Question: Agr koi namaz kaza ho jaye ya mostly isha ki kaza ho jaye to kya hum tahajjud ki namaz padh skte h..., kya ye important h k namaz 5 time ki ho tabhi tahhajud hogi..??
Answer: Jee han, Namaz e shab parh sakte hain, Lekin jo namaz qaza ho gayi hai us ki qaza karna alag se wajib hai. aur qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay. Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356,1358) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum Jin hazrat ki apni qaza namazein houn Kia Woh namaz e shab ki 11 rakat parh saktay Hain?
Answer: Jee han, Namaz e shab parh sakte hain, Lekin jo namaz qaza ho gayi hai us ki qaza karna alag se wajib hai. Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #752,1356,1358) [Updated on 30-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alaikum MERI qaza namazein Hain tou nvafil ki namazein namaz e shab ki 08 rakat parh sakta houn ya Uske badlay qaza e umri parhoun? Please reply soon meray pehlay sawal Ka jawab bhi abhi tak MERI Gmail ID par nai Aya.
Answer: Jee han, Namaz e shab parh sakte hain, Lekin jo namaz qaza ho gayi hai us ki qaza karna alag se wajib hai. aur qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay. Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356,1358) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam u Alaikum sir agr fajar ki namaz choot gai ti oski kaza uthte hi adda kare ke zohar ke saty ada kar len zayada afzal kiya hai
Answer: Agar kisi shakhs ki namaz qaza ho gayi hai us ki qaza karna wajib hai. lekin qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay. Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356,1358) [Updated on 26-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar qaza namazon ka total pata nhi ho to kaise puri krni chahiye hain ?
Answer: Jis par qaza namaz hai to wo us ke qaza parhne men kotahi na kare lekin ye wajib nahin ke fauran baja laye. Jis shakhs se kayei namazen qaza hoi hen lekin un ki tadad nahin janta maslan nahin janta k chaar(4) thin ya panch(5) to agar kam wali miqdar parh le to kafi hai. aur agar un ki tadad to janta tha lekin bhool gaya he to ab bhi agar kam wali miqdar parh le to kafi hai. (Ref: Ayatullah Khomeini, Tauzeeh ul Masail, Maslah #1369,1380). [Updated on 05-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ek roz hame neend ni a rhi thi fir hamne keh dia ki hm har roz fazir padhenge kbhi ni chorenhge hm alarm laga ke uth jate the dailt lekin ek roz mera alaram bazja aur hm so b gye ab hme kya krna chaiye btiye
Answer: Aap par laazim hai k namaz ki qaza karein or tauba karein.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356). [Updated on 10-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Namaz, kaza krna kesa h
Answer: Jan boojh kar namaz ka na parhna haram aur gunah e kabeera hai, lekin Agar koi shakhs namaz keh pore waqt k doran soya rahay aur bad men pata chalay ke namaz ka waqt nikal gaya hai ya us ne madhoshi ki wajha se naamaz na parhi ho to gunahagar nahin hoga, aur in donon surton men namazon ki qaza baja lana zaroori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Edition #1439 hij, Maslah #30). (Ref: Ayatllah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition #42, maslah #1356). [Updated on 22-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Roza khulne se adha ghante phle haiz hogaya ha tou roza toot gaya ha ???
Answer: Roze men haiz (menses) ka khoon ajaay to agarche maghrib se ek lamhe (second) pehle hi aye, roza batil ho jata hai. or jo roze aurat ne haiz ki waja se na rakhe ho un ki qaza karna zarori hay. laikin jo namaaze haiz ki halat me na perhe ho un ki qaza nahe hay(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1612,459) [Updated on 23-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Isha azan ke baad asar ki kaza Namaz padh sakte hai
Answer: Jee han, Parh sakte hain, Lekin Qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi parhi ja sakti hay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1356,1358). [Updated on 21-Apr-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: 2 din se namaz nhi pad saka to maslan 10 time Ka Sare namaz padna hai
Answer: Jee jo namaz qaza ki hain aap par laazim hai k un ki qaza karein or gunah ki taubah bhi karain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356) [Updated on 24-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]