Question: Mry fracture hua va h kya m intercourse k baad bghr nahae namaz prh skti hn???
Answer: 1: Namaz or is jaisi ibadaat ke liye ghusl e janabat karna wajib hai. Agar kisi ke badan par zakham ya phorha ho to mukallaf ko ghusl ya tayyammum ka ikhtiyaar hai agar wo ghusl ko ikhtiyar karta hai aur zakham ya phorhe par jabira nah ho to ehtiyat e mustahab( behter ) ye hai keh zakham ya phorhe par paak kaprha rakhe aur is kaprhe ke upar masah kare agar badan ka koi hissa tota hua ho to zaroori hai keh ghusl kare aur ehtiyatan jabira ke upar bhi masah kare aur agar jabira par masah karna mumkin nah ho ya jo jaga tooti hui hai wo khuli ho to tayyammum karna zaroori hai. 2: Agar pani ka istemal kisi ke liye jaan lewa ho ya is ke badan me kisi aib ya marz ke paida hone ya mojooda marz ke toolani ya shadeed ho jane ya elaaj me dushwari paida hone ka sabab ho to is ke liye zaroori hai ke tayammum kar ke namaz parhay. lakin agar pani ke istemal ke zarar ko kisi tareeqe se door kiya jaa sakta ho maslan ye ke pani ko garam karne se zarar door ho sakta ho to pani garam kar ke ghusl kare. Aur jab majboori khatam ho jaye gi to tayammum bhi batil ho jaye ga, aur phir ghusl e janabat anjaam daina zaroori hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #338,356,659,709). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusal krty wqt pehly jism ko sabhun sy dhona chahye ya pehly ghusal KR liya Jaye phir jism pr sabhun mala Jaye?
Answer: Ghusl se pehlay Jism ko sabun aur balon ko shampoo karna zaroori nahin hai balke sirf wo jagh jahan najasat lagi hui hai us jagh ko paak kiya jaye aur paak karne ke bad Ghusl kiya jaye to kaafi hai. (Han is baat ka khayaal rakha jaaye ke sabun ya shampoo istemaal karte hue paani mazaaf na ho jaaye Q ke ghusl ya wuzu me paani ka muzaaaf hue beghair jism tak puhnchna zaroori hai). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #154,360). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiss,karne sa,ghusul wajib hota,hai ke nhi
Answer: 1: Agar bosa(kiss) dene se aap muraad kisi na mehram khatoon ko bosa dena hai to ye Haram aur ghunah e kabira hai lekin is se ghusl wajib nahin hota, Q ke do cheezen ghusl e janabat ka sabab banti hai: 1) Jima (intercourse) karna. 2) Mani (semen) ka nikalna, ab chahe mani, neend ki halat main nikle ya jaagte men, kam ho ya ziyadah, shehwat (lazzat) ke saath nikale ya baghair shehwat ke aur iska nikalna ikhtiyaar main ho ya na ho. 2: Na mehram mard or aurat ka aik dosre ke jism ke kisi hissay ko dekhna, chhoona ya bosa dena(kiss karna) chahe lazzat or shehwat ke iraday ke sath ho ya is ke baghair ye tamam kaam bhi Haram or gunah e kabira me se hain. aur is gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharaei or halaal rasta shadi karna hai Q ke Jo koi bhi chahe mard ho aurat agar shadi na hone ki wajah se Haram kaam me mubtila hote hon to is par wajib hai ke wo shadi kar lay. 3: Agar kisi se ghunah sarzad ho jaye to agar wo sharmidagi ke sath sachay dil se tauba kare lay to yaqeenan Allah taala ki zaat Gafoor o Raheem aur bakhshne wali hai aur use bhi yaqeenan bakhsh degi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #344,356,397,2407. + Minhaj us Saliheen, Part #1, Edition #1443 hij, maslah #30. + (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). [Updated on 07-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamo alekum.. agar bina humbistri ke admi ki mani nikalti hai r wo biwi ke hath par lag jae to kya biwi par gusl farz ho jata hai
Answer: Biwi par ghusl wajib nahin hoga faqat apne hath ko dho kar paak karegi. (Ref: Tauzeeh ul masasil, Tauzeeh ul masasil, edition #42, maslah #344,119,156). [Updated on 09-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum agar raat ko ehtelam ho jaye aur kapde pr lg jaye to kya ham itna hissa dhoke dusre kapde pehn skte hai ya pura ghusal krna pdega sir se per tak
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Namaz, roza ya is tarah ki ibadaten anjaam dene ke liye ghusl karna aur apne badan aur libaas ko paak karna ya libaas ko tabdeel karna wajib hai, warna nahin. 2: Tarteebi Ghusl ka tareeeqa: ghusl ki niyat ke sath pehle pura sar or gardan dhona hai aur bad men badan dhona zaroori hai aur behtar ye hai ke badan ko pehle daaen taraf aur baad men baaen taraf se dhoya jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,360,787). [Updated on 24-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ghusal me gardan or sar k bad pani se hatna hota hayna phir baki hissa dhotay hayn. Tou agar sar or gardan dho li aur shower band krdia phir shampoo baalo pe laga ke baki ghusal continue krlen pehle righr hissa phir left tou ghusal sae hay?
