Question: Aoa. Kia fajar ke phli azan k sath namaz phari ga sakti hai?
Answer: Agar yaqeen ho jaey k namaz ka waqt dakhil ho gaya hai to namaz ada ki jasakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Istifta, https://www.sistani.org/urdu/qa/17522/ ). Namaz e fajr ka waqt:- Subh ki azaan ke kareeb masshriq ki taraf se ek safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai jab yeh safedi phail jaay to yeh fajr-e-duwwum aur subh ki namaaz ka awwal waqt hai aur subh ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masael, Edition #42, Maslah #729) [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As Salam alaikum kya koi bagal me soya ho aur insan namaz waha padh le to kya waha namaz hoge
Answer: Kisi insan ke maqabil(samne) mai namaz parhna makrooh hai. Agar maqabil(samne) nahin hai to makrooh bhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885). [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: سلام وعلیکم۔ میرا سوال صرف اتنا سا ہے کہ کیا نماز شب کی وتر نماز میں چالیس مومنین کا نام لینا ضروری ہے یا اس عمل کو رد بھی کر سکتے یا چالیس سے کم مومنین کا نام لیں۔؟
Answer: wsalam.momineen k naam laina zaroori nahi hai. namaz e shab ka mukhtasar or mufassal tareeka duaon ki kitaab mai moujood hain un ki taraf rujoo karein. (Ref:sistani.org,arabi,,topic salatullail),sawaal no:1) [Updated on 06-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya nimaz k baid kitab sy b dua kr sakty hai please answer
Answer: Jee kar sakte hain, balke Mustahabb hai ke namaz ke baad insan kuch dair ke liye taqebaat yani zikr, dua aur quran majeed parhay. Ye zaroori nahin hai ke taqebaat arabi zaban me hon (kisi aur zaban {urdu/hindi} me bhi parh sakte hain) lakin behtar hai ke insan wo duaain parhay jo duaon ki kitabon me bataei gaei hain aur tasbeeh e fatimah zahra(s.a) parhay jis ki bohat ziyada takeed aayei hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1109). [Updated on 27-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o Alikum Mera sawal ye hy k agr Unchi awaz mai qirrat na ki to kya nemaz ho jye gi k nahi?
Answer: 1: Mard par Ehtiyaat ki bina par wajib hai ke subah, maghrib aur isha ki namaazon men Al-Hamd aur Surah buland awaaz se parhe aur Mard aur Aurat par Ehtiyaat ki bina par wajib hai ke namaaz-e-zuhr w asar men Al-Hamd aur Surah aahista parhay. 2: Agar koi shakhs jis namaz ko buland awaaz se parhna zaroori hai use amdan (jan boojh) aahista parhe ya jo namaaz aahista parhni zaroori hai use amdan (jan boojh) buland awaaz se parhe to Ehtiyaat ki bina par uski namaz baatil hai. laikin agar bhool jaane ki wajah se ya massla na jaane ki wajah se aisa kare to saheeh hai. Neez al-hamd aur surah parhne ke dauran bhi agar wo mutawajjeh ho jaaye ke us se ghalati huei hai to zaroori nahin hai ke namaz ka jo hisa parh chuka hai use dubara parhay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #979,981,982) [Updated on 04-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr bed samny ho to usk agy namz parhi ja skti h
Answer: Jee han, parh sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885). [Updated on 13-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Lohay k keri k sth namaz ho sakti hy ya ni
Answer: Jee han, is ke sath namaz parh sakte hain.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42 ,maslah #820). [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr ek nimaz me 12 rakat ho to kya hr ek ka alag neyat krna chaiya mslan 4 sunat 4 faraz 2 sunat 2 nafal to kya hr bar alag alag neyat krni zroori hai mean pelly 4 sunat ki phir 4 farz ki 2 sunat ki 2 nafal ki
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur fiqh e jafferiya ke mutabiq aisi koi 12 rakati namaz nahin hai ke jis me 4 sunat, 4 farz, 2 sunat, or phir 2 nafal rakaten hon. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #752 to 763). [Updated on 25-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bemar insan dill ki sari namzy ak waqt qaza Kar k parh sakhta hn
Answer: Namaz aur dosray wajibaat jo Allah ne wajib kiye hain in ko jaan bojh kar chorhna gunah e kabira me se hai. lihaaza har namaz ko apne waqt par ada karna wajib hai. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). [Updated on 17-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: KYA NAMAZ M KHAYAL ANE SY NAMAZ QUBOOL HOTI H??
Answer: Is se namaz par faraq nahin pare ga, namaz sahi hogi, Han albatta qubool karne ya na karne wali zaat Allah ki hai. Insaan ko khayaal rakhna chahiye ke namaaz jaldi jaldi na parhe aur namaz ki haalat mein khuda ki yaad mein rahe aur khushu aur khuzu aur waqar aur yaksooi se namaz parhe aur yeh khayaal rakhe ke kis hasti se kalam kar raha hai aur apne aap ko khuda wande aalim ki azmat aur buzurgi ke muqable mein haqeer aur naacheez samjhe. agar insaan poori tarah in baaton ki taraf mutawjjeh rahe to woh apne aap se bekhabar ho jaata hai jaise ki namaz ki halat mein Hazrat Ammer-ul-Momineen Imam Ali(a.s) ke paaon se teer khench liya gaya aur aap ko khabar tak na hui. alawa azen namaz parhne waale ko chahiye ke woh tauba, Istighfaar kare aur na sirf un Ghunaahon ko jo namaz qabool hone mein maane hote ho - maslan hasad, takkabur, gheebat, haram khana, sharab peena aur khums aur zakaat ka na ada karna - tark kare balke tamaam Ghunaah tark kar de. neez behtar hai ke jo kaam namaz ka sawab ghatatay hain woh na kare. maslan uongne ki halat mein ya peshhab rok kar namaz ke liye khara na ho aur namaz ke mauqay par aasmaan ki taraf na dekhe aur woh kaam kare jo namaz ka sawab barhate hain msalan aqeeq ki anghoothi ya paakeeza libaas pehenna, kangi aur miswaak karna aur khushbu lagana. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, page #122,181, and Maslah #1113). [Updated on 29-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]