Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17149
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sajdy my jaty hoy do dafa takberr perna kisa hy

Answer: Jaiz hai Q ke agar koi shakhs jan bhooj kar ya ehtiyaatan Al-hamd ya surah ke kisi hisse ya azkaar-e-namaaz ki takraar kare to koi haraj nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1123). Note .namaz me apne traf se kise zikar (maslan allah o akbar wagaira )ko dobaar ya ziyada perhna namaz ki juz ki niyat se na ho yani is ko namaz ka hissa na samja jaay [Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17156
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main na pehli rakat main jo surah parhi the wohi surat dosrii rakat main dobara parh le kya is sy mare namaz par to koi faraq nai paryga?

Answer: Namaz sahi hai lekin aisa amal ajnaam dena makrooh hai(is se muraad ye hay ke sawaab kam mele ga). Han! agar surah e ikhlas dono rakaton main parhi jaye to makhrooh nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1008). [Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17165
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: السلام علیکم محترم. میرا ایک سوال ہے دوست کہتے ہیں کی نماز وقت سے کچھ دیر پہلے بھی پڑھی جا سکتی ہے. جیسا کہ زوال کا وقت ختم ہوتے ہی ظہر پرھی جائے. کیا احکامات ہیں. اصلاح فرمائیے گا.

Answer: Jaise hi zawal e aaftaab (yani zuhr e sharaei) ho us waqt se namaz e zuhr ka waqt shuru ho jata hai to insaan us waqt namaz e zuhr parh sakta hai aur is ke baad namaz e asr parh sakta hai. lekin zawal e aaftaab se pehlay nahin parh sakte. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #718,730). [Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17187
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera sawal ye hai Kay tajweed se namaz parhna zaroori hai or agar ab tak anjane me ap Kuch namazen tajweed Kay Sath na parhpae ho or tadat maloom na ho to uska kia hukum hai?

Answer: 1: Agar koi lafz jaan bhoojh kar ya jehle-e-taqseeri(yani aise jahalat jis me qable qabool uzur na ho) ki wajah se na parha ho ya aik harf ke bajaaye dusra harf parha ho maslan zuwad(ض) ke bajaaye zaal(ذ) ya ze(ز) kaha ho ya zer aur zabar ka is tarah khayaal na rakha ho ke ghalat ho jaaye ya tashdeed na parhi ho to namaz baatil hai aur dobara parhni hogi. lekin agar is had tak tajweed ka khayal rakha ho to namaz sahi hai. Agar insaan ne koi lafz jis trah yaad kia ho ise sahe samageta ho or namaz me ise trah perhe or baad me ise pata chale ke isne galat perha hai tu is ke lie namaz ko dobara perhna zarori nahe . (Namaz ) ki qiraat me huroof ko is trah se ada karna kafi jo arabo ke yaha sahe samge jaae or tajweed ki kitaboo me ilkhe ghe qawaneen ka khayaal rakhna zarori nahe (yani tajweed ki kitaboo me ilkhe ghe har aik qanoon ka kayaal rakhna zarori hai ) hay agar in huroofu ko is trah se ada kiya jaae ke araboo ke yaha sahe na mana jaae tu namaz batil hay . 2: Agar tadad maloom na ho maslan ye na janta ho ke 3, 4 ya 5 thi to agar chotay adad ke hisab se sahi qirat ke sath parh len to kaafi hai lakin behtar ye hai ke itni namazain parhen ke yaqeen ho jaye ke saari namazain parh li hain maslan agar pata na ho ke kitni namazain galat qirat ke sath parhi thein aur jabke yaqeen ho ke 10 se ziyada nahin thein to ehtiyatan 10 namazein parh len. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #987,988,1357, mujtahid se pouche ghe sawalaat hisa :2,pg no:37,sawaal no:60). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17191
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualikum, mera sawal y hy ki, meri roz ki zuhr ki namaz qaza hojati h due to job, mn roz qaza prti hu kya rozana ka mera nimaz ko qaza prna shi nhi ya fr shi h?

Answer: Jaan bhooj kar namaz ko apne waqt pe na parhna Haram aur ghunah e kabira hai. aur namaz ko apne waqt parhna zaroori o wajib hai. Note:aap namaz ke srif wajebaat (zarori cheze ) perh lia kare or namaz ke mustahabbaat (wo cheze jo wajib nahe hain) or azaan o iqamat or taqebaaat namaz bhe mustahab hain un ko chora jasakta hain. (Ref: Minhaj us saleheen, Ayatullah Sistani(db), part #1, maslah #30). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17220
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia azan hone k forun baad Namaz parh sakte hai? ya jo time hoti ussi par parhni chahye?

Answer: Azaan ka hona zaroori nahin hai balke mustahab jabke Insaan namaaz me us waqt mashgool ho sakta hai jab use yaqeen ho jaaye ke waqt dakhil ho gaya hai ya do aadil mard waqt daakhil hone ki khabar den. Isi tarah agar ke kisi shakhs ke azaan dene aap ko yaqeen ya itminaan aa jaye to namaz parh sakte hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #730,903. + Istifta, https://www.sistani.org/urdu/qa/17522/ ). [Updated on 20-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17238
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA rafulyadain krna jaiz hai ya mansookh ho chuka hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Mustahab (sawaab ka ) hai ke namaz ki pehli takbeer (takbeera-tul-ehraam) aur namaz ki darmiyaani takbeeren kehte waqt haathon ko kaano ke barabar tak lay jaye. [yani rafa-ul-yadain karna jaiz hai aur jaiz hone ke sath sath mustahab bhi hai laikin agar na kia jaae tu namaz batil (galat ) nahe hoghe . (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #942). [Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17241
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum kia namazoo ko ikata parna chahye ya alag

