Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 5989
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maghrib ki namaz ka wqt kb tak h.?

Answer: wo shaks jo magrib ki Aazaan ke baad namaaz phar sakta ho ese shaks ke liye magrib o isha ki namaaz ka waqt aadhi raat tak baqi rehta hai, or us shaks ke liye jo kisi waja se aadhi raat tak na phar saka ho fajat tuloo hone se pehle tak hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 723 , 724 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6224
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maghrib aur Isha k namaz k dauran kam az kam waqfa kitna he (maghrib k azaan k kitne waqt k baad isha ki azan jaiz hojati he) plz jawab mudallal hona chahiyia

Answer: Maghrib aur isha ki namaz ka waqt aik sath start hota hai laikin in donoo namazoo k darmian mutawajh honay ki surat mai tarteeb motebar hai yani isha ki namaz ko jan boojh kar maghrib ki namaz sai pehlay parhay to batil hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 724)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6565
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: zawal k oqat konse hen or in oqat me ibadat krna q mana he..zawal k oqat ki nishani kya he...

Answer: zohor aur asar ki namaz ka waqt zawaal k baad se goroob aftaf tak hai .zahor sharhi ka matlab hai aadha din ghuzarna. maslan agar din 12 hours ka ho to suraj nikalne k 6 hours k baad zahor sharhe ka waqt ho gha aur agar 13 hours ka ho to tolo aftab k 6(1/2) hours baad zahor sharhi ka waqt hoga. ZOhar sharhi jo k tuloob aftab se goroob aftaf k darmiaan (1/2) waqt ghuzalne k naam hai. Karachi k ufaq (latitude) k mutabiq kabhi dopahar 12(1/2) baje se khuch phele aur kabhi is k khuch baad me hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #720,pg:123 ) Zahor k waqt beghair kisi waja k mustahab namaz perhna makroo hai.yani haram nahe hai. (ref: sharhe lumha ,Shaheed-e- Awwal jild 1, kitab salah pg: 87).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6625
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mara sawal yh ha kh agr namaz Zohar ka wqt jamahat ka wqt ho jay aur imam na sunatan ada nh ki hon to kia woh namaz parha sakta ha ya nhn

Answer: Is Web pr faqt FIQH JAFFARIYA k sawalat k jawabat diye jate hen.

Id: 6700
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: isha ki namaz kab qaza hoti ha ma na suna ha k agar isha ki azan k bad ap so jao or phir uth k namaz parho to bhi qaza hoti ha kia ya bat right ha

Answer: Maghrib aur isha ki namaz ka waqt ikhtiyari halat men kisi shaks k lye aadhe raat tak rehta hai laikin jin lougo ko kohe ( sharhe) majbori ho masalan bhool jane ki waja se ya neend ya haiz ya in jise dosere majburi ki waja se aadhe raat se phele namaz na perhsakhe to in k lye magrib aur isha ki namaz ka waqt fajar tolu hone tak baqi rehta hai laikin in dono namazo k darmian mutawajo hone ki surat me tarteeb zarori hai yani isha ki namaz ko jaanbouch kar maqrib ki namaz se phele perhe to batil hai laikin isha ki namaz ada karne ki miqdaar se ziyada waqt baqi na raha ho to is surat me lazim hai k isha ki namaz ko maqrib ki namaz se phele perhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 724 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 6933
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: fazar ki namaz mai bad zohar kaza karu k zohar ki namaz se pehle kaza karu?? plz zara bataye.

Answer: Ager zohar ki fazilat ka waqt katam na ho raha ho to pehle fajar ki qaza karna behtar hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1365 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6939
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia namaze tahajud ka akhri waqt fajre 2 tak hay aurkia roza rakhnay ki sourat may khana peena fajre 2 tak kar saktay hain

Answer: Subha ki azaan ka waqt Roza band karne or namaaz e tahajjud ka aakri waqt hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 761 , 1531 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7027
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: please btain k namaz k auqat kya hain aur fazilat k auqat kya hain. plus yeh bhi btain k awal waqt konsa hota hai. shukria

Answer: Zuhar o asar ki namaaz ka waqt zawaal e aaftaab ke baad se ghuroob e aftaab tak hai, maghrib o isha ka waqt mashriq ki tarf ki surkhi ka

Id: 8116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA janab ye batain kh shia zohar and asar ki namaz aur magrib and eshan ki namaz ek sath kun parhte hain.

Answer: Ahlesunnat ki mashooro maaroof kutub sunan abe daood ,jaame termeze jild 1,pg:109aur sahe muslim ki riwaayat hai : rasool allah ne namaaz zohar aur asar ko aur namaaz maqrib aur esha ko madene me beghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad dosere namaaz perhe. Aur rasool ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (ref:shiat ka muqadma ,moulaana hiussain ameeni,pg:226) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8190
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.o.a...plz mjhe ye bata dijiye k aima-e-masumeen a.s to zohar asar ki namaz alag alag prhte thy to hum ek sath kiun parhte hn?

Answer: Ahle sunnat ki mashoor o maaroof kutub ‘sunan abe daood’ , ’jaame termeze’ jild 1,pg:109aur sahe muslim ki riwaayat hai : rasool allah ne namaaz zohar aur asar ko aur namaz maghrib aur esha ko madine me baghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad doseri namaaz perhi. Aur rasool(s.a.w.w) ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (ref:shiat ka muqadma ,moulaana hiussain ameeni,pg:226) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!