Question: AOA, mera sawaal hai ki Maine kal majlis me suna k azaan hote hi namaz adaa kar leni chahiye, kya ye sahi hai
Answer: Afazaliyat yehi hai k aap namaz ko awwal waqt main ada kar dein lekin ye wajib nahi hai, Aap us namaz k waqt mai usay adaa kar saktay hain. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41, maslah#718,723,729). [Updated on 07-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Firada (individual namaz jo ghar mein parhi jati hai) parhne ka sahi waqt kya hai? Azaan k fauran baad parhni chahiye ya jamaat k waqt k baad?
Answer: Namaz ko os k awwal waqt main perhna afzal hay. Jamaat sai pehle bhi agar namaz ka waqt ho chuka hai tu namaz parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani, edition#41, maslah#730). [Updated on 15-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aurto ki zohor ki namaz kitne time se shuru hoti hai
Answer: Zuhur ki namaz ka waqt zawal e aftab se shuru hota hay. Or ghroob e aftab tak rehta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #718). Update on dated 28-03-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mjhe pata chala ha kisi se k fajar ki qaza namaz nai hoti kya yeh thk ha?? 6
Answer: Jee nahi fajar ki namaz ki adaegi ka bhi aik waqt hai us k baad fajr qaza ho jaati hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah#729). [Updated on 03-May-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: fazar ki namaz agar suraj nikalne ke baad padi to wo farz hogi ya kaza ?
Answer: Namaz e fajr ka watq fajr e sadiq se lay kar tulu e aftaab tak hay. Or tulu e aftaab k baad namaz e fajr qaza ho jaati hay. Lehaza agar aap ne tulu e aftaab se pehle namaz nah perhi ho tu phir namaz qaza ki niyat se perhi jaey gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #726). Update on dated 27-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Zohrain or maghrabain ko al alag parh sakty hai jo us kay muqarar waqt hai?
Answer: Ayatullah Sistani d.b. k nazdeek zohar Asr aur maghrib isha ki namaz alag alag kar k on k fazilat k auqaat main parhna mustahab hai. (Ref : website sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=815209&id=1774) [Updated on 01-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walekum mera sawal ye tha ki Fazr ki namaz kitne baje tak ada ki ja sakti hai??
Answer: Suraj nikalte hi fajar ki namaz qaza ho jaati hai lehaaza is sai pehle namaz e fajr adaa karna zaroori hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 729). [Updated on 16-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Magrib oe isha ki namaz kub kaza hoti hain time late time
Answer: Mukhtaar shaks k liay qaza ka waqt aadhi raat hai aadhi raat sai muraad ghuroob e aftaab sai fajar tak ka waqt hota ye mukammal raat kehlaati hai tu is ka adha kar lia jaaye wohi adhi raat kehlaaye gi or namaz e maghribain usi waqt qaza hogi. or wo ashqaas jo kisi uzr ki bina par aadhi raat sai pehle namaz na parh sakay tu un k liay namaz ka waqt fajar tak rehta hai. (Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41 maslah#723,724). [Updated on 03-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamo alaikm... main ye pooochna chahta hooo k subha ki namaz azaaan k foran baad parh skty h? Ya phir 40 mint ya es se ziada ka wait krna lazmii hota h?? Plz answer
Answer: wsalam.Fajar ki namaz ka jese hi waqt ho jaey parhi jaa sakti hai 40 minute ka intizaar karne ka koe hukum nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 729). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zohar ki Namaz 4:45Pm parh saktey hain.
Answer: jee guroob e aaftaab sai pehle zohar or asr dono parhi jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 718) [Updated on 19-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]