Question: Namaz qaza ko kya short cut parh sakte hai? Jaise roko sajda or subhanallah walhamdullillah 3 ki jaga 1 bar parhe namaz ho jayega..mujhe 6 din ke namaz eksaath pura karna hai
Answer: 1: Qaza namaz parhne ka tareeq bhi wohi hai jo ada namaz parhne ka hai. faraqt niyat karte waqt qaza ki niyat ki jaye gi. is ke baad surah al-hamd aur doora surah, phir ruku aur is ka zikr, phir do sajde aur in ka zikr. is ke baad doosri rakat me bhi yahi karna hai. Albatta namaz ke jitne bhi mustahab zikr ya mustahab afaal hain agar unhen na parha jaye to koi haraj nahin, namaz sahi ho jaye gi jaise ke ruku, sajde aur tasbeehat e arba aik martaba parhna wajib hai lekin doosri aur teesri martaba wajib nahin aur doosri aur teesri martaba na parhen to namaz sahi ho jaye gi, isi tarah mustahab azkaar ko bhi jaan bhooj kar choora jaa sakta hai. 2: Mustahab azkaar jaise azaan o iqaamat, namaz ki darmiyani takbeeren kehna, takbeeren kehte waqt hathon ka buland karna, qunoot parhna, ruk use khare hone ke baad wala zikr (سمع اللہ۔۔۔۔۔۔۔) parhna, do sajdo ke darmiyan wala zik (استغفراللہ۔۔۔۔۔) parhna etc.... (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #903,1015,1016,1030,1036,1078,1104,1356). [Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AOA! mera swal swal yeh heu k agr koi shakhs foot ho jae ur hamein yeh na pata ho k woh suni the ya shia hum ne un ki kaza nimaz parne ho to un ki kaza nimaz parne ho to kis niat se nimaz paren.
Answer: 1: Agar namazein parhne wala shia hai to namazein bhi shia tareeqay ke mutabiq parhni hongi 2: Qaza namaz parhne ka tareeqa bhi wohi hai jo ada namaz parhne ka hai. faraqt niyat karte waqt marhoom ki namaz qaza ki niyat ki jaye gi. 3: Chahe mard ho ya aurat, niyat ke alfaaz dil se guzrna ya zaban se ye kehna ke "me marhoom ki fulan (fajr, zuhr, asr, magrib, isha) namaz parhta hon qurbatan ilallah" ye zaroori nahin hai balke faqat is ka iraada karna kaafi hai, yani pata ho ke me marhoom ki namaz parh raha hon ye kaafi hai, alag se alfaaz ada karna zaroori nahin hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #930,1356). [Updated on 25-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kaya koi insan kisi dosry insan k liye roza rakh skta hy
Answer: Wajibaat aur mustahbaat mein murdon ki niyabat jaaiz hai lekin zindah afraad ki niyabat Wajbat mein jaaiz nahin hai agarchay jis ki niyabat ki jaa rahi hai woh khud amal ko anjaam dainay se aajiz ho siwaye hajj ke is tafseel ke mutabiq jo hajj ki fasl mein hajj e niyabati ke ahkaam mein bayan ki jaye gi. aur zindah afraad ki niyabat baaz mustahbaati ibadaton mein jaiz jaisay hajj o umra aur tawaf is shakhs ki taraf se jo shehr-e-makka mein sukoonat nahin rakhta aur Qabar-e-Paighambar Akram(s.a.w.w) aur aayma taahireen(a.s) ki qabron ki ziyarat aur woh namaz jo ziyarat ke baad parhi jati hai. balkay zindah afraad ki niyabat tamam mustahbaat mein reja ki niyat se yani shariyat mein warid honay ki niyat kiye baghair jaaiz hai . Jin maqamat mein zindah afraad ki niyabat jaaiz hai. farq nahin hai ke niyabat muft mein ho ya ijara, juala aur is ke manind shakal mein ho. is bana par insaan baaz mustahabi kamon ko anjaam dainay ke liye jaisay hajj, umra aur ziyarat zindon ki taraf se ujrat le kar ajeer ban sakta hai. Mustahbaat aur wajibaat mein amal ke sawab ko hadia karna jaaiz hai. pas insaan ke liye jaaiz hai ke mustahab ya wajib kaam apne liye khud anjaam day aur phir is ka sawab murdon ya zindah afraad ke liye hadia kare. Qabil e zikar hai ke sawab ka hadia karna un wajibaat ke saqt honay ka baais nahin hoga jo un ke zimmay hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #2136,2137,2138,2139,2140,2141). [Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As salam alykum agha.agar meri namaz qaza hai to kya main dusre marhoom ki namaz ujrat lekar phad sakta hoon.wa salam
Answer: Jee han, apni qaza namazen hote hue marhoon ki qaza namaz ujrat pe parh sakte hain. Isi tarah marhoom ke qaza rozay bhi rakh rakhte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #1, edition #1443, maslah #2163). [Updated on 13-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamualikum, Zinda Aadmi k liye Qaza namazon ka srf fidya daina hoga ya namazain bhi prhni hngi?
Answer: Rozana ki namazon me se jitni namazen apne waqt me na parhi hon un tamam ki qaza karna zaroori hogi. Qaza namaz k badle fidye nahin hota. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1356). [Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Marhoom maa ki qaza namaz kis par wajib hy? Jinka beta maujood na ho par beti ho to qaza namaz kis pr wajib hy? Marhoom bete ki namaz kis pr wajib hy?
Answer: NULL
Question: Kia qza namazain ek Sath kisi b wkt parh skty ha? Or frz k bad prhy ya shro ma.?
Answer: 1: Jee chand dinon ki qaza namazein aik sath parh sakte hai Q ke qaza namaz ka koi waqt muayyin nahin ha. 2: Wajib (farz) namaz se pelhay bhi parh sakte hain aur bad me parh sakte hain. Rozana ki namazoo ke lie tarteeb lazim nahe hay sewaae un namazoo ke jin ke ada me tarteeb hay maslan aik din ki namaz zohar o asar ya maqrib o esha. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1356,1365,1361). [Updated on 16-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Unfortunately I have not been a regular namazi from day one. How should I count my qaza namaz?
Answer:
Question: kya nimaz asar k baad zuhr ki kaza nimaz pad sakty hain ....shukria
Answer:
Question: Murde ke qaza nimaz par sakte hain
Answer: