Question: Can we Pay Kaffara of all our Qaza Namaz at once like in Roza, we pay to poor people if we cant be able to perform roza?
Answer: Jis shakhs ne apni rozana ki namazain un k waqt me na parhi hoon to zurari he k un ki qaza karain aur is k lie koi kaffara nahi he.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Meray do sawal hein: 1. Roza ki halat mein ager namaz qaza ho jayee tu uss ka kuffara kiya ada ker saktay hein? 2. Ager roza ki halat mein masterbution(Istmina) ho jayee aur mani kharj ho jayee tau uss ka kiya kuffara ada kerna parray ga?
Answer: 1) Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un ki qaza baja laay. 2) Agar koe shakhs ramzan k rozay ko istimna k zariay batil karey aur ekhtiyaar se kia ho to us per qaza k alawa kaffara bhi wajib ho ga. 3) Ramzan ka roza torhne k kaffare k taor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1356 , 1630 , 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kia kisi marhoomeen ki kaza namaz per sakte hai
Answer: Insan k marnay k baad un ki namazoon aur doosri abadatoon k lie jo wo zandigi me nah baja laya ho kisi doosray shakhs ko ajeer banaya ja sakhta he. Yani wo namazain usa ijrut de kar parwhai ja sakhte he Aur agar koi shakhs bagair ijrut lie un namazoon aur doosri ibadatoon ko baja laye tab bhi sahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371 , 1514). Was-salam
Question: Assalam-o-Alaikum,i am 16 years old......main puchna chahta hun ke mujhe qaza namaz parhne ka tariqa bta de.........yaani shuru kase ki jaaye aur khatm kaise ki jaye.. thanx allah apki ilm mein izafa kar de...ameen
Answer: Yomiyah namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Asalaam-o-Alaikum mujhe mughrib ki qaza namaz adda karne ka tariqa bataein.
Answer: Qaza namaz parhnay ka tareeqa ada namaz hi ki terha he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1369) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam valikm hame yah janna hi ke kaza namaz ko kese parte hai fajr isha zuhr asror magrib ko kese ek saat parsakte hai or ramzan mai parneki kya fazelat hai
Answer: Yomiyah namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: insan jo farz namazian qareeban 2 ya 3 saal se chor chuka hai toh kisay os ko ada karay?
Answer: Jis shakhs ki namaz qaza ho jain to zaroori he k is ki qaza parhne me kotahi na karay albattah is ka foran parhna wajib nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: qaza namaz kay sharai daleel kayhawaljat din
Answer: Is website me fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Ahdeees e nabee(s.a.w.w) ahdees e or 12 imam(a.s) se qaza namazo ka soboot milta hay k jo namaz apnay waqt k ander nah perhi jay tu on ki qaza perhi wajib hogi(Ref: usool e kaafi urdu, jild#2, chepter 11, pg#40) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: can i read my kaza namaz before or after asar? thank you.
Answer: If the time of asar remains after qaza so he can perform qaza before that.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1365 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)
Question: mrey sath subhh ki namz bhut ziada qza hoti subha oth ni skta hon plz me kia karoo
Answer: jis shaks ko yaqeen ho k agar me sogaya to namaaze subh k lie bedaar na ho saku gha to aisa shaks kise k zimme laga sakta hai k wo namaaz k lie jagaye ya timepiece se istefada kar sakta hai jo ise jagaye aur agar ye dono mumkin na ho to sone se ghuna gaar na hogha mager ye k urf(aam louqo) k nazdeek ise namaaz k silsele me suste aur ghaflat samja jaaye.( to phir ghuna gaar hogha) (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 83 , pg # 75, eidition 5) subhe ki namaaz ki qaza hone se bacne ka tariqa : rasool allah ne farmaaya : jo shaks surah khaf ki aakheri aayat sote waqt jis bhi waqt utne ki niyat se perhe gha jo jis waqt chahe gha bedaar ho jaaye ga.( nawaahe sauleheen,pg:332) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).