Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 4809
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam un alaikum Please tell me kay namaz e fajr ka awal waqt kiya hey aur aakhir waqt kiya hey .Agar sooraj subha 6:59 per talooh hota hey to kis waqt tak namaz e fajr aada ker laini chahye.

Answer: Subah ki azaan k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi ooper uthti he jise fajar e awal kahte hein jab ye safaidi phail jaay to wo fajar e doum aur subah ki namaz ka awal waqt he aur subah ki namaz ka akhri waqt suraj niklne tak he.subah ki namaz ka waqt e fazilat fajar k waqt say os waqt tak hay k jab subah aasmaan per zahir hojaay. (Ref : tauzeehul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 729) Subah ki namaz ka waqt e fazilat fajr say lay ker subah ka asmaan per zahir honay tak hay,or awal e fajr ki tareekhi main subah ki namaz perhna afzal hay.(Ref: sistani(d.b),minhaajus saliheen, part # 1,maslah # 504). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5097
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Isha ki namaz ka waqt kab tk baqi rehta hai?

Answer: Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs k lie aadhi rat tk hai. aur rat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai toloe e fajar tk hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 727) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 5354
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: why we cant ofer prayer and resit quarn during the Zawal Time(sun set and sun rise) ?

Answer: Note: Is website par fiqh e jafria k mutabiq jawab diya jata hai. Aap in auqaat main tilawat e Quran ker saktay hain or namaz perh saktay hain.(Ref: Email rcvd from A.Sistani d.b, dated: 06-05-13). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam.mera sawal yeh hy ky hum shia jo 2 nimazen mila kar parhtey hain kia iska zikar quran e paak mein hy ?agar hy tu reference sy btaen...

Answer: 1-Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). 2-Zohar,asar maghrib or isha ki namazo ko on namazo k maksoos waqt main alag alag perhna mustahab hay.(Ref. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) 3- Quran e kareem main sorah Bani Israil(sorah#17) ki ayat#78 main hay k “ Aap zawaal e aftaab se raat ki tareeki tak namaz qaaim karain or namaz e subah bhi k namaz e subah k liay gawahi ka intezam kia gaya hay.” Note: Wazeh rahay k Quran e Kareem nay namaz k 3 hi auqaat biyaan kiay hain.2 namazo ko zawaal e aftaab or 2 ko tareeki e shab or 1 ko fajr se, layhaza 3 auqaat per ayteraaz kerna Quran se nawaqifiyat ki wazeh daleel hay.(Anwaarul Quran, Tajuma or tafseer Allama Zezhan Haider Jawwadi, pg#613 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5408
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya fajr ki azan se pehle namaz parhi jaye to ho jati hai?

Answer: Ager fajar ka waqt e Shari hone ke baad or Molvi ke Azaan dene se pehle fajar ki namaaz pharain to sahi hai, lekin ager waqt e Shari dakhil hone se pehle phari jaae to namaaz batil hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 729 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 5452
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: what is maximum time limit for offering namaz efajr and isha

Answer: 1)Just before dawn a column of whiteness rises upwards from the east. It is called the first dawn. When this whiteness spreads, it is called the second dawn, and the Prime time for Subh prayers. The time for Subh prayers is till sunrise. 2)In normal circumstances, the end of the time for Isha prayers is midnight; and the night will be calculated from dawn (Subh-e-Sadiq). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 729, 727) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5519
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera swal yeh ha zawal ka kia time ha.or kia raat ko b zawal ka time hota ha.agr hota hawo kon sa time ha or kab tk hota ha.or kia is time koi b dua mangny chye?thanks

Answer: Zawal e aftab ka doosra nam ﻇﮩﺮﺸﺮﻋﻰ hai yani adha din ghuzr jana. maslan agar din 12 ghantay ka hai to suraj niklnay k 6 ghantay k baad ﻇﮩﺮﺸﺮﻋﻰ ka waqt ho ga aur agar din 13 ghanton ka hai to suraj niklnay k 6.5 ghantay baad ﻇﮩﺮﺸﺮﻋﻰ ka waqt ho ga.mazeed ye k ﻇﮩﺮﺸﺮﻋﻰ suraj niklnay sai groob honay k darmian adhay waqt k ghuzr janay ka nam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 718 ka hashia) note : is k alawa zawal e aftab raat mai nahi hota hai q k raat mai suraj nahi hota hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5635
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamu alay kum main yeh janna chahatan hun zohar aur asar aur magrib isha ka namaz ka aada waqt kise hota hai aur namaz kab qasa hojati hai pls mahrabbani kare batye ke qaza namaz ka waqt kise hota hai

Answer: Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5643
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz aada ka waqt kise hota hai aazan se phale kitna waqt hota hai naamaz aada karene kiliye pls mujhe bataiye

Answer: Zohur aur asr ki namaz ka waqt zawaal e aaftab k bad se suraj ghuroob honay tak he. Maghrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtaar shaksh k liay maghrib e shure se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi oper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phel jaay tu wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal e waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5942
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye h ki esha ki namaz ka time kab tak rehta h molana plz batane ki zehmat kare.

Answer: Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar(aazaad) shakhs k lie guroob sai aadhi raat tk hota hai. yani is k darmian mai namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 724) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!