Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 24697
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam Ya Ali a.s Madad: meri ek Islamic Firka k madarse men job hai mera kam managment or computer database ka hai, Men shia aqeeda rakhta hun or wahi namaz parhta hn, wo log shia maslak se nafrat rakhte hen or kafir kehte hen, mene apna aqeeda zahir nahi kiya, wo mjhe force karte hen k jamaat namaz men or hamare sath namaz parho, men agar aqeeda batata hn to dar h k wo mjhe wahan se nikal den or rozgar chala jaey,, Tou kya mujhe un k sath namaz e jamaat ada karni chaiye?? agar karni chaiye to uske kya ehkamat hain or agar nahi karni chaiye to kya ahkamat hain ?

Answer:

Id: 24844
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam o Alaikum! mujhey ek masla ka hal chahiyeh, wo ye k mein ik German company mein kaam kerti hoon aur idher hum 5 Muslims hain. woh log nemaz nahi parhtey zuhr aur asr ki, lekin mein pheley parhti thi chup chup ker, q k company mein koi concept nahi k ibadat kerni hai. mein Canteen mein parh liya kerti thi, lekin asal masla ye hai k nemaz k liye dupatta zaroori hai aur jub k mein Hoodie / hood ki topi sir pey pehen ker nemaz parh liya kerti thi. Lekin phir mujhey kisi ney kaha k ye nemaz qabool nahi hoti toh is sey behtar hai k na parha kero office mein. lekin mein bohet bechain rehti hoon k nemaz nahi parh rahi. Please is mein koi relaxation ho sakti hai k mein hoodie pehen ker nemaz parh sakoon. Please rahnumai ki jiye. Thanks

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 24870
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Salam.. Mera sawal yeh he ke ki orton ko mardon ki tarha namaz prhni chiye same to same? Mene bht search kia hadees prhi Par har jaga alag jawab Mila... Ap please sahi tareeka btaden.. Dusra sawal mera yeh he ke kia orton ko bhi Jummy ki namaz prhni chiye or ktni rakat? Ya bas zuhur ki hi prhni chiye? Teesra sawal mera yeh he ke kia orton ko washro sar pe dupatta leke jana chiye?

Answer:

Id: 25335
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Esy Shakhs ky peechy namaz prhna jaiz hai jo masjid ma imamat krwa rha ho or ausnho ne pehly din shahdat e salsa prha di ho lakin bd ma logon ky manha krny sy aunhon ne nahi prhai kia wo dil ma prh skta hai Shahdat e Salsa or agr wo prhty hein to iska asr hamari namaz pr kia hoga.? Ap iska jwb mujhy mail kr dein agr koi fitna phelna ka dar weghra hai toh

Answer:

Id: 25525
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mere ghr ke nazdeeq aik mazar ha aur waha bajamat namaz ka Ehtemam b keya jata ha. Q: Kia waha namaz ho jati ha? Note: (jb jamat khari hoti ha tu samne 2 qabre han lakin unho ne waha per parda lagaya hoa ha jis se qabare nazar nai ati lakin imam ki jaga ke right side per qabar han)

Answer:

Id: 26102
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam-O-Alaikum-wa-rehmatullah-e-wa-barakaatuh! Sir, mera question ye hy ke agar koi shakhs panchon waqt ki Namaz padhta ho, or wo bhi namaz ki jo sahi positions hen wo apna ke padhta ho (mislan sajde men pet or raanon ke darmyan munasib fasla ho or baazo khule hue hon, or rukoo men peeth bilkul seedhi 90° ka agle bnay tangon ke sath etc) or poore din men wazish/excercise ka bas yahi kaam kre, to esay shakhs ki warzish/excercise us shakhs ki nisbat kitni hogi jo aadha ghanta daily paseena bahanay wali warzish ya walk krta ho? Kya namazi ko jismani lihaz se ziada faida hoga ya khule men paseene wali walk/excercise krne wale ko?

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!