Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15496
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Gusal karne ke baad ushe waqt shampoo facewash laga sakhte hai na jese rozana nahte hai wese gusal karne bhe he foran naha sakhte hai?

Answer: Jee han, laga sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #154,360,371). [Updated on 23-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15513
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum sir ap sa pochna ye tha k agar mani kharij na hoie ho or penis sirf andar gya ho tu kia th bhi ghusal orat per wajib hojaiga .

Answer: Jee han, mard or aurat dono par ghusl e janabat wajib ho jata hai Q ke agar koi shakhs aurat se jimma(intercourse) karay aur uzo e tanasul(penis) supari ki miqdar tak ya is se ziyada dakhil(inter) ho jaye to chahe ye dukhool farj(vagina / agli sharamghah) me ho ya dubur(anal / pichli sharamghah) me aur chahe mani(semen) kharij(Exit) ho ya na ho dono junub ho jatay hein. (yani mard or aurat dono per ghusl e janabat wajib ho hata hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #348). [Updated on 27-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15544
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia zilhajj k10 dino me aurat ghusal kr sakti hai???

Answer: Jee han kar sakti hai, balkeh baaz auqaat to ghusl karna wajib ho jata hai jese ke janabat, haiz, nifaas istehaza, wagera ka ghusl hai joke namaz ya is tarah ki deegar ibadaten anjam dene ke liye wajib hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #356,393,394,456,507). [Updated on 20-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15717
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar aap kisi unmarried ladki ke sath neend main zina karte hai toh kiya hota hai?

Answer: Agar alam e khuwab me aisa kam anjam diya ja raha ho to is se gunah nahin hoga. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1439 hij, Maslah #30). [Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15754
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar hum gusal kar rahe hai or hath dhona shuru kia or usi beech hawa kharij ho gayi to hath dobara dhona hoga ya phir hawa kharij se gusal par koi farq nahi padhta or gusal asi jaari rakhe please reply me

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq Ghusl e tarteebi ka tareeqa ye hay: Ehtiyat e Lazim ki bina par Ghusl ki Niyyat kay saath pehlay poora sar aur Gardan dhoay aur is ke baad badan dhoay aur behtar hay ke badan ko pehlay daain taraf say aur baad main baain taraf say dhoay. Aur hathon ka dona zaroori nahin hai. aur jab Riyaah (gas) kharij hui thi jabke us waqt ghusl shuru nahin kiya tha to wahin (sar or gardan) se ghusl shuru karna hoga. Q ke asal jahan se ghusl ka tarerqa (pehle sar or gardabn aik sath dhona , or is baad pehle daain taraf se or phir baain taraf se badan ka dhona) hai wahan se to ghusl shuru kiya hi nahin tha. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #360). [Updated on 23-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15813
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: biwi ke muh mein nafs daal kar lazzat liya. magar is had tad tak ke mani nahi nikli. to kya is surat mein ghusal farz hai?

Answer: 1: Jee nahin surat me ghusl wajib nahin hoga. 2: Miyan, biwi aik dosre ke liye poori tarah se mehram hain laikin gair mamoli lazzatun ke liye ehtiyaat e wajib ki bina par miyan, biwi ka razi hona lazim hay. 3: Oral sex yani aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344. sistani.org urdu, chapter humbistri, sawal #1. + Istiftaat I-2,I-15). [Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15838
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As'salam o Alaikum Mujhe ye Puchna tha k ghusul e Janabat Mai shak ho k naaf k andar tak pani gya hai ya nhi to ghusul Sahi hai ya nhi? Actually Meri naaf thori deep hai is liye doubt ho rha hai k Pani andar tak pohocha ya nhi.

Answer: Ghusl me kaan aur naak ke androoni hisson ka dhona wajib nahin isi tarah har us cheez ka dhona jo baatin shumar hoti ho wajib nahin. Han agar badan ke kisi hisse ke bare mein shak ho ke us ka shumar badan ke zaahir mein hai ya baatin mein to zaroori hai ke use dhoya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #373,374). [Updated on 08-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15893
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Shower ke neeche gusal kese kar sakhte hai tareeka ?

Answer: Ghusl shower ke neeche kiya jaa sakta hai aur is ka tareeqa ye hai ke ghusl ki niyat ek sath pehle sar aur garden ko dhuein phir ehtiyaat e wahib ki bina par shower ko Kuch daire(second) ke lie band karen ya sar ko kuch lamhe(second) ke liye pani se nikalen or is ke bad shower ko kholen aur badan ko dain(right side) taraf sai dhuein phir shower ko ehtiyaat e wahib ki bina par band karen ya badan ko pani se bahar nikalen aur phir badan ko bayen(left side) taraf sai dhuein. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #185). [Updated on 22-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15934
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager asi jaga ho jaha gusal karna na mumkinho to namaz pr sakta ha

Answer: 1: Agar koi shakhs (kise sharhe waja se ,na ye ke koi or mamoli waja se Jo ke sharhe na ho ) gusal nah kar sakta ho , to zaroori hai ghusl ke badle tayamum kar ke namaz parhay. 2: Uzr ke khatam honay se tayamum bhi baatil ho jata hai is bina par agar pani nah milnay ya kisi aur uzr ki bina par koi shakhs tayamum kare to uzr ke bar tarf (khatam) honay ke baad us ka tayamum baatil ho jata hai. Or zaroori hai ke wuzu ya ghusl jo bhi us ki zimme dari ho, anjaam day. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #869,873). [Updated on 02-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15935
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ager asi jaga ho jaha gusal karna na mumkinho to namaz pr sakta ha

Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 02-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!