Answer: 1: Aik waqt main 2 namazain parhna jaiz hain. yani namaz e zuhar se farigh ho kar namaz e asr ko parha jaaye aur isi tarah namaz e magharib se farigh ho kar namaz e isha ko parha jaaye. aur beshak hamary nabi(s.a.w.w) ne is tarah zuhar aur asr ki namaz aur maghrib aur isha ki namaz ko baghair majboori ke jama kar ke parha tha. lekin afzal ye hai ke tamam namazon ko alag alag un ke fazeelat ke waqt main parha jaaye balkeh awwal e waqt main parha jaye. 2: Namaz e Zuhar ki fazeelat ka waqt zawal aur shakhis (lakrhi) ke saaye ki wo miqdaar jo zuhar ke baad paida ho 7 may say char 4 hison ke barabar puhunch jaaye us ke darmiyaan hai. 3: Namaz e Asr ki fazeelat ka waqt shakhis (lakrhi) ke saaye ki wo miqdar jo zuhar ke baad paida ho 7 may say 6 hison ke barabar puhunch jaaye us ke darmiyaan hai. (ye waqt os waqt ka hay jab shadeed garmi na ho aur jab shadeed garmi ho to in dono namazon ki fazeelat ka waqt shakhis ke barabar aur shakhis ki dugni (double) miqdaar ke darmiyaan baghair faaslay ke hai). 4: Namaz e Magharib ki fazeelat ka waqt us ke liye jo musafir nahin hai magharib se shafaq ke chale jane tak yani humrae magharibiya (magrib ki surkhi) aur jo musafir ho us ke liye fazeelat ka waqt raat ke 1/4 hissay tak hay. 5: Namaz e Isha ki fazeelat ka waqt shafaq ke chale jane se yani humrae magharibiya se raat ke aik 1/3 hissay tak hai). 6: Namaz e Subah ki fazeelat ka waqt fajr se lekar subah ke asmaan par zaahir hone tak hai, aur awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz parhna afzal hay. Isi tarah tamaam fazeelat ke waqton me jaldi karna pehle bataye gaye waqtoon par afzal hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #964 to 969). [Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17243
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it necessary to read another surah after Allhamdulillah

Answer: Agar aap ka sawal eisaal e sawab ke taur par parhe jaane waale surah Alhamd aur is ke baad surah ke baare me to phir is me surah Al-hamd ke baad koi dusra surah parhna zaroori nahin hai. lekin aap ka sawal rozana ki wajib namazon me parhe jaane waale Al-hamd aur is ke baad surah ke baare me hai to is me zaroori hai ke insaan rozaana ki wajib namazon ki pehli aur dusri rakat main pehle Al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat kare aur ehteyat e wajib ye hai ke aik mukammal surah ki tilawat kare. Note: agar aap ka sawal in doi soorton ke alawa kisi aur cheez ke baare me hai to aap use waazih karen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #965). [Updated on 23-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17402
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O Alaikum Qari Shb mujhey namaz parhne mein or Quran parhne mein masla hota hai lafz sahi tarhan parhe nhi jatey boht ghlti hoti hai or us ghlti ko sahi karta hun to rakat nikal jati hai ya Salam perh liya jata hai plz meein boht pareshan hun

Answer: Aap ke zaroori hai ke aap darj zail sharaei maslon ke mutabiq amal karen. 1: Insaan ke liye zaroori hai ke namaz ki qiraat ko sahi parhe aur jo shakhs kisi tarah bhi poore surah-e-hamd ko sahi na parh sakta ho to jis tarah bhi parh sakta ho parhe jabke Al-hamd ki sahi parhi jaane waali miqdaar bhi aik qaabil tawajjuh miqdaar ho. lekin agar wo miqdaar buhut kam ho to ehteyat-e-waajib ki bina par Quran ke doosre suron mein se jis qadr sahi parh sakta ho us ke saath mila kar parhe aur agar aisa na kar sakta ho to tasbeeh ko us ke saath mila kar parhe aur agar koi shakhs al-hamd ke baad parhe jaane waale poore sureh ko na sheekh sakta ho to zaroori nahin hai ke us ke badle kuch parhe. har haal mein ehteyaat-e-ustahab yeh hai ke namaz ko jamaat ke saath baja laaye. 2: Agar kisi ko Al-hamd achi tarah yaad na ho to zaroori hai ke apni zimmay daari ada karne ki koshish kare chahe is tarah se ke Al-hamd seekh lay, ya koi use parhaye aur woh parh lay. ya namaaz-e-jamaat mein kisi ki iqtedaar kar lay ya shak ki soorat mein namaaz ko duhraa lay aur agar waqt tang ho aur woh is tarah parhe jaise ke ghuzishta masaleh mein kaha gaya hai. to us ki namaz sahi hai lekin agar Al-hamd na seekhne mein us ka apna qusoor ho to agar mumkin ho to azaab se bachne ke liye jamaat ke saath namaaz parhay. Note: Jamaat ke sath namaz parhne ki soorat me Al-hamd aur doosra surah parhna paish Imam ki zimmay daari hai, muqtadi ki nahin balke muqtadi ke liye khamosh ho ke sunna hai, albatta Al-hamd aur doosra surah ke alawa baaqi tamam zikr jo parhe jate hain wo muqtadi ko bhi parhne hon gay. Q ke zaroori hai ke maqtadi Al-hamd aur surah ke alawa namaz ki sab cheezein khud parhe. Lekin agar maqtadi ki pehli aur dusri rakat jabke Imam ki teesri aur chauthi rakat ho to zaroori hai ke maqtadi Al-hamd aur surah bhi parhay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #984,985,1442). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!