Question: Jysy aksr log zohar ke azaan sunn kr so jaty hn k uth k namaz prhyn gy. to kia soo ky uth ky zohar ke nmz prhny py hm usy qaza adaa kryn gy ya azaan sun kr so jany sy namaz qaza nahi hoti?
Answer: zohar or asar ki namaz ka waqt zawaal e aftaab sai guroob e aftab tak hai agar is doran namaz ada ki jaey gi tou adaa ki niyyat ki jaaye gi lekin agar guroob e aftab k baad adaa ki jaaye tou phir qaza ki niyat karni hogi.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 718). [Updated on 24-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA. Kya jummay k din zuhr ki namaz late parhtay han?( Jumah nhi ja sakay)
Answer: wsalam.jee nahi jummay k din bhi zohar ki namaz ka wohi waqt hai jo dosre dino mai hota hai yaaney zawaal e aftaab k baad sai guroob e aftaab tak hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 718) [Updated on 27-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa mera sawaal yeh hai kai eshia ki nimaz ka waqat aj kal kai dinon mein kab dakhil hota hai
Answer: suraj guroob hone k baad mashriq ki taraf sai jo surkhi namoodaaar hoti hai jub wo insaan k sar k upar sai guzar jaaye tou wo maghrib or esha ki namaz parh sakta hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 723). [Updated on 11-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zohor ki farz namaz padhne ke baad kya fajar ki qhaza namaz padh sakten hai
Answer: Jee bilkul parh sakte hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1358). [Updated on 14-Jul-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asar or maghrib ki namaz isha me padh sakte hai
Answer: Asar apne waqt par parhna zaroori hai. maghrib or isha aik saath parhi jaa sakti hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 723 and 730) [Updated on 11-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar namaz parhte parhte aadha namaz parhne k baad namaz ka waqt khatam ho jaye to kya karenge?
Answer: jis shaks k paas namaz ki faqat aik rakat ada karne ka waqt ho osay chahiay keh namaz ada ki niyat se perhe. Albattah ossay jaan boojh kar namaz main itni takheer nahi karni chahiay.(Ref: Tauzihul masael, Ayatullah sistani, maslah#636 ). [Updated on 15-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Isha ki namaz ka time kab tak hota hai or tahujjud kab perhi jati hai
Answer: Maghribain ka waqt aadhi raat tak hota hai, or namaz e tahajjud maghribain k baad sai namaz fajr sai pehle pehle tak parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 761). [Updated on 31-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Shia namaz timing ada qaza in Nov 2020
Answer: Salam. aap is link per click kar k 2020 k poray saal ka calendar download kar lain. http://zahraacademy.org/wp-content/uploads/2020/Calendar2020_Ur.pdf. [Updated on 13-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamu alaikum kya asar ki namaz zohar main awal waqt padh sakte hai
Answer: Jee han, Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay. yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jaay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay. or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha. laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. (Ref: website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). [Updated on 12-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Meri maghrib ki namaz qaza ho gae h agr main esha ki namaz k sath perhun to kya main puri namaz perhun gi ya sirf farz perhun gi
Answer: 1: Namaz e magrib aur isha ka waqt mukhtar shaks k liye aadhi raat tak hai or majboori ki haalat mai jese koi namaz parhna bhool jaye tou Azaan e subah tak parhi jaa sakti hai. (Ref: http://www.sistani.org/urdu/qa/02699/ ). Or namaz e zauhar or asar ka waqt zawal e aftab sai guroob e aftab tak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #718). 2: Ahle sunnat ki mashoor o maaroof kutub sunan abi daood, jaame termizi jild 1, pg: 109 aur sahe muslim ki riwaayat hain ke : Rasool(s.a.w.w) ne namaaz zohar aur asar ko aur namaz maghrib aur esha ko madine me baghair khouf aur barish k aik saath parha yani aik namaaz perne k baad doseri namaaz perhi. Aur Rasool(s.a.w.w) ne farmaaya me ne is lie aisa kiya take meri ummat ko takleef na ho. (Ref: shiat ka muqadma, moulana hussain ameeni, pg: 226) [Updated on 28-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]