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 345). [Updated on 09-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: KYA GASUL NAKED KAR SAKTE HAI
Answer: Jee han, kiya jasakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, Edition 41st,, maslah #360,371) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]