Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1545
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: qhusl haiz ki kitni duayan hain mujhe bataiye maherbani shukriya

Answer: Ghusl haiz main koe dua wajib nahi hay.(urwatul wusqa part#1, sistani(d.b), pg#228,229).

Id: 1636
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya aurat periods ke tesre din husband ke saat hum bistari kar sakti hai

Answer: Jee nahi jab tak periods khatan nah ho jay hambistari kerna jaiz nahi hay.Haiz kay ayyam (days) mein aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono kay liyay haram hai. chahe dukhool sirf supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai ke supari se kam miqdar mein bhi dukhool na kia jai. albatta yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima kay liyay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi kay bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho). (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1885
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaium aap hame haiz ghusl ki Dua mail kijeye. Thank you

Answer: Haiz k ghusl k liay koe dua nahi. (ref : e mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : March 1, 2011) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 1993
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam g mera sawal ye hai k kia aurat periods ki halat me allah k naam ka wird kar sakti hai ya nahi aur astighfar,aur pehla kalma parh sakti hai ya nahi zara tafseel se bataye ga shukria

Answer: Aurat periods ki halat me Allaha ka wird kar sakhti he magar Allaha k (Ref: Naeem ul aamaal pg# ) ko hath ya jism ka koi hissa mus karna haram he. Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2033
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar napaki mein ghalti se quran ko cho lia jai,sirf bahir se tou kia kerna chaye

Answer: Quran ko Saath rakhna, iskai jild ko chuna, Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2046
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: which surah should not be recited by females during menses?

Answer: Aurat periods ki halat me Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2072
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: haiz k dino may hatho may mehndi lagana jaiz hay ya nahi?

Answer: Mehandi ya is jaisi doosri cheezoon se khizab karna baaz fukha k qoul k mutabiq makrooh he. Jab ke ayatullaha sistani d.b. k mutabiq makrooh nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2114
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum mulana sahab my ap se ek sawal karna chare keya hum na pake halat me sar ko mahendi laga sakte ghar k bade buzrg to bolte hai k jab tak gusul nai otarta ab plz ap boley na shokreya Alla Hafiz

Answer: Haaiz aurat k liay mehandi ya is jaisi kisi aur cheez se khisab karna baaz fuqha k qoul k mutabiq makrooh he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2130
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia aurat napaki(haiz & nifaas) mein zubaani qiraat-e-quran kar sakti he ?

Answer: Note is web site me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2148
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya menses ki halat hain aurat ko roza rakhna jaiz hain

Answer: Namaz, Roza aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon, JAIZ NAHI hay. Laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!