Question: kounse namazke kithne rakaath
Answer: Salam un alaikum Aap ka sawal clear nahi hai laikin jo samajh aaraha hai us k mutabiq jawab yeh hai k Fajar ki namaz 2 rakat hai jabke Zohr ki 4 aur Asr ki 4 rakat hain aur jabke Maghrib ki 3 rakat aur Isha ki 4 rakat hain
Question: ASSALAM-O-ALEKUM AGER MAIN TASHAHUD MAIN ASHHDUAN-NA-MUHUMMADAN RASOOL ALLAH KE BAD ASHHUAN-NA-ALI-AN-WALI ULAH PARHOON TU YE AMAL HARAM HAI YA HALAL KIYA YE PARHNE SE MERE NAMAZ QAZA HOJAIGI BARAYE KARAM MUJH KO ZAROOR BATAIN
Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org/html/eng (Shahadat Salesa)
Question: ASLAM-O-ALAIKUM,KAYA HUM SHAHADAT-E-SALSA(ALI UN WALI ALLAH)NAMAZ MEIN PAR SAKTE HEIN?
Answer: Aihl e Tashayyu kay Azeem Marajieen nay jis tarz e amal ko apni Fiqhi kitaaboo main likha hay aap ki zimmedari hay kay apni Namaz usi tareeqay par Anjaam dain aur kisi qism kay jumlay ka izaafa na kijiye agarchay wo sahih hi kion na ho. Ref: Istiftaat A.Khaminae 26093e.
Question: Salaam, namaaz me talwe dhamp ne ke bare me ka hukum hai.
Answer: Aurat kay liye Namaz main Pair kay Talway chupana wajib nahi hay.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala No.518 Pg.174
Question: Asslam o Allkam, Ya ali Madad i want to know about shahdat salasa ali un wali ullah in tashahud in namaz wajib or not please reply to me about this problem i waiting your answar amadiataly thanks
Answer: Aihtiyat e Wajib ki bina par Tashahhud main Shahadat e Saalisa ka parhna JAIZ NAHI hay.Ref:www.sistani.org
Question: Mein Pichley 15 dinon se baghair sajda gah ke namaz parh raha tha la ilmi mein phir meray dost ne mujhe bataya ke sajda gah ke baghair namaz nahin ho sakti. Aap se darkhawast hai ke meri rehnumai farmaien ke meri namaz batil hai ya nahin. shukriya
Answer: Agar koi shakhs aisi cheez par sajda karay kay jis par sajda karna durust nahi hay (bhoolay say ya is aitiqaad kay saath kay is par sajda karna sahih hay) to agar wo sajday say sar uthanay kay baad ya Namaz parh lenay kay baad mutawajjeh ho kay jis cheez par wo sajda kar raha tha wo sahih nahi tha to is ki namaz sahih hay.Ref: Minhaajus Saaliheen Pg.186 Masala No.558.
Question: mujhe maloom kerna tha keh cents jin mein alchol denated mix hoti hai kya woh laga ker namazz perhi ja sakti hai
Answer: In ka Istemaal JAIZ hay.(means Namaz Sahih hay)Ref:Mujtahid say Poochay Gaey Sawalaat Book-4 Ques. No.45
Question: mein ager safer mein ho aur nmaz qaser perhi wapsi per mein apni city se door hoon ke namaz kasur hai lekin rastein mein hoon aur azan ho gai mager kaza hone se phele phonch gaya aur namaz qaser perhoon ke poori shukrya
Answer: Aap ko Namaz poori parhna hogee.Ref: Mujtahid say pooochay gaey sawalaat Book-4 Q.No.77.
Question: Nammaaz me buland perhne ke bare me kya hukum hai ? Kitna buland aur sirf qiraat ya zikr bhi please detail me jawab dein
Answer: 1:Mard par Aihtiyat ki bina par wajib hay kay subah ,maghrib aur Isha ki namazon main Al-Hamd aur soora buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par aihtiyat ki bina par wajib hay kay zohar aur asar ki namaz main Al-Hamd aur sora aahista parhain..2:Subah,Maghrib aur Isha ki Namaz main aurat Al-Hamd aur sora buland awaz say ya aahista jaisa chahay parh sakti hay laikin agar na-mehram is ki awaz sun raha ho aur us ka sunna haram ho to aithiyat ki bina par aahista parhay aur kaifiyat ye ho kay usay apni awaz sunana haram ho to zaroori hay kay aahista parhay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to aihtiyat e laazim ki bina par uski namaz batil hay.3:Agar koi shakhs jis namaz ko buland awaz say parhna zaroori hay usay jaan boojh kar aahista parhay ya jo namaz aahista parhni zaroori hay usay jaan boojh kar buland aawaz say parhay to aihtiyat e lazim ki bina par uski namaz batil hay.laikin agar bhool janay ki wajah say ya masala na jannay ki wajah say aisa karay to sahih hay.naiz al-hamd aur soora parhnay kay doraan bhi agar wo mutawajjeh ho jaey kay is say ghalati hoi hay to zaroori nahi hay kay namaz ka jo hissa parh chuka ho usay dobara parhay. 4:Agar koi shakhs Al-Hamd aur soora parhnay kay doraan apni awaz mamool say ziada buland karay masalan in sortoon ko aisay parhay jaisay Faryaad kar raha ho to uski namaz batil hay.Note: In tamam masail main buland aur aahista parhnay kay masalay ka talluq faqat Qirat say hay baqiya Azkaar main usay Ikhtiyaar hay.Ref: Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.980,981,982,983.Pg.161.
Question: as salam ale kum, meri qaza namaze baaki hai,mei abhi namaz baith kar parti hu kyuki mere pairo mei bohot takleef hai.mera sawal yeh hai kei kya mei apni qaza namaze jo baaki hai unhe baith kar adaa kar sakti hu??plz reply soon
Answer: Jab tak Insaan kharay ho kar namaz parh sakta ho zaroori hay kay na baithay masalan Agar kharay honay ki haalat main kisi ka badan harkat karta ho ya wo kisi cheez par taik laganay par ya badan ko thora sa terha karnay par majboor ho to zaroori hay kay jaisay bhi ho sakay khara ho kar Namaz parhay laikin agar wo kisi tarah bhi khara na ho sakta ho to zaroori hay kay seedha baith jaey aur baith kar Namaz parhay.Is main Qaza aur Ada Namaz main koi Farq nahi hay.Ref:Tauzeeh ul Masail Pg.158.Masala No.957