Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8387
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: karachi mai namaz zuhr ka waqt kitne baje k bad shuru hota hai

Answer: 1)Namaz-e- zuhar or asar ki namaz ka waqt zawal-e-aftab ke bad se guroob-e- aftab tak hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Maslah#718, Tauzeehul masail 31th edition). 2)Karachi ki ufuq k mutabiq kabhi dopeher 12.30 bajay se khuch pehle or kabhi os k khuch baad main hota hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, pg#123) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8485
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz e zuhrain ka tareqa aur timing

Answer: Namaz e zohar,aur asar me se har aik ki 4 rakhat hai, (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #717 ), Zohar aur asar ki namaaz ka waqt zawaal aftab (zohar share) k baad se ghuroob e aftab tak hai. Yani jab zohar ka waqt share ho jaay to phele zohar ki namaaz perhe aur us k baad asar ki namaaz perh sakta hai. zohar share ka matlab (1/2) din ghuzar jaana hai . maslan agar din 12 hours ka ho to suraj nikalne k 6 hours k baad hoga. .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #718 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9012
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zohar ki namaz 4 baje pade to asar ka wakt aa jata he to Zohar ki namaz kaza hoti he ?

Answer: Zohar aur asar ki namaaz ka waqt zawaal aaftaab k baad se guroob aaftaab tak hai . Suraj k doob jane aur mashriq ki janib se nikalne wali surkhi k darmiyane waqtfe me namaaze zoharain ada aur qaza ki niyat k beghair anjaam de . aur ehteyate waajib ye hai k namaaz perhne me is waqt tak takheer na ki jaay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 718) (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3, sawaal # 72,pg # 41) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9171
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam agha me chahta hon k meri fajar ki namaz qaza nahin ho me alarm bhi lagata hon par fajar me nahin uth pata plz koei aesa wazefa batayen k meri fajar ki namaz kabhi qaza nahin ho .Mohtaj e Dua Zulfiqar Naqvi

Answer: subhe ki namaaz ki qaza hone se bacne ka tariqa : rasool allah ne farmaaya : jo shaks surah khaf ki aakheri aayat sote waqt jis bhi waqt utne ki niyat se perhe gha jo jis waqt chahe gha bedaar ho jaaye gha.( nawaahe sauleheen,pg:332) Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9177
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam walekum aagha namaz kya azan se phle parh skte h jab k waqt aa gya ho or azan na hui ho

Answer: Azaan ka hona zarori nahi hai balke insaan namaaz me mashgool us waqt ho sakta hai jab ise yaqeen ho jaay k waqt dakhil ho gaya hai ya do aadil mard waqt dakil hone ki khabar de. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #730 ) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9329
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya esha ke namaz prhny sy phly so jyn or uth k namaz parhyn to kya namaz qaza ho jte ha ya parh skty HN?

Answer: Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs k lie aadhi rat tk hai. aur rat ka hisab suraj guroob honay ki ibteda sai toloe e fajar tk hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 727).Update on dated 25-02-2017. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Namaz e isha se pehlay sona jaiz hay.

Id: 9571
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran me kitni namazen farz ki gai hen aour kon si surat me in ka zikar he

Answer: Surah e bani israeel ayat#78 main 5 namazain farz bayan ki gae hain laikin on ka waqt 3 bayaan hoa hoa. Update on dated 17-11-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9856
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kaya asar or magrib ki namaz akhati par sakty hain? or agar par sakty hain to kaya tariqa ha.

Answer: Nahi namaazon ka alag waqt moayyan hai zaroori hai k namaaz usi waqt par adaa ki jaaye.lekin agar asar ki qazaa namaaz hai tou usay maghrib k waqt ada kar saktay hai or agar maghrib ki qaza namaaz hai tou wo asar k waqt parh saktay hai lekin ada ki niyat sai dono ko aik dosray k waqt mai nahi parh saktay faqar zohar or asar aik waqt mai or maghrib or ishaa ada ki niyat sai aik waqt mai ada ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 730 743 1361). Update on dated 25-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9868
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam walekum main kam per jati hon har roz kam ki timeing alag hoti he namaz ka waqet hone main 20 minutes baqi hen tu main nama erly adha ker sakti hon kyon k kam per lete ni ho sakti or kam per time ni milta

Answer: Jee nahi har namaz ko usi k waqt main ada karna zarori hai waqt sai pehle ada nahi kia jaa sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatollah seestani edition 39 maslah no 30). Update on dated 23-04-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10281
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shion ki magrib qaza nhi hoti ? Aagr hoti hai tou wo time duration btayen jis k bad qaza hoti hai. Please

Answer: Jee maghrib or isha ki namaz qaza hoti hai. Mukhtaar shaks k liay qaza ka waqt aadhi raat hai aadhi raat sai muraad ghuroob e aftaab sai fajar tak ka waqt hota ye mukammal raat kehlaati hai tu is ka adha kar lia jaaye wohi adhi raat kehlaaye gi or namaz e maghribain usi waqt qaza hogi. or wo ashqaas jo kisi uzr ki bina par aadhi raat sai pehle namaz na parh sakay tu un k liay namaz ka waqt fajar tak rehta hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#723,724). [Updated on 05-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!