Question: Aslam u alaikum Mera yeh swal hy k periods k 6 day mn ny ghusal kiya tha lkn ghusal krny k bd raat ko mjhy phir sy thora sa blood aaya tu is soorat mn mjhy kya krna chahiyee kya phir sy ghusal wajib hy?
Answer: 1: Agar kisi aurat ko teen din mutawatir khoon aata rahe phir wo paak ho jaey. Chunacheh agar wo dobara khoon dekhe tu jin dino main wo khoon dekhe or jin dino main wo paak ho in tamaam dino ko mila kar agar das(10) din se ziyada nah hon to jin dino main wo khoon dekhe wo haiz ke din hain laikin ehtiyaat e lazim ki bina par paaki ke dino main wo un tamaam umoor ko jo paak aurat par wajib hain anjam day or jo haaiz par Haram hain, unhain tark kar day. 2: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak ghusl nahin kiya jaa sakta, Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon-e-haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bagher ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royi(cotton) rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa k baaz aurton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikaal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Ps agar wo Heyz ki mo’eyin ‘adat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi uski aadat ke din tamam nah houe hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar 10 din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen(10) din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya 10 din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #442,496). [Updated on 03-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o alikum...agr aurat haiz Sy ho or Sath Mani b kharij ho or usny baby ko feed b krwana ho tou ghusal KY kia ahkam hain
Answer: 1: Aurat, haiz ya janabat ki halat me bache ko doodh pila sakti hai. 2: Jis kisi par chand ghusl wajib hon wo in sab ki niyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zaahir ye hai ke agar in main se kisi aik makhsoos ghusl ki niyat karay to wo baaqi ghuslon ke liye kaafi hai. (Note: is fatwe se 2 baatain wazeh ho rahi hain: 1- Aurat haiz se pak hone ke baad ghusl e haiz or ghusl e janabat dono ki niyat kar ke aik hi ghusl kar sakti hai. Maslan kisi aurat par ghusl e janabat or ghusl e haiz wajib hai to agar aurat ghusl e janabat ki niyat se ghusl kar lay to phir us par wajib nahin ke ghusl e haiz bhi anjam day. 2- Aurat ki marzi hai ke ghusl e haiz ki niyat kar ke ghusl e haiz anjam de or phir ghusl janabat ki niyat kar ke ghusl e janabat anjam day). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,355,387,448). [Updated on 15-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam . Mera sawal ye hai k kiya mani nikalne ki sorat mai gusl pura anjam dena parega ya sirf begair baal dhoe bhi sirf adhe badan ka gusul anjam de skty hain ?
Answer: 1: Chahe koi saa bhi ghusl ho us ki niyat ke sath pehle pura sar or garden dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen taraf aur baad men baaen taraf se dhoya jaye. 2: Ghusl mein un chhote chhote baalon ko jo badan ka juz shumar hote hain dhona zaroori hai aur lambe baalon ka dhona wajib nahin hai balke agar pani ko (sar ki) jild tak is tarah puhnchayen keh lambe baal tar nah hon to ghusl sahi hai lekin agar inhein dhoye bagher jild tak pani pahunchana mumkin nah ho to inhein bhi dhona zaroori hai takeh pani badan tak pahunch jaaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #360,378). [Updated on 02-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusal me gardan or sar k bad pani se hatna hota hayna phir baki hissa dhotay hayn. Tou agar sar or gardan dho li aur shower band krdia phir shampoo baalo pe laga ke baki ghusal continue krlen pehle righr hissa phir left tou ghusal sae hay?
Answer: Jee han, ghusl sahi hoga Q ke wo tamam sharaait jo wuzu ke sahi hone ke liye zikr ki ja chuki hain maslan pani ka pak hona aur ghasbi nah hona wohi sharaait ghusl ke sahi hone ke liye bhi hain. Laikin ghusl mein ye zaroori nahin hai ke insaan badan ko upar se niche ki janib dhoe. is ke alawa ghusl-e-tartibi mein ye zaroori nahin ke sar aur gardan dhone ke bad fauran badan ko dhoye. Lihaza agar sar aur gardan dhone ke bad tawaqquf kare aur kuch waqt guzarne ke bad badan ko dhoye to koi haraj nahin balke zaroori nahin ke sar aur gardan ya tamam badan ko aik sath dhoye Ps agar Misaal ke taur par sar dhoya ho kuch dair baad gardan dhoye to jaiz hai laikin jo shaks peshab ya pakhaana nikalne ko nah rok sakta ho taham use peshab aur pakhaana andazan itne waqt tak nah aata ho ke ghusl kar ke namaz parh lay to zaroori hai ke fauran ghusl kare aur ghusl ke bad fauran namaz parh lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #379). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alikum, me y janna chahti hu agr janabat k bad apko pani mahiya na hu ghusal k lye to uske kya ehkam h or khane pine ki cheezo ko hath lga skte h kya bina ghusal k.
