Question: what time the prayer(magribain) gets qaza?
Answer: : 1)Maghrib aur eisha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs k lie aadhi raat tak rehta he. Lakin jin lagoon ko koi uzur(majbori) ho maslan bhool janaay ki wajah se ya neend ya haiz ya in jessay dosray umoor ki wajah se aadhi raat se pahle namaz na parh sake hoon to un k lie maghrib aur eisha ki namaz ka waqt taloay fajr tak baqi rehta he. 2)Agar koi shakhs ikhtiyari halat me maghrib aur eisha ki namaz aadhi raat tak na parhey to ethiyaat e wajib ki bina per zurari he k azaan e subah se pahle qaza aur ada ki niyat kiay baghair in namazoon ko parhay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 724 , 727). 3) Adhi raat, ghroob e aftab se se talooa e fajar tak ki muddat ke nisf ko kaha ja sakhta he. Missal k tor per agar sham ko 7 bajay suraj doob jey aur subah k 4 bajay talooa e fajar ho to raat 11:30 bajay adhi raat ho gi. (ref : Jaded fiqhi masayl masla # 82 , pg # 74)
Question: is this necessary to maintain the sequence in namaz?
Answer: Agar koi shakhs jan boojh kar namaz ki tarteeb alut de maslan al humd se pahle surah parh le ya rakooh se pahle sajdah baja laye to o ski namaz batil he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1095)
Question: assar ki namaz ka akhri waqat kab tak hai?
Answer: Asar ki namaz ka aakhri waqt Gurub-e-Aaftaab tak hai. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #718) (Khuda aap ki Tawfiqaat mein Izafa Farmaye)
Question: the commencement and ending time of zawal period in a day?
Answer: Zohar ka abtidae waqt zawal e aftab k bad se garoob e aftab tak he. “zawal e aftab” ye he k adha din guzar jana. Maslan agar din 12 ghantay ka ho to suraj nikalnay k 6 ghantay bad zohar sharie(zawal) ka waqt ho ga. Aur agar din 13 ghantay ka ho to suraj nikalnay k 6 ½ ghantay bad zohar e sharie ka waqt ho ga. Aur zohar ka ending waqt garoob e aftab tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: without Wazoo Azan Ka Bayaan
Answer: Note : Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Mustahib he k azan kehtay waqt insan wazoo ya ghusl ki halat me ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 925) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Plz zawal k okaat bata dein with reference to AHADEETH & QURAN PAK. Or kya zawal ka waqt raat ko bhi hota hai or raat ko kb hota hai?
Answer: Note Is web site per fiqhae jafaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Zawal e aftaab (zohar e sharie) ka matlab he aadha din ghuzar jana. Maslan agar din 12 ghantay ka he to suraj nikalnay k 6 ghantay k baad zawal ka waqt ho ga. Raat me zawal ka waqt nahi hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Nimaz Fajr Kiss time tak parhii jati hai mera maqsad kaza ka time kia hai oor kis waqt main behtar hai perhain HAdees ki roshni main bayan kerain
Answer: (Namaz ka waqt har din badalta rahta hai.) agar musalman khud apne namaz , roze k lye fajar , zawaal (zohar),aur maqrib ki tayeen na kar sake aur rasadgha ( yani astronomy k office k calendar waghira) ki tayeen per is k ahtamad ho to wo apne rozon aur namazon k liye rasadgha (yani astronomy k office k calendar waghira) k moaiyan karda owkaat namaz pr bharosa kr sakte hen agarche rasadgha(yani astronomy k office k calendar waghira) me kaam karne wale musalman na ho, bachate ye k rasadgha ( yani astronomy k office k calendar waghira) ki tayeen aukaat per wosooq ho. (Ref : Jadeed faqhi masail , ques # 70 , pg # 70) Namaz ko us k awal waqt me pherna mustahab hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 739) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: 5 time ki namaz ke fazilat ke waqt kya hai. Aur kya majlis e hussain ke dauran agar namaz ka waqt shuru ho jaye to majlis e hussain se alag ho kar namaz ada karni chahiye jab ke kuch der baad namaz ada karne se namaz khaza nahi hogi.
Answer: 1)Namaz e zohar ki fazilat ka waqt zawal aur shakhis(lerkrhi) ka sayah ki wo miqdaar jo zohar k baad paida ho 7 may say char 4 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. Namaz e asr ki fazilat ka waqt shakhis(lakrhi) k sayah ki wo miqdar jo zohar k baad paida ho 7 may say 6 hiso k baraber pohunch jaay os k darmiyaan he. (ye waqt os waqt ka hay jab shaded garmi na ho aur jab shaded garmi ho to in dono namazoo ki fazilat ka waqt shakhis k baraber aur shakhis ki dogni(double) miqdaar k dermiyaan baghair faaslay k hay.) Maggrib ki fazilat ka waqt os k liay jo musafir nahi hay maghrib say shafaq k chalay janay tak yani humrae magribia(magrib ki surkhi) aur jo musafir ho os k liay fazilat ka waqt raat k 1/4 hissay tak hay.aur isha ki fazilat ka waqt shafaq k chalay janay say yani humrae magrabia say raat k aik 1/3 hissay tak hay. Subah ki namaz ka waqt e fazilat fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay,or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay. Isi terha tamaam fazilat k waqtoon me jaldi karna pehlay bataye gay waqtoon par afzal he. (Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part#1,maslah#504). 2)Munasib nahi he k namaz me takheer ki jaay. Aur is qadar takheer karna jaiz nahi he k namaz qaza ho jaay. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 191 , pg # 88). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya azan aur aqamat wajib hain
Answer: Har mard aur aurat k liay mustababb hay k rozana ki wajib namazoon say pehlay azan aur aqamat kahay aur aisa karna doosri wajib ya mustababb namazoon k liay masrooe nahi lakin eid ul fitr aur eid ul qurban say pehlay jabkah namaz e ba-jamaat perhain to mustahabb hay k teen martaba ﺍﻠﺻﻠﻮﺓ kahian. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 903) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Exect expiry time of all Prayers(Namaz)in bothe the seasons like Summer and Winter briefly in digits not in discription like fajr timing expires e.g at 7 and zuhr at 2:30etc
Answer: Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)