Answer: Jee han, ghusl sahi hoga Q ke wo tamam sharaait jo wuzu ke sahi hone ke liye zikr ki ja chuki hain maslan pani ka pak hona aur ghasbi nah hona wohi sharaait ghusl ke sahi hone ke liye bhi hain. Lekin ghusl mein ye zaroori nahin hai ke insaan badan ko upar se neehe ki janib dhoye. is ke alawa ghusl-e-tartibi mein ye zaroori nahin ke sar aur gardan dhone ke bad fauran badan ko dhoye. Lihaza agar sar aur gardan dhone ke bad tawaqquf kare aur kuch waqt guzarne ke bad badan ko dhoye to koi haraj nahin balke zaroori nahin ke sar aur gardan ya tamam badan ko aik sath dhoye, pas agar misaal ke taur par sar dhoya ho kuch dair baad gardan dhoye to jaiz hai laikin jo shaks peshab ya pakhaana nikalne ko nah rok sakta ho taham use peshab aur pakhaana andazan itne waqt tak nah aata ho ke ghusl kar ke namaz parh lay to zaroori hai ke fauran ghusl kare aur ghusl ke bad fauran namaz parh lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #379). [Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia nashtay k baad gusal e janabat kia ja skta h? Sardi ho or fajar k waqt thand ki waja sy ya join family hony ki waja sy nahana muahkil ho to
Answer: Namaz, roza ya is tarah ki ibadaten anjaam dene ke liye ghusl karna wajib hai, warna to din me kisi bhi waqt kiya jaa sakta hai. lihaza namaz e fajr ke liye ghusl e janabat karna zaroori hoga taake namaz e fajr ada ki jaake q ke jaan bhooj kar namaz qaza karna Haram aur gunah e kabira hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356. + Tauzeeh ul Masail Jaame, part #2, maslah #394). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr himbistari k fornn baad aurat ko periods ajain to Kya Ghusal lyna wajib hai.?
Answer: 1: Wajib nahin hai, han agar aap chahen to abhi fauran janabat ka ghusal kar len ya phir aap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain. 2: Jis kisipar chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon ke liye bhi kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387). [Updated on 03-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr himbistari k fornn baad aurat ko periods ajain to Kya Ghusal lyna wajib hai.?
Answer: 1: Wajib nahin hai, han agar aap chahen to abhi fauran janabat ka ghusal kar len ya phir aap haiz ke ghusl ke sath bhi kar sakti hain. 2: Jis kisipar chand ghusl wajib hon wo un sab ki niyyat kar ke aik ghusl kar sakta hai aur zahir yeh hai ke agar un me se kisi aik makhsoos ghusl ka qasd kare to wo baqi ghuslon ke liye bhi kafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #387). [Updated on 01-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Hambistri kry or ghusul na kry phr hambistri kry aik dfa ghusul krna hoga
Answer: Jee, aik dafa ghusl karna hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #348,356,387). [Updated on 20-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]