Question: Aslamualikum, Allama Sahab mainy yeh pochna hai k Mai akser rat ko taqreeban 9bajy maghrib or isha ki namaz Mila kr parhty hon tu kya uswaqt maghrib ki Namaz ki niyet qaza ki krni hogee ya qaza Nhi hai?? Jazak Allah khaair
Answer: Maghrib or isha dono ka waqt aadhi raat tak rehta hai lehaaza 9 bajey dono namazon ko adaa ki niyyat sai parha jaaye ga.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 742). [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar hame subah se raat tak bahar jana ho to pure din ki namz kese ada kre...ghar se nikalne se pehle kr sakte h kya ya fir ghar ane k baad p
Answer: Hara namaz apne wakt par adaa karna wajib hai sub namazein aik saath nahi parhi jaa sakti. or namaz ko qaza karna bhi gunah hay. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 730) [Updated on 07-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Isha ka kaza ka wakt ky hota hai ?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Isha ki namaz ka waqt mukhtaar (jo majboor na ho) shakhs ke liye aadhi rat tak hai. aur rat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai tuloo e fajar tak hai. maslan agar shaam ko 7 baje suraj groob hojaae or subaha ke 4 baje tuloo fajar ( namaz fajar ka waqt ) ho jaae tu is ki nif (half) raat 11:30 baje hoghe ,or is surat me aik mukhtaar shaks ke lie is misaal ke mutabiq aadhe raat 11:30 baje tak hay yani namaz isha is surat ye shaks 11:30 baje se phele tak perh sakta hay ,or aadhe raat ka waqt ,suraj ke groob or tulo fajr ke time ke change hone se change hota rehta hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #727,jadeed fiqhe masaail ,aqa sistani.masla no:84). [Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kya ladies jumma k din azan honay k foran bad zohar or asar ki namaz ada kar sakti hein?
Answer: Jee han, waqt e namaz hone ke fauran baad aurat namaz parh sakti hai Q ke Aurat per namaz e juma wajib nahin hay lehaza jese hi namaz ka waqt ho jaye to wo apni namaz e zuhr or asr hi parhe gi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #721). [Updated on 28-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar koi galti se waqt se pehle namaz ada krle to kya wo dubara namaz ada kre waqt se phle 10,15 min phle agr usse glti se ada krli ho to
Answer: Agar koi shakhs gaflat ki halat men waqt se pehle namaz parhlay tu us ki namaz sahi nahi hai aur zaroori hai ke dubara namaz parhay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #1, Maslah #507,508). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr nmaz talo e aftab ka time na pata hony ki waja sy parhi or thik talo e aftab k wqt py khatm hoi ho to kya uski qaza dobara parhni pary gi ya nmaz ho jaye gi
Answer: Subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. lihaaza agar aap ne waqt ke andar namaz parh li hai to dobara qaza nahin karni. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #729). [Updated on 22-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Is it better to offer Asr prayers at Asr time (currently around 5 PM) or offer Asr in Jamat which is right after Zuhr? Which bears higher rewards?
Answer: Zuhr ke baad asr ki namaz ko jamat ke sath parhna ziyada sawab rakhta hai. Q ke wese to mustahab hai ke namaz guzar apni namaz ko fazeelat ke waqt namaz parhay aur fazeelat ke waqt namaz parhnay mein jaldi kare aur jis qadar woh apni namaz fazeelat ke awal e waqt ke qareeb parhay, behtar hai. magar ye ke ziyada ahem surtain hon jaise ke intzaar kare ke namaz ko fazeelat ke waqt, jamaat ke sath parhay (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #964,1873). [Updated on 12-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fajar ka waqat kb shuru hota hy
Answer: Subah ki namaz ka waqt: subah ki azaan ke qareeb mashriq ki taraf se aik safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai. Jab ye safedi phail jaaye to fajr-e-duwwum aur subah ki namaz ka awwal waqt hai aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #729). [Updated on 06-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya fajar ki namaz ka time suraj tk hota h ya kabi b prh skty hn zuhr se phly ?
Answer: Namaz-e-fajr ka waqt: Subah ki azaan ke qareeb mashriq ki taraf se aik safedi upar uthti hai jise fajr-e-awwal kaha jaata hai. Jab ye safedi phail jaaye to fajr-e-duwwum aur subah ki namaz ka awwal waqt hai, us waqt parhni hogi aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj nikalne tak hai. yani suraj nikte hi namaz qaza ho jati hai aur phir qaza ki niyat se parhni hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #729). [Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaaz Ishaa ka waqt kitnay bajay say shuru ho ker kitnay bajay tak hota hy.
Answer: