Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17447
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya namaz ma phli rakat ma surah iskhlaas prh lein or dusri rakat ma surah al kosar kya ye theek ha??

Answer: Jee yeh sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1005,1006). [Updated on 19-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17474
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum meraa sawaal hay k agr koi chotaa peeshaab(urine) aisi jgaa krtaa hay jhaan paani naa hoo too usk urine k ak yaa 2 drops kapdoon pe lagnain say kapday napaak hoo jaien gay un me nmaaz padhi jaa sakti hay yaa ni

Answer: Urine chahe 1 qatra hi qu na ho libas ko najis krdeti hai and uss libas k sath halat e ikhtiyari (Pak krna mumkin ho) namaz nhi hoti lekin agr uss k ilawa koi or libas na ho ya vo usi najis libas me namaz prhne pr majboor hon to namz shih shumar hogi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 44th edition, maslah # 786,801) [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17496
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya mard ka namaz me satar ka Chhota sa hissa dikh Jane se namaz or wazoo dono toot jate hai? Jab ki kisi aurat ki nigaah ek hi martaba padi ho behen ya biwi.

Answer: Agar namaz ke dauraan pata chale ke namazi ki apni sharmghah barehna hai to zaroori hai ke apni sharmghah chupaye aur us par laazim nahin ke dobara namaz parhay. lekin ehteyat-e-wajib ye hai ke jab use pata chale ke us ki sharmghah barehna hai to us ke baad namaz ka koi juz anjaam na day. Aur agar use namaz ke baad pata chale ki us ki sharmghah barehna thi to us ki namaz sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #780). [Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17595
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agha Sahab Mera sawal ye hai k Jo Iran or Iraq m 7 ya 9 aqeeq ki ring milti hai wo hr shakhs pehn skta hai? Or us ko pehnny k bd koi nuksan to nhi hota na?

Answer: 1: Har shakhs pehen sakta hai aur koi nuqsan nahin balke har pathar (stone) ki apni apni fazeelat hai. Albatta Mujtihideen ne namaz parhne wale ke liye aqeeq ki anghuthi (ring) pehene ko mustahab qaraar diya hai. 2: Rasool Allah(s.a.w.w) ne Hazrat Ali(a.s) se farmaaya: Laal (red) aqeeq ki anghuthi (ring) pehno Q k is ne khuda ki wahdaaniyat (unity) aur meri nabuwat aur Hazrat Ali(a.s) aur un ke aulaad ki imamat ka iqraar kiya. Allah ne farmaya ke jis haath me aqeeq ki anguthi (ring) hogi me aatish e jahanum me us haath ko azaab nah karon ga. Imam Ali Raza( a.s) ne farmaya yaqoot ki anghuthi (ring) pehenne se pareshani zaail hoti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #852. + Tehzeeb ul Islam, Allama baaqir majlisi, pg#32,36,38,39). [Updated on 26-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17634
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Age Safar ki wajah se Maghrib ki Namaz reh gai ho or Isha k Waqt Namaz ka time mily or Ap Namaz jama kr k parhna Chaho tou Pehly Maghrib Parhein gy Ya Isha?

Answer: Fiqh e Jafariyya me Zohar aur Asar ko isi tarah Maghrib aur Isha ko mila k parhna jaiz hai.. Zarori hai k Zohar k bad Asar isi tarah Maghrib k bad Isha parhi jae.. (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Namaz k Ehkam) [Updated on 07-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17640
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koi soo raha ho to us ka peechy namaz parh sakty hai? By aaqa seestani

Answer: Jee, parh sakti hain, lekin kisi insan ke muqabil namaz parhna makrooh hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885). [Updated on 01-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17673
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz me mard ka kitna parda hona chae hai

Answer: Zarori hai k mard chahe use koi na bhi daikh rha ho namaz ki halat me apni sharamgaho ko chupae or behtr yh hai k naaaf se ghutno tak badan bhi chupae.. Albatta mukammal,saaaf o pakiza, khushbodar libas k sath namaz prhna mustahab hai.. (Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.b, 39th Edition, Masla No. 776) [Updated on 26-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19067
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aurat ka buland awaz se naamaz parhna jab ke ghr main koi namehrm na ho . Kia isse namaz batil hai?

Answer: 1: Mard aur aurat dono par ehtiyaat ki bina par wajib hai ke namaaz-e-zuhr aur aser mein Al-hamd aur surah aahista parhen. 2: Agar na mehram wahan maujood nah ho to Subh, maghrib aur isha ki namaz mein aurat Al-hand aur surah buland ya aahista awaaz mein jaise chahe parh sakti hai. lekin agar na mehram us ki awaz sun raha ho aur kaifiyat ye ho ke use apni awaz sunana haraam ho to zaroori ke aahista parhe. aur agar jaan bhoojh ke buland awaaz se parhe to ehtiyat e wajib ki bina par namaaz baatil hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #979,981). [Updated on 04-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19170
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma janna chahta hun k kia Pyshab ka zoor ho or us k bawajud namaz peh sakty hain ya nai.

Answer: Namaz parh sakte hain lekin namaz se pehlay peshab karna mustahab hai. Albatta peshab rokna makrooh hai aur agar badan ke liye muzir ho to haram hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #78,79). [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19348
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam O alaikum.. Mera sawal ye hai k darwazay ki chokhat pe namaz parh sakty hain.. Jahan kamry mai jany ki guzargah hoti hai. Kindly tell me..

Answer: Parh sakte hain. lekin darwazay ke saamne namaz parhna isi tarah logon ke guzarnay ki jagh pe namaz parhna makrooh hai aur agar aane jaane walon ke liye zahmat ho to un ke rastay mein rukawat daalna Haraam hai, lekin namaz phir bhi sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #1146). [Updated on 06-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!