Question: namaz kay auqat
Answer: Zohar aur asr ki namaz ka waqt zawal e aftab k bad se suraj garoob honay tak he. Magrib aur isha ki namaz ka waqt mukhtar shakhs k liay magrib e share se le kar aadhi raat tak he. Fajar ki namaz subah k qareeb mashriq ki taraf se aik safaidi upper uthti he jise fajar e aw’wal kaha jata he aur jab ye safaidi phayl jaay to wo fajar aur subah ki namaz ka aw’wal waqt he aur subah ki namaz ka aakhri waqt suraj niklne taq he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718 , 724 , 729). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: quran ya hadish ki roshni me batay ki rat kis waqt shuru ho jati he magrib ki azan ke baad ya azaan ke shath ?
Answer: Agar shak ho k soraj ghoroob hoa ya nahi or is baat ka ehtimaal ho k soraj paharoon, imaratoon ya darakhoon k peechay chup gaya hay tu zarori hay k jab tak mashriq(East) ki traf ki surkhi jo suraj ghroob hona k baad zahir hoti hai, insaan k sar ka oper say na guzar jaay maghrib ki namaz na perhain balkeh agar shak nah ho tab bhi ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay k mazkora waqt tak sabr karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 723) Note: raat k shuru hone k liay azaan shart nahi hay k wo kis waqt hoti hay Q k mumkin hay k azaan dainay wala raat shuru hone k faran baad azaan nah day balkeh khuch dair baad azaan day ya ghalti se waqt se pehlay azaan day day.
Question: jume ki namaz se pahle ki sunnate agar choot jayen to kya unhe jume ki namaz ke bad padha ja sakta hai wo namaz sunnate-muaqqida hoti hai?
Answer: 1)Juma k din zohar aur asr ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai behtr ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 752) Namaz Zohar , asar ki nafla (mustahab namaze) agar namaz zohar , asar k bad perhe jaay to qaza ki niyate se perhe jaay ghi. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part #2 ques # 57 pg # 36) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: mane aj se phele jatne nimaz pade hai mane kabi 2 ya 3 time liken me itna q kamzor ho 5 time k nimaz ba jumyat nhi pad skta plz koi hal batao
Answer: 1- Aik waqt main 2 namazain perhna jaiz hay.yani namaz e zuhar say farigh ho ker namaz e asr ko perha jay or isi terah namaz e maghrib say farigh ho ker namaz e isha ko perha jaay.or bay shak hamary nabee(s.a.w.w) nay is terah zuhar or asr ki namaz or maghrib or isha ki namaz ko baghair majboori k jama ker k perha tha.laikin afzal ye hay k tamam namazo ko alag alag on k fazeelat k waqt main perha jay balkeh awwal e waqt main perha jay. ( Ref : website ayatullaha sistani http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=112 ). 2- Rozana ki namazain jama,at k saath perhna mustahab hay.or subah, maghrib or isha ki namazo k liay, khososan masjid k parhoos main rehne walay or masjid ki azaan sunnay walay k liay bohot ziyada takeed ki gae hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1380). 3- Bay aytenai(yani laa perwaahi) k saath namaz e jama,at main shareek nah hona jaiz nahi hay or ye bhi munasib nahi hay k baghair uzr k namaz e jamat ko tark kia jaay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: main job karti hoon subh is doran mujhe zohar asar magrib ki namaze padne nahi mil pati main ghar ja kar kaza namaz adakarti hoon lakin agar mujhe 3 se 4 ke darmiyan namz zohar padna ho to wo kaza padni hai ya nahi
Answer: 1-Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawal aftab( yani zohar sharhi ka matlab hai adhah din gzarna maslan agar din bara hours ka ho to suraj nikalne ke 6 hours ke baad zohar sharhi ka waqt ho ga ) ke baad se group aftab tak ha.(ref . tuziul masail aga sistani masla no. 718). 2-Namaz ko jaan bhoojh ker qaza kerna jazi nahi hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 736) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: zohar namaj 3baje ke bad kaza hai
Answer: Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawal aftab k baad se ghoroob e aaftab tak he.(ref . tuziul masail aga sistani masla no. 718). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Jenab! Asha ki namaz kab qaza hoti hain?
Answer: Asha ki namaz ka waqt aik aam insan k lye aadhe raat tak rheta hai . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #724) )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: agar magrib k bad soo jain to isha ki namaz hogi
Answer: Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Maghrib or isha ki namaz ka time mukhtar shaks k liay aadhi raat tak hota hai lekin jin logon ko koe uzor ho maslan bhool janey ki waja se ya neend ya haiz etc ki waja se aadhi raat se phely namaz na parh sakey hoon tu on k lie maghrib or isha ka time fajir tulo honey tak baqi rehta hai (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #724 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: maghrib ki azaan sun kar agar hum sou jayen aur thhori der baad(baara baje se pehle) uthen aur namaz parhen to kia woh kaza ho jaati hai uski niyat kaza se parhte hain?
Answer: Magrib aur isha ki nimaz ka waqt mukhtar shaks k lie aahadi raat tak hota hai, Laikin jin logo ko koi uzr ho maslan neend, to is wajah sai aadhi raat sai pehlay namaz na parh sakay hon to in k lie magrib aur isha ki namaz ka waqt fajar tolu honay tk baqi rehta hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #724 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: KYA SHAM KO ANDHERA HO JANE K BAD MAGRIB NAMAJ PAD SAKTE HAI JAISI ABHI AJAN KA TIME 6.45 HAI OR 7.30 YA 7.00 KO NAMAJ PADNI HO TO HO JATI HAI YA NAHI
Answer: Magrib ki namaz ka waqt mukhtar(aazaad) shakhs k lie guroob sai aadhi raat tk hota hai. yani is k darmian mai namaz parh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 724) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).