Question: Assalamualekum agar fajr ki namaz choot gaye kisi ye wajhe se ki woh namaz ki niyaat kara aur phir namaz ke waqt soo gaya? Toh us waqt keya kaaree
Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi hoon to zarori he k un tamam namazo ki qaza baja laey. Albatta in qaza namazo main tarteeb lazim nahi hai siwaey in namazo k jin ki ada main tarteeb hai maslan aik din ki zohar aur asr ya magrib aur isha.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kiya Apni Qaza Namaz ojrat de kar parhwai ja sakti hai?
Answer: Jab tak insaan zinda hai chay wo apni qaza namazen perhne se qasir he kyu na ho koi dosera shaks is ki qaza namazen nahen perh sakta . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1368) [Updated on 24-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: fajar ka waqt guzarnay kay baad us ki sunnat parh sakty hen
Answer: waqt guzarny k baad nawafil ki qaza karna mustahab hai.(Ref:https://www.sistani.org/arabic/qa/0736/) [Updated on 12-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fazr ki qaza subah 9am tak padh sakte hai sunnate bhi ada karni hongi ya farz hi pade jayenge
Answer: 1) Jee parh sakte hain qaza k liye koi khaas waqt nahi hai lekin itni takhher na karay k la parwahi shumaar ho. 2) Nafil (sunnat) ki qaza zaroori nahi hai. (Ref:https://www.sistani.org/urdu/qa/02674/) [Updated on 26-Jun-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Magrib ki namAz k baad asar ki kaza namAz padh skte hai ya nahi
Answer: Jee han, Qaza namaz magrib ki namaz k baad ya kisi bhi waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Almasail ul muntakhaba, maslah #436),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1367). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kis farz namaz ki qaza nahi padhi ja sakti
Answer: Jis shakhs ki namaz qaza hojaye to zarori hai k uski qaza parhne men kotahi na kre albatta uska foran parhna wajib nahi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail 31st Edition, page # 216, Masla# 1358) [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kis farz namaz ki qaza nahi padhi ja sakti hai
Answer: 1: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi ho to zarori he k us namaz ki qaza baja laye. 2: Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356,1358). [Updated on 28-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Zuhr aur Asar Ki Qaza Namaz Maghreb ke farz namaz ke baad ada kar sakte hai kya? Zuhr ki 4 rakat sunnat e muakkadah bhi ada karni padegi?
Answer: Jee han Zuhr aur Asar Ki Qaza Namaz Magrib ki namaz ke baad qaza ki niyat say parh saktay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1358) 2)Zuhr ki sunnat namaz ki qaza mustahab hay zarori nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1356). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya qaza namaz is izhar gunah hai ?
Answer: Nahi, qaza namaz perhna gunah ka izhaar shumaar nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356). [Updated on 29-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya farz juhar asra aur magrib ki qaza Isha me path sakte h
Answer: jee qaza namaz kisi wakt bhi alag se adaa ki jaa sakti hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356). [Updated on 24-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]