Question: Masturbate krnay se ghusl wajib hta yn agr ratoobat niklay tb hi wajib hta hai
Answer: Jo cheez ghusl le janabat ka sabab banti hai wo aik Jima(intercourse) karna hai or dorsri Mani(semen) ka nikalna hai ab chahay wo mani neend ki halat main niklay ya jaagtay main, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho, lekin sirf Masturbate karna ye ghusl ka sabab nahin banta balke mani ka nikalna shart hai. Albatta ye baat par wazeh rahe ke Masturbate karna haram aur ghunah e kabeera hai chahay hath ke zariye se ho ya film or tasweer per nigah daalne ke zariye se ho ya khayalaat or is ki maanid ke zariye se ho. Aur aap ke liye shadi karna wajib hai Q ke jo shakhs shadi na karne ki wajah se fel e haram (masturbation) me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, maslah #344,2407. + Tauzeeh ul masael jaame, Edition #1435, Maslah #2296). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam. Mery hath ka operation hua hay my ghusal kesy karun ?
Answer: Ghusl e mayyit k alawa tamam qisim k ghuslon mein jabira ghusl jabira wuzu ki tarah hai lekin ehtiyat e lazim ki bina par ye zaroori hay keh ghusl ko tartibi tariqe se anjam diya jaey aur agar badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe k opar masah kare agar badan ka koe hissa tota hua ho to zarori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira k opar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga toti hue hai wo khuli ho to tayyammum karna zarori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338). [Updated on 25-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bal agae pely sy geely hon to gusal ho jata h ?
Answer: Jee han, agar bal pehly se hi tar(wet) ho tab bhi ghusl ho jata hai. Ghusl mein un chhote chhote baalon ko jo badan ka juz shumar hote hain dhona zaroori hai aur lambe baalon ka dhona wajib nahin hai balke agar pani ko jild tak is tarah pahunchae keh lambe baal tar nah hon to ghusl sahi hai lekin agar inhein dhoe bagher jild tak pani pahunchana mumkin nah ho to inhein bhi dhona zarori hai takeh pani badan tak pahunch jaay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #378). [Updated on 08-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: gusul e jumma zoharain k bad or magribain se pehle ada kiya to is gusul se namaz hojaegi? ya namaz k liye wazu zaruri hoga?
Answer: Ghusl e juma se wajib or mustahab namaz ada karna sahi hai. namaz k liye wazu karna zaruri nahi hay. (Ref: Mujtahid se pouchey gaey sawalat part #1, mafhoom e sawal #10, pg #24). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alikum mera ye question hai hambistri k bad ghusal k sath wazu bhi zaruri hai ya Sirf ghusal hi kafi hai
Answer: Jee nahin, Ghusl sai pehle wuzu karna zarori nahin hai or ghusl e janabat k baad to laazim hai k wuzu na kiya jaye.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #389). [Updated on 20-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bv ke peechey Karne se dono parh ghuzal Faraz hoga
Answer: 1: Biwi k peechay k maqam(anal sex) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. 2: Agar koi shakhs aurat se jimma(intercourse) kare or uzw e tanasul supari ki miqdar tak ya is se ziyada dhakil ho jay to chahe ye dkhool agli sharamgah me ho ya pichli sharamgah me aur chahe wo baligh ho ya na baligh aur chahae mani kharij ho ya na ho dono junub ho jatay hein. (aur dono per ghusl e janabat wajib ho hata he). (Ref: Al-masail e mutakhaba, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #67, + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #348). [Updated on 23-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Allaikum I wanna know that my friend had sex with Hindu girl adn my friend is Muslim and after Sex he done Ghusal. But our some friends said to him you Can't do Ghusal, he is in trouble. Kindly guide me as soon as possible. Thank you
Answer: 1: Nikah ke baghair kisi bhi aurat(muslim or non muslim) se sex karna zina kehlata hai. aur Zina karna gunah e kabira hai, lehaza pichlay gunah k liay tauba karey aur aenda gunah karnay say bhi tauba karey. 2: Ghusl e janabat wajib hoga, or ghusl e janabat namaz parhne k liye kifayat kar jaye ga or zaroori hai k ghusl e janabat k baad wuzu nah karey. (Ref: Minhaj us Salaheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #30, + Tauzeeh ul Masail, edition #42, Maslah #344,345,389). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa.ma mushtzani ma mubtala Hoon or jab Meri Mani nikalti ha to ma Mani ko Rok laita hun.kia usse mujh pr ghusal wajib ho jata ha ya nahi?kindly bata dein?
Answer: Agar mani apni jaga say harkat karay lakin kharij na ho to us per ghusul wajib nahi hoga.(Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Maslah #351) [Updated on 22-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: miyan bv k milny k bad agar orat ko periods a jayn to ghusal kesy kiya jaye
Answer: Halat e haiz main ghusl e janabat karna sahi hay, isi tarah haiz ke khatam hone ke baad ghusl e haiz or ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik ghusl kia jaa sakta hay or isi tarah In dono ghusl main se kisi aik ki bhi niyat ki jasakti hay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Mafhoom e Maslah #233). [Updated on 15-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya taha ra ka bhagar gusl ho jata hai
Answer: Jee han, ho jata hai. Q ke ghusl se pahle saare jism ka paak hona zaroori nahin hai balkeh agar paani mein gota lagaane ya ghusl ke iraade se paani badan par daalne se badan paak ho jaaye to ghusl saheeh hoga. Albattah yeh zaroori hai ke jis paani se ghusl kar rahe hon woh tahaarat ki haalat se khaarij na ho jaaye. Maslan kur paani se ghusl kar rahe hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #371). [Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]