Question: hamein kaise pata chalega ki hamari mani arhai hai ya koi aur chiz
Answer: Agar aap ko kisi tarah bhi yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hai to phir yeh mani hi samjhi jaye gi or ghusl wajib ho jaye ga. Aur agar maloom na ho raha ho kay wo liquid mani hai ya koi or chiz to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1) Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul Masail, Edition 42, Maslah #351,352) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: SIR MERA SWAL YE H K KIA GUSAL KI NIYAT ZABAN SE IS HAD TAK ONCHI KRNE CHIYE K APNE KAANO KO SUNNAI DE YA ARAM SE YA DIL MN NIYAT KRNE SE GUSAL HO JATA HE?
Answer: Niyyat zabaan ya dil sai adaa karna zaroori nahi faqat iraada ho tou kaafi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 360, 1531). [Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr mani kharij hojay mgr wo na jism ko touch kray aur na kapro ko aur us ko dho lea jay to kya ghusl wajib hoga aur wo kapra pak hongay
Answer: 1: Do cheezo say insaan mujnib hojata hay. 1. Jima(intercourse) say or 2. Mani(semen) k nikalnay say, chahay mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. aur namaz aur is jesi dosri ibadat ke liye gusl karna wajib ho jata hai. 2: Agar koi kisi bhi tarh aur kisi bhi waqt mujnib ho jaye to usi waqt ghusl kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Mafhoom e Maslah #344,356). [Updated on 29-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar murday ki family ko milay to kya milny vly pr ghusle vajib ho jta hn k nhe.
Answer: Jee nahin, balke murda insan ko mas(touch) karne se gusl wajib hota hai aur wo bhi aisa murda insan ke jis ka badan thanda ho chuka ho aur jese gusl bhi na diya gaya ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail edition #42, maslah #511). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya sharmgahein touch hone/krne se ghusal wajib ho jata hai? Agar dakhool bhi na ho aur anzaal bhi na ho to.
Answer: Jee nahin, Is tarah ghusl wajib nahi hota. balke insaan do cheezo say junub hota hay. 1) jima(intercourse) say or 2) mani(semen) k nikalnay say, chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, maslah #344) [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Janabat kai bad gusal kai 3 faraiz ada karnay say kia namaz ho jayegi ya gusal e janabat sunnat tariqay say ada karna hoga namaz kai liyn.. Plz rehnumai farmaye
Answer: Is website par fiqh e jafaria ( mazhab e shia ) k mutabiq jawabat diye jatay hain. 1: Ghusl e janabat wajib namaz parhney k liye aur aisi dosri Ibadaton k liye wajib hota hai. 2: Ghusl ki niyat: gusl ki niyat men Ye zurari nahi ke gusl ke waqt ye niyat karay ke wajib gusl kar raha he balke faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke irade se gusl karay to kafi hai. 3: Ghusl ka tareeqa : Ghusl karnay k 3 tareeqay hain. 1) Tertibi(sequence). ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)dafaee(Immediat immersion bath). Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay, or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay. or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main badan ka ulta hissa. ghusl main naak or monh main paani daalna wajib nahi hay. ghusl main jism k tamaam hisso tak paani puhnchana wajib hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, editon #42, maslah #356,357,360). [Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hath fracture ho toh janabat ka ghusul kaisae kare
Answer: Jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zarori hai keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaay aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyammum karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, edition #42, mafhoom e maslah #338). [Updated on 27-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam munalykum. Ghusal par honykay bawajood nemaz padna kiya hai haram hai ya nahi.
Answer: wsalam. jee agar kisi par ghusl e janabat par farz ho tou namaz ko ghusl k bagair adaa nahi kar sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 356). [Updated on 09-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslm alkm mera swal h ki agar hum kch soch rhe ho or mani aa jaye pr wo khi kapdo pr na lge usse phle hi hm use dhole to kya hm napak ho jayenge plz jaldi bta dijiye
Answer: wsalam. Agar mani kharij hojaey tou ghusl wajib hojaye ga. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 06-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr mard apna penis vagina c touch kare or us me c lubricant kharij ho (not semen) to kiya ghusal wajib ha??
Answer: Agar koe shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil ho jay to chahae ye dukhool farj(agli sharamgah) me ho ya dubr(pichli sharamgah) me aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein.(aur dono par ghusl e janabat wajib ho jata hai). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #348). (Note: Agar faqat touch howa ho aur uzo e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziada dakhil nahin howa to dono par ghusl wajib nahin hota ). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]