Answer: 1: Sab se pehle to ye hukum hai ke agar insan aabadi (jese shahar ya gaon) main ho to zaroori (wajib) hai ke wuzu aur ghusl ke liye pani muhaiya karne ke liye itni justuju kare ke bil aakhir us ke milne se na umeed ho jaye, jab na umeed ho jaye to ghusl ke badle tayammum karna zaroori hai. 2: Jee han, ghusl kiye bager khane, peene ki cheezon ko hath laga sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Masalah #638,354,355). [Updated on 07-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar raat ko sote hue mazi kapron per lag jaye to kiya kapre napaak hojaye hain??agar ho jate hain to sirf paani laga kar paak kiye ja sakte hain ya nahi???plz reply
Answer: 1: Sotay (yani neend ki halat) men mani ke kharij hone ko ehtilam kehtay hain. Aur do cheezen ghusl e janabat ka sabab banti hai: 1) Jima (intercourse) karna. 2) Mani(semen) ka nikalna, ab chahe mani, neend ki halat main nikle ya jaagte men, kam ho ya ziyadah, shehwat(lazzat) ke saath nikale ya baghair shehwat ke aur iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho. lihaaza sote me mani kharij hone ki wajah se aap par namaz aur is tarah ke ibadaton ke liye ghusl karna wajib hai aur badan aur libas ki us jagah ko bhi paak karna zaroori hai jahan mani lagi hai. 2: Agar kisi shakhs ke badan se koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo ratoobat shehwat ke saath aur uchal kar nikli ho aur us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karna pare ga, us libas ko pani se pak karna pare ga) laikin agar in teen alamaat main say saari ki saari ya kuch alamaat maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai aur libas ko pak karne ki bhi zaroorat nahin hai), Laikin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rotoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakh gi. 3: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed ratubatain kharij hoti hain: 1) Wo ratoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu ghusl ko bhi batil nahin karti. 2) Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3) Wo ratoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad ratubat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 ratoobato me se koi aik to wo paak hai. (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai aur libas ko pak karne ki bhi zaroorat nahin hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,154,344,345,356). [Updated on 30-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia washroom Mai kharay hokr ghusal jaiz h ya Beth k he krna hota h?
Answer: Khare ho kar ya beth kar, dono me se jis tarah bhi ghusl kiya jaye, jaiz hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #185). [Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Eid Kai nimaz Kai leye nahana wajeb hai??
Answer: Namaz e eid ke liye nahana, nah to wajib hai aur nah hi mustahab. Han albatta eid-ul-fitr ya eid-ul-azha (jo bhi eid ho)ke din Allah ke khatir gusal ki niyar se ghusl karna muhtahab ( behter )hai laikin wajib ( zarori ) nahe hay. (Note: Nahana aur ghusl karna do alag alag cheezien hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #634). [Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar raat k samay kapde par kuch halka bilkul halki safedi dikhe aur pata na chale ki ye mani hai ya mazi, to kya gusl wajib hoga? Rozana ka masla ho chuka hai...aur roz gusl karke pareshan ho gaya hoon..plz reply!!
Answer: 1: Agar kisi shakhs ke badan se koi ratoobat kharij ho aur wo ye na janta ho ke mani hai ya peshab ya koi aur cheez, to agar wo ratoobat shehwat ke saath aur uchal kar nikli ho aur us ke nikalnay ke baad badan sust ho gaya ho to wo rutoobat mani ka hukum rakhti hai (aur ghusl karna pare ga) laikin agar in teen alamaat main say saari ki saari ya kuch alamaat maujood nah hon to wo mani ka hukum nahin rakhti (yani phir ghusl karne ki zaroorat nahin hai), Laikin agar insan beemar ho to zaroori nahin hai ke wo rotoobat uchal kar nikli ho aur us ke nikalne ke waqt badan sust bhi ho jaye balke sirf shehwat key nikle to wo bhi mani ka hukum rakh gi. 2: Mard ki sharamghah se mani ke alawa teen tarah ki mazeed ratubatain kharij hoti hain: 1) Wo ratoobat jo khabi kabhar shewat ubhrne par mard ki sharamghah se kharij hoti hai usi "Mazi" kehtay hain aur wo paak hai. aur wuzu ghusl ko bhi batil nahin karti. 2) Wo ratubat jo kabhi kabhi mani ke baad kharij hoti hai jise "Wazi" kaha jaata hai. 3) Wo ratoobat jo baz awqat peshab ke bad niklti hai use "Wadi" kehte hain. agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is ke alawa is se ghusl wajib nahin hota hai mazeed ye ke jab kisi shakhs ne peshaab ke baad istibra kiya ho aur is ke baad ratubat kharij ho jis ke bare me shak ho ke wo peshaab hai ya mazkorah baala 3 ratoobato me se koi aik to wo paak hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #70,345). [Updated on 30-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Beemari ki halat m janabat m namaz prh skty hn kya?
Answer: Namaz or is jaisi ibadaat ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. Han agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,659,709). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]