Question: Ladki par kab janabat ka ghuzl wajib hai
Answer: Larki qamari (chand ke lihaz se) 9 saal puray karnay k baad balig hoti hai or baligh hone k baad mani kkharij ho sakti hay is se pehle nahi. wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day, jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #345,2215,2216). [Updated on 31-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun alaikum Kya koi aisa hai jiske baad wazu ki zarurat na padhe ...jaise normal ghusl ho (janabat ke ghusl k alawa ...wassalam
Answer: Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zarooori he k namaz k lie wazoo na karay. Balke ghusl e istehaza motawasita k siwa tamam wajib ghusloon aur maslah #634 me bayan karda tamam mustahabb ghusloon k baad bhi namaz parh sakhta he agarchah ehtiyat e mustahabb ye he k wuzu bhi karay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #389) [Updated on 22-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Neend mai hambistari dekhne se ladki ku ghuzl wajib hai? Uske libaz par najazat nai thi? Ky mujh par ghuzl wajib hai
Answer: Faqat neend men hambistri dekhne se gusl wajib nahin hota Abatta agar mani kharij ho jaay to ghusl wajib ho jata hai. lekin agar mani bhi kharij nahin hoi to gusl bhi wajib nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344). [Updated on 26-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bina ghus kiye aurat ghar ke konse kaam karsakti hai
Answer: Ghusl kiye bager aurat Ghar ke tamam kam kar sakti hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,448). [Updated on 19-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Me ghusal k doran ghusal ni krta srf ghusal k farz ada krta hun kia is trha ghusal ho jata hai or nimz bhi ho jati hai bad main ya nahi?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq Ehtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhona hai aur is ke baad badan dhona hai aur behtar hay kay badan ko pehlay daain (right) taraf say aur baad main bain (left) taraf say dhoya jaey. Agar is tarah ghusl karen to kafi hai or namaz bhi ada kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #360). [Updated on 14-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr gusal krny k bad dobara wo kpry phn liy jain to kia gusal rhy ga
Answer: Wo jagah jahan nijasat lagi ho use pak karne ke baad dobara pehn sakte hain is se ghusl men kharabi nahin aaye gi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #156) [Updated on 10-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya pakhane karne k baad ghusal lazim hai?? Namaz padhney k liay
Answer: Jee nahin, Faqat maqam e pakhana ko paani se pak karna kafi hai. Q ke pakhana karne ke baad ghusl wajib nahin hota. Wajib ghusl faqat ye hain. 1. ghusl e janabat, 2. ghusl e haiz, 3. ghusl e nifaas, 4. ghusl e istihaza, 5. ghusl e mas e mayyit, 6. ghusl e mayyit, 7. wo ghusl jo nazar ya qasam wagera ki wajah se wajib ho jaye. Aur agar chand ya sooraj ko mukammal ghirhan laga aur mukallaf jaan boojh kar namaz e Ayaat na parhe yahan tak ke namaz qaza ho jaye to Ehtiyat e wajib ki bina par zaroori hai ke us namaz ki qaza baja lane ke liye ghusl kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #61,63). [Updated on 23-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aslammualikum mujay gus-le-janabat ka tareka Bata den
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Ghusl e tartibi ka tariqah ye hay:- Sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay, or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay. or behtar ye hay k badan ko do hisson main dhoya jaaye pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa. ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay. ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohanchaana wajib hay, or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobara say dhoo dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirf usi hissay ko dho lain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #360,365). [Updated on 10-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Qabz ki wajha se manni kharij hoti hai,kya ghussap farz hojata h
Answer: Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. or namaz ke lie ghusal janabat karna zarori hay . Agar kisi shakhs kay badan say koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho kay mani hay ya peshab ya koi aur cheez,agar wo ratoobat shehwat kay saath aur uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay baad badan sust hogaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hay laikin agar in teen alamaat main say sari ki sari ya kuch maujood na hoon to wo mani ka hukum nahi rakhti ( lehaza ghusal janabat wajib nahe ho ga),laikin agar insaan beemar ho to zaroori nahi hay kay wo ratoobat uchal kar nikli ho aur us kay nikalnay kay waqt badan sust bhi ho jaey balkay sirf shehwat kay niklay to wo bhi mani ka hukum rakhay gee.Mazkoora soorat kay ilawa agar wo ratoobat Mazi ho to paak hay. ( Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Sistani masla No:344, 351 & 352,70 ) [Updated on 10-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kia ek insan ghusl e janabat krtay hoay soap ka istemal kr sakta hai?
Answer: Ghusl se pehlay Jism ko sabun aur balon ko shampoo karna zaroori nahin hai balke sirf wo jagh jahan najasat lagi hoi hai us jagh ko pak karen aur pak karne ke bad Ghusl kiya jaye to kaafi hai.(hah is baat ka kyaal rakha jaay ke soap ya shampoo istemaal karte hoe paani mazaaf na ho jaaye kyu ghusal ya wuzu me pak paaani ka muzaaaf paani hoe beghair jisam tak pouchna zarori hay) (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,360). [Updated on 19-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]