Question: Ager ghusal se pehle pore badan ko ghela keya jae or oske bad ghusal keya jae kya ye tariqa thek ha ?
Answer: ghusal k baad ye yakeen hona chahye k ghusal ka paani jism k har hissay par pohanch gaya hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 373). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal yeh hai k main agr apni gf se baat kr raha hoon or kisi waja sy meri mani sirf chand katray leak hojaye thori si toh mera jism or kapray na pak hojayenge air kiya mjhay ghusal bhi karna hoga?
Answer: 1: Jins-e-mukhalif se dosti ka is had tak izhaar karna k us se kaha jaye k mujhe tum se mohabbat hai ye kam jaiz nahin hai, chahe bad me us shadi hi Q na karni ho. Q k gunah men mubtala hone ka khoaf mojood hai, Khuda aap ko gunah men mubtala hone se mehfooz rakhe. (Ref: Nigah or Libaas 10 maraje kiram k fatwon k mutabiq 1st Eddition, Page #69, Ques #106). 2: kisi na mehram se doosti karna Jaiz nahin hai. (Ref: Mujthid se poushey gye sawalat part #4, ques #125, pg #65). 3: Na-mehram se aisi baatain ki jasakte hain jin ka nateja kise akhlaqi fasaad ki sorat me na nikal raha ho jab k koe aisi baat bhi nah ki ja rahi ho jis ka kise ajnabi k saath kiya jana munasib nahi hota. or agar gunah mai parhne ka khof ho agarcheh ahista ahista parhne ka hi khoof Q na ho baat karna jaiz nahi hay isi tarah gher akhlaqi or mazaq mai bhi warid hona jaiz nahi hai. .(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 127,pg # 66) & http://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). 4: Wo Rutobat (liquid drops) jo kabhi shehwat ubharne par mard ke Aal e Tanasul se kharij hoti hai use mazi kehte hen, or wo pak hai or is se gusl bhi wajib nahin hota, or kapre bhi najis nahin hote. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, 42 Eddition, maslah #70,344,345). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya makri,lal baig aur chipkali (aur baqi najis makhlooq) ko touch karne ya agar kisi b tarah se hum se janwar touch ho jaye to kya ghusl wajib ho jata hai?
Answer: 1) do chezo se insane per ghusl e janabat wajib hota hay 1. mani k kharij honay se 2. jima kerne se (yani uzo e tanasul(penis) supari{khatna gaah} ya os os se ziyada miqdaar tak dakhil ho jay chahay ye dakhool ferj{vagina} main ho ya dubur{anus} main).(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Nend Mai mani nikal gayetho Kya ghosul karna zahig hai
Answer: mani chahay jaagte howe niklay ya neend k haalat mai ghusal karna namaz or is jaisi ibadaat k liay wajib hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 344). [Updated on 17-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia wajib gusal kay baad bagair wajoo kay namaz parhy ja sakty hay?
Answer: Tamaam wajib or mutahab ghusl k kernay k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay albatta ehtiyaate mustahab (behter) hay k wuzu bhi karain. Laikin ghusl e janabat k baad tu zarori hay ke namaaz ke lie wuzu nah karain.or ghusl e istihaza e mutawassitah (aurato ka aik ghusl) k baad namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna hoga. (ref”Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#396,389) [Updated on 24-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam alaikum.. Agar ham masturbation karte hue ruk jaye aur mani na nikle par thoda sa chikat paani nikle to kya gusl karna zaroori hojata hai?
Answer: Jis rutoobat mai ye 3 nishaaniyan ho wo mani kehlaye gi. 1. Uchal kar niklay. 2. shehwat k saath niklay 3. badan sust hojaye. Jis rutoobat mai ye 3 ya baaz alamatein na ho tou wo mani nahi hai misaal k tor par agar sirf shewat k saath nikle or baqi 2 almatein na ho tou wo mani nahi mazi kehlaye gi or mazi paak hai or is sai ghusal wajib nahi hota or usi kapron mai namaz bhi ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 39 maslah no 345 and 156) [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa sir mera q yeh h k gusal janabt k doran sath sath kalma b parhna chahya k nh
Answer: Ghusl e janabat ke doran dua ka kaha gaya hai kalmay ka nahin kaha gaya aur Ghusl e janabat ki dua mustahib hai wajib nahin or dua ye hai k . ( اللهم طهر قلبي وتقبل سعيي واجعل ما عندك خيراً لي ، اللهم اجعلني من التوابين واجعلني من المتطهرين ) (allaa humma tah’hir qalbee wataqabbal saa’yee waj’al maa indaka khairallee, alla hummaj alnee minat tawwabeena waj alnee minal muat tahhireen). (Ref: Urwat ul Wusqa, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, [683] ka masla #22). [Updated on 30-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam aleakum Ager koi shakh mujnib nhi hai ...kia WO gusal e janabat kr k bina wazu namaz phar sagta hai ya wazu krna zaroori hai gusal k bad.... Note: shakh janabat ki halat mai nhi hai
Answer: Tamaam wajib or mustahab ghusl k baad, namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori nahi hay (siwaay ghusl e istihazah e mutwasitah k).or ghusl e janabat k baad namaz k liay wuzu kerna haram hay.Agar nahanay say aap ka matlab sirif aam nahana hay tu is say pehlay ya baad main namaz or dosri ibadaat k liay wuzu kerna zarori hoga.(ref: Ayat ullah Seestani (D.B),Tazee hul masail,Maslah # 389). or sharmgah ko haath laganay say wuzu batil nahi hota.wuzu sirif 7 Chezo say batil hota hay. (ref: Ayat ullah Seestani(D.B),Tazee hul masail,Maslah # 322). [Updated on 11-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam walikum sir meri pishab k sath Mani kharish hojati h aur hath pair m kaafi kamzori lgti h plz koi Hal btaen
Answer: Jo ratubat paishab k sath kharij hoti hay osy wadi kaha jata hay or ye mani nahin hoti. Mani uchal ker lazzat k sath kharij hoti hay or is k nikalne k baad badan sust ho jata hay. Is liay aap per ghusl wajib nahin hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #70,345). 11 martaba durud parhen aur is ke bad Surah e yaseen ki ayat #58 ko 319 mertaba tilawat karain, insha Allah is bemaari se shifa hasil hogi.(Ref: Naeemul amaal, pg #313). [Updated on 10-May-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ladki agar apne shofar se baath karte waqt usse discharge mehsoos hoye toh usse ky karna
Answer: Wo ratubat jo shehwat angez khayalat k waqt insan apni sharmgah men mehsoos karta hai wo pak hai, us se ghusl bhi wajib nahi hota or na hi ye wazu ko batil kari hai. lehaza bager us maqam ko dhoye namaz parhi ja sakti hai. Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,345). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]