Question: Waledain ki qaza namaz ka tariqa
Answer: Waldain ki Qaza namaz parhnay ka tareeqa wohi hai jo apni ada namaz parhnay ka tareeqa hai. Sirf niyat tabdeel karni hogi (yani niyat ye karni hogi ke maslan me marhoom ki 2 rakat namaz e fajr parhta/parhti hon qurbatan ilal laah.zarori hay ke ( maiyat ki taraf se namaz perhne wala ) jo amal baja laae is ke lie niyat kare ke jo khuch maiyat ke zimme hay wo baja laraha hoon or agar ( amal ko anjaam dene wala) koi amal anjaam de or srif is ka sawaab maiyat ko hadiya karde tu ye kafi nahe .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1369,1518). (Note: Khayal rahe k niyat k tour per koe alfaaz zabaan se ada karna ya dil se guzaarna zarori nahi hai. sirf zehan mutawajjah rahe k khuda ka hukum bajalane ki gharz se yani qurbatan ilal-laah ye amal baja laa raha hoon yehi asli niyat hay. Albattah agar zabaan se yun kahain tu bhi koe haraj nahi. “Namaz perhta/perhti hoon marhoon ki subah ki 2 rakat qurbatan ilal laah.) [Updated on 03-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: aslom o alikum g mera sawal hai agr fajar namaz kaza hojati hai or usi din parna mumkin nahi to dosri din kun parni hai ? fajar nimaz ke sath ya soraj nikalni ke bad?
Answer: Qaza namaz ka waqt muayyan nahin hai qaza namaz kisi bhi waqt parhi ja sakti hai, Jis shaks ki qaza namaz ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotai na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1358) [Updated on 01-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya asr ya zuhar ki namaz k waqt fajr ki qaza namaz ada ki ja skti hai?
Answer: Jee han, Qaza namaz zuhrain ki namaz k baad ya kisi bhi waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1356,1358) [Updated on 02-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asar ki namaz agar Baki Jo air magrib Ka qaqt aa Jaye to asar kab padh sakte he
Answer: 1: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi ho to zarori he k us namaz ki qaza baja laye. 2: Jis shaks ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotahi na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356,1358). [Updated on 01-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASSALAMOALIKUM, MAI EK OFFICE MAI JOB KARTI HU JAHA SARE GAIR MUSLIM M YAHA TAK KI MERE BOSS V ,TO MAI WAQT PER NAMAZ ADA NAHI KAR PATI HU TO KYA MAI SARI QAZA NAMAZ ESSA KE WAQT ADA KER SAKTI HU??
Answer: W/salam agar job karne k wajah se namaz qaza hoti ho tu phir is jagah job karna jaiz nahi hay. Tamaam namazo ko waqt per perhrhna wajib hay. qaza karne ki ijazat nahi hay. (Ref : Aqai Sistani (db), Jadeed faqhi masail , masala # 64 , pg # 75 , eidition #5) [Updated on 09-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o Alikum mughe pochna he ke kya namaz choot jaye aur us ki qaza parh li jaye to kya namaz jo choti he uska gunnah ho ga ?
Answer: Agar koi shakhs namaz keh pore waqt k doran soya rahay aur bad men pata chalay ke namaz ka waqt nikal gaya hai ya us ne madhoshi ki wajha se naamaz na parhi ho to gunahagar nahin hoga, lekin Jan boojh kar namaz ka na parhna haram aur gunah e kabeera hai, aur in donon surton men namazon ki qaza baja lana zaroori hai.(Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 39th, maslah # 1356). and (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Maslah #30, Edition 1439 hij). [Updated on 11-Nov-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera sawal hai... K agar insaan ghusal ki halat me ho or namaz qaza ho rai ho to is surat haal me kya kiya jaye???
Answer: Jis shakhs ne apni namaz un k apnay waqt me na parhi ho to zarori he k us namaz ki qaza baja laye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 1356). (Note: Gusl kar ke namaz parh lain.) [Updated on 04-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fjr ki nmaz kis nmaz ky sath parh sakti hu qaza kr ky?
Answer: Fajar ki wajib namaz agar qaza ho jaey tu oski qaza namaz perhna zarori hay. Aur qaza namaz ka