Question: Assalam o alikom Kia ramzan ma Ghar par fajar ki namaz par Sakta ha .Kia Ghar par namaz parna SA rooza par koi farq to nahe para ga.
Answer: ghar me namaz parh sakte hain, aur rozay ke hawale bhi koi haran nahin, roza sahi rahe ga. lekin mustahab hai ke namaz masjid me parhi jaye. Is ke alawa masjid me ziyada jana chahiye aur us masjid me jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid ke parhoos me rehta ho aur koi wajah bhi na ho to us ke liye masjid ke alawa kisi aur jagah namaz parhna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #880,883,884). [Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr shor bivi se hambistri na kry sirf apna penis bivi kay munn main daal k nikal ly to kia bivi is surat main mun dhoo k namaz parh skti hai ?
Answer: Agar hambistri nahin huei to pe biwi pe ghusl wajib nahin hoga. Agar monh ka androni hissa najis ho jaye to nijasat ke door ho jane se monh paak ho jaata hay or paani se paak karne ki bhi zarorat nahin hoti. aur namaz parh sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, maslah #344,348. + Tauzeeh ul masail Jaame, part #1, maslah #237). [Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fajar ki namaz ke bad kab tak jagna zaroori he
Answer: Jee, jagna zaroori nahin hai, Albatta riwayaat men waarid hua hai ke namaz e fajr ke waqt se sooraj nikalne ke darmiyan dua or ibadat men mashgool rehna mustahab( acha ) hai. (Ref: kitab masail-us-sharaiya tarjum wasail-us-shia, part #4, baab #36, pg #379,380,381). [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bena taraweeh ke namaz roza ho sakta hai ya nahi
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Or fiqhe jaferia ke mutabiq bina tarawee ke namaz roza hosakta hay. [Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar billi ka ziada bal kapron pr lagay hon to namaz hojaigi?
Answer: Agar libas par billi ke itne kam baal hon jisay nah hona shumaar kiya jaye jaisay k 1 ya 2 ya 3 baal maujood hon to namaz durust hay. lekin agar ziyada baal libaas par hon to namaz nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #995). [Updated on 27-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya mustahab namaz k darmiyan sajde mai zikr count karne k liye hatheli utha sakte hain?
Answer: NULL
Question: Islam main five namaz allow hai but fiq-e-jaferria main laag three namaz parteh hian aur mosque main teen martaba aazan hoti hia
Answer:
Question: Kya Quran TARAKUS SALAAT ko kafir kahta hai
Answer:
Question: SALAM. KYA NAMAZ-E-FAJIR SUBBAH TUK QAZA NAHI HOTI.
Answer:
Question: Kya namaz jute pahanke padi ja sakti hai?As Wahabi tells?
Answer: