Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2185
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o aleykum Q.: Kya Mensis ke Dooran aurat Gloves pehnkar Quran parsakti hai??? Usko Aisse haat laga sakti hai & read karsakti hai...

Answer: Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448 , 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2222
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: After wife mences how many days should wait for meet. after 7 days or 3 days.

Answer: Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono kay liay haram hai, balkeh kaha gaya hay k ye gunah-haan e kabeera main say hay. chahay dukhool sirf supari(paishab ki nail ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jaay. albattah yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima k liay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho).aur haiz se pak honay k bad nambistri kar sakhta he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448 & Minhaajus saliheen, part#1,maslah#228).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2258
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: can nikah be done if the bride is in her menstruation or menstraul cycle?

Answer: Your marriage is right because there is no condition in marriage that woman will not be in periods. During periods to having sexual intercourse is Haraam for man as well as for woman even if only the penis glens may penetrate, and even if semen may not be discharged. In fact, the obligatory precaution is that the male should refrain from insertion even to an extent lesser than the point of circumcision. Anal intercourse with the wife is forbidden as a obligatory precaution if she is not agree whether she is in periods or not. And if she is agree then anal sex is Acute abominable.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 448, 2335) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2355
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam, my question is that jo girls k reham mein se nikalta wo kya h?nd kya wo napak hota h?

Answer: Har mahinay chand dino k lie aurat k rehem se jo khoon nikalta he ose haiz kehtay hein aur aurat ko jab haiz ka khoon aye to ose haiza kehtay hein aur ye najis(napaak) hota he aur jis cheez ko lagay ga os ko bhi najis kar day ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 432, 93) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asak jo wazeefa 40 ya 41 din ke hote hain woh hum ladkiyan kese padh sakti hain matlab periods ki wajha se hum naakpaki ki doraan kese padhe...ya jub paak hojaye to usko continue kar sakte hain?

Answer: Aurat periods ki halat me Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay un Ayaat ka halat e janabat or halat haiz or nifaas main parhna haraam hay.Jaisay Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fussilat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19.Iskay Alawa Quran ko Saath rakhna,Iskay hashiye ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona makhrooh baaz fuqaha k qaul k mutabiq makroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 467 & Minhaaj us Saliheen(A.Sistani) Masala No.235.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2432
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam...i want to ask k agar kisi aurat kay days fixed na ho to woh kaisay decide kare k ab mujhe ghusl krna hai aur namaz parhni hai?kiun k aksar aise mai namaz ya to qaza hojati hai ya phir periods mai parh lee jati hai...

Answer: Wo aurat jisay 2 mah khoon aye lakin waqt aur adad donoo k laihaz se is ki aadat fix na hue ho agar ose 10 din se ziyada khoon aay aur sara khoon aik jaisa ho maslan tamaam khoon ya haiz ki nishanion k saath ya istehaza ki nishanion k saath aya ho to is ka hokum waqt ki aadat rakhnay wali aurat k hokum he keh jisay apni adapt k ilawa waqt main khoon aay or alamaat k zarye haiz ko istehaza se tameez nah day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 484) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2434
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: haiz ke kitne dino bad hambitari karna sahi hai

Answer: Aurat k haiz se paak ho janay k baad agar chah is ne ghusl na kia ho is ka sohar is se jima kar sakhta he. Lakin ethiat e lazim ye he k jima , sharamgah dhonay k baad kia jay. Aur ethiat e mustahib ye he k is k ghusl karnay se pehlay mard bivi se jima na karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 457) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2501
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya auroto ko haiz m roza rakhna haram h???...

Answer: Namaz, Roza aur is jaisi deegar Ibadatain jinhain Wuzu,Ghusl ya Tayammum kay saath ada karna zaroori hay agar is niyyat say anjaam day kay sahih amal anjaam day rahi hoon, JAIZ NAHI hay. Laikin in ibadatoon kay ada karnay main koi haraj nahi hay jin kay liye wuzu, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi hay jaisay Namaz-e-Mayyat. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2600
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam ager haiz ma mubashrat kr li jay to is ka kia kafarah ho ga

Answer: Agar haiz ki halat me mubashrat karay to us k liye zarori hai k istighfaar karay aur kaffara dena wajib nahi hai agarchay behtar hai ke kaffara day is ka kaffara aik misqaal sikkay daar sona aur darmiyane hisssay me adha misqaal aur is k akhri hissay me chothae misqaal hai aur misqaal shari`at me 18 chanay hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2601
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: i want to ask that i have a mensis period of 7 days my question is that can i have a sexual intercourse before i take bath on 7th day

Answer: Aurat k haiz sai pak ho janay k baad agar chahe is nai ghusl na kia ho is ka sohar is sai jima bhi kar sakta hai laikin ehtiyat e lazim hai k jima sharmgah dhonay k baad kia jae aur ehtiyat e mustahabb ye hai k is k ghusl krnay sai pehlay mard is sai jima na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 457)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!