Question: kya gasul bina sattr dakke[naked] kiya jasakta hai ya nahi
Answer: Jee han, kiya jasakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, Edition 41st, maslah #360,371) [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Gusl janabat ke waqt Namaz jesa wuzu karne ke baad jab akhir ma pooray jism par 3 dafa paani bahye ga to us waqt sharamgah ko hath laga sakty ha? Ya end par phir dobara wuzu karna pary ga?
Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diay jaate hain). Ghusl e janabat se pehlay wuzu karna zaroori nahin hai. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Urwatul Wusqa, Part #1, Mafhoom e Maslah before #684). Jis shaks ne ghusl e janabat kia ho us k liye zaroori hai k wo namaz k liye wuzu na karay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #389). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar sote main ehtalaam hojaye or apko fajar ki namaz parhni ho or ghusal krne ka mauqa na ho to ghusal se hat ke koi dusra rasta hai?
Answer: 1: Jab namaz ka waqt itna tang ho ke agar aik shakhs wuzu gusl kare to saari namaz ya namaz ka kuch hissa waqt ke baad parha jasake to zaroori hai ke tayammum kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani(d.b), Edition 41st, Masla #668) 2: Tayammum ka tareeqa: Wuzu ya ghusl k badley keye janey waley tayammum main teen cheezain wajib hain: (i)Dono hathelion ko aisi cheez per maarna ya rakhna jis per tayammum karna sahi ho. Ehteyat-e-lazim ki bina per dono hath aik sath zameen per marney ya rakhne chaheyein. (ii)Dono hathelion ko pori peshani per sar k baal ugney ki jagah se abroo or naak k balai hissey tak peherna or isi tarhan ehteyat-e-wajib ki bina per peshani k dono taraf dono hathelion ko pehrna. Ehteyat-e-mustahab yeh hai keh hath abroo k oper bhi pehrey jain. (iii)Bayen hathele ko dayen hath ki tammam pusht per or us k baad dayen hathele ko bayen hath ki tammam pusht per pehrna. Zaroori hai keh tayammum, qurbatan elallah ki niyat se anjaam day. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #41st, Maslah #690). (Note: Saat (7) surton men wuzu aur gusl ke bajaye tayamum karna zaroori hai. lekin in saat (7) surton ke elawa tayamum nahin kiya sakta. aur wo surtain ye hain. 1. Pani na ho. 2. Pani tak rasaai na ho. 3. Pani ke istimal khaof ho. 4. Haraj aur mashaqat. 5. Pani piaas bujhane ke liye kafi ho. 6. Wuzu ya Gusl ka takrao aisi sharee takleef se ho raha ho jo un se ziyada aham ho ya barabar ho. 7. Namaz ka waqt tang ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Seestani (d.b), Edition 41st, Pg #111 to 115) Aur Aap is link https://www.sistani.org/urdu/book/61/3636/ pe ja kar tayammum ki mazeed tafseel dekh sakte hain.) [Updated on 18-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: qibla mn jb soa k authta hn tu mera oazv e khas (pinis)khra hta ha ar kbi kisi sa sexy bat karo ya moble pa pics a jye tu b pinis active ho jta ha mn phr gusal karta ha btaye mn nmaz ar mjlis mn ja sakta ha bagar gusal k
Answer: Mani k kharij hone par ghusal wajib hota hai is k ilawa jo sooratein aap ne zikr ki un par ghusal wajib nah hai.(Ref:Tauzeeh ul masail edition 41 maslah no 344). [Updated on 16-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia halat e ahtelam mein namaz ho saki hai?
Answer: Jee nahin, Ehtilam ki halat men namaz nahin ho sakti. Agar kisi ko ehtilam ho jaye to us par namaz or is jaisi ibadaat k liye ghusl wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail 41st edition, maslah #356). [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nifas ka or janabat ka ghusal ek hi br me kiya jaskta h dono ki niyat k sath?
Answer: Jis per chand ghusl wajib hoon wo un sub ki niyat kar k aik ghusl kar sakta hay our zahir ye hay keh agar un may say kisi aik ghusl ka qasd karay to wo baqi ghuslo k lea bhi kafi hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 2019 edition,maslah #387) [Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam...kiya hair straightening treatment k bd wajib gusl hosakty hai???
Answer: Agar is amal k doran agar koe chemical baal per baaqi rehay jo pani k pohancne main rukawat ho tu os ko door kiay baghair ghusl nahi ho sakta. (Ref: Ayatullah seestani, Tauzeeh ul masail edition 42 maslah #344). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA. Kia oral sex karne ke baad ghusl-e-janabat wajib hoga mard par agar mani (semen) kharij na hui ho?
Answer: Agar oral sex se mani kharij nah hoe ho tu ghusl wajib nahi hota. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 348) [Updated on 23-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shower ke neechay ghusal ka tareeqa
Answer: Shower ke neechay ghusal ka tareeqaagr ahtiyat e mustahab per amal kartay hua tin hisson may dhona hay to ghusl ki niyat k sath pehlay sar aur garden ko dhoae phir ehtiyaat e wajib ki bina per shower ko band karay ya sar ko pani se nikala jaay or os k bad shower ko kholay aur badan ko dain (right side) taraf sai dhoe phir shower ko ehtiyaat e wahib ki bina per band keay ya badan ko pani se bahar nikale aur badan ko bayen (left side) taraf sai dhoae . Yah ahtiyat e mustahab per amal nahi karna to sar aur garden ko dhoae phir ehtiyaat e wajib ki bina per shower ko band karay sar ko pani se nikala jaay or os k bad shower ko kholay aur pura badan aik sath dhoae . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,part#1 maslah #185) [Updated on 22-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera yeh sawal hain k agar peshab krte waqt aik bhi cheetah ghlti se pair pr lg jae tou kiya gusal krna farz ho jata hai? Agr nahi tou banda is surat main kya kray.
Answer: Ghusl karna farz nahi hoga faqat us maqaam ko paak karna hoga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 154). [Updated on 26-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]