Question: After how many days a man and a woman should remove his/her hair from his/her private parts? With that, if one has not removed his/her hair for quite many days, (more than the told period) is it alright to offer namaaz?
Answer: Jee nahin, baal remove karna zaroori nahin hain namaz phir bhi sahi hai. Han, albatta mardon par har 40 din baad or khawateen par har 20 din baad sharamgaah ke baal remove karna mustahab hai lekin wajib nahin. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0504/#8632). [Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamalekum, fajr Aur asr ki namaz padhane ke baad Imaam Sb apna rukh namaziyo ki taraf kyu karte hain
Answer: Ye baat tu aap khud Apne imam sahab se pouch sakte hay,shayad namziyon ko waaz o naseehat or hidayat karne ke liye [Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz Khatam Karnay Ke Baad Teen Martaba Allah Hu Akber Kehna Kis hadees se sabit Hai ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (yani shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Hazrat Shaikh e Sadooq ba isnaad e khud safwan bin mehran jamal se riwayat karte hain, un ka bayan hai ke mene Hazrat Imam Jaffar Sadq (a.s) ko dekha ke jab namaz parh kar faarig hote the to apne dono hathon ko apne sar ke uppar tak buland karte the. 2: Aik aur Hadeen me Mufazzal bin umar bayan karte hain ke mene Hazrat Imam Jaffar Sadq (a.s) ki khidmat me arz kiya ke kis wajah se namaz guzar salam pherne ke baad teen baar takbeer kehta hai aur apne hathon ko buland q karta hai? Aap(a.s) ne farmaya: Janab e Rasool e Khuda(s.a.w.w) ne jab makka fatah kiya to Aap(s.a.w.w) ne apne ashaab ke sath hajr e aswad ke pass namaz e zuhr ada ki. jab salam phera to hathon ko buland kiya aur teen baar takbeer kahi, aur kaha: (لا اِلٰہَ اِلاَّ اللّٰہُ وَحْدَہُ وَحْدَہُ وَحْدَہُ، اَنْجَزَ وَعْدَہُ، وَ نَصَرَ عَبْدَہُ، وَ اَعَزَّ جُنْدَہُ، وَ غَیْبَ الاَحْزٰابَ وَحْدَہُ، فَلَہُ الْمُلْکُ، وَلَہُ الْحَمْدُ، یُحْیِیْ وَیُمِیْتُ، وَیُمِیْتُ وَیُحْیِیْ، وَھُوَ حَیٌّ لَایَمُوْتُ، بِیَدِہِ الْخَیْرُ، وَھُوَ عَلٰی کُلِّ شَیْئٍ قَدِیْرٌ) phir apne ashaab ki taraf mutawajjeh hue aur farmaya: Har namaz e fareeza ke baad ye takbeer aur ye dua parhna tark na karna q ke jo shakhs salam ke baad aisa kare ga to salam aur us ke shukr ki taqwiyat ki wajah se us par khuda ka jo shukr ada karna tha wo us se subukdosh ho jaye ga. 3: Namaz ke salam ke baad hathon ko bulan kar ke teen martaba takbeer (Allahu Akbar) kehna taqeebaat me shumar kiya gaya hai, nah ke namaz ka juz hai. (Ref: Masail-us-sharaiya tarjum wasail-us-shia, part #4, baab #14, pg #356,357. + Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1439 hij, Page #275). [Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya biwi apne shohar k samne chhoty kapre nahi pehen sakti ? Jese k tshirt ya trouser waghera
Answer: Jee bilkul pehen sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #2397,2399,2400). [Updated on 04-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya namaz main namaz k ilawa Allah ki barrhai kar saktay hain Matlab kalmat ya Allah ki Shan bayan karna ?
Answer: Jee han, namaz men kisi bhi jagah par quran parhnay, dua karne zikr e elahi karne me koi haraj nahin or namaz me kisi bhi zaban may dua mang saktay hain is se namaz batil nahin hoti lakin ehtiyaat mustahb (yani behtar) ye hai ke arabi ke alawa kisi zaban men nah ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #1122). [Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aurat mobile mein kisi jaga ki namaz laga k audio k saath saath wajib namaz parhsakti hai
Answer: Aise namaz parhi jaa sakti hai, lekin makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Edition #1443, Maslah #1311,1484). [Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslam o Alikum Mje fiqa jafria K mutabik Beth KR 2 rkt nimaz ka treeka BTA dain
Answer: Jab tak insan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hai keh na bethe masalan agar kharay hone ki halat mein kisi ka badan harkat karta ho ya woh kisi cheez par tek lagane par ya badan ko thora sa terha karne par majboor ho to zaroori hai keh jaise bhi ho sake kharay ho kar namaz parhe lekin agar woh kisi tarah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hai keh seedha (jis tarah tashhusd me betha jata hai) beth jaye aur beth kar namaz parhe. Jo koi Al-hamd aur surah parhne ke baad khara ho sakta ho aur ruku kharay ho kar baja laa sakta ho to zaroori hai ke khara ho jaye aur qayam ki halat me ruku me jaye aur agar aisa na kar sakay to zaroori hai ke ruku bhi beth kar baja laye aur ruku me is qadar jukhna zaroori hai ke us ka chehra us ke ghutnon ke bil-muqabil (saamne) jaa punchy. Isi tarah sajday me chala jaye. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #957,959,1014). [Updated on 10-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya qaza namazo ki tasbeeh chori ja sakti hai?
Answer: Agar tasbeeh se aap ki muraad namaz e zuhr, asr aur isha ki teesri aur chauthi rakat aur magrib ki teesri rakat me parhi jaane wali tasbeehaat e arba hai to is ko nahin chor sakte, Han ye kar sakte hain ke teesri aur chauthi rakat me tasbeehaat e arba ke bajaye Al-hamd parh len Q wajib namaz chahe ada ho ya qaza is ki teesri aur chauthi rakat me aik dafa Al-hamd ya aik dafa tasbeehaat e arba ka parhna wajib hai. Lihaza aik dafa Al-hamd ya aik dafa tasbeehaat e arba me se kisi aik ko qaza namaz ki teesri aur chauthi rakat me bhi parhna hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #992). [Updated on 16-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar zohr ki namaz ka time nikal jaye tu asr ki namaz ky sath parh sakty hai ya nhi? Ya phir maghrib ky sath parhy?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Namaz e zuhar or asar ka waqt zawal e aftab se guroob e aftab tak hai. aur guroob e aaftaab (yani maghrib) se pehle zuhar or asar dono parhi jaa sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #718.+ link: http://www.sistani.org/urdu/qa/02699/ ). [Updated on 20-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar zohr ki namaz ka time nikal jaye tu asr ki namaz ky sath parh sakty hai ya nhi? Ya phir maghrib ky sath parhy?
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 29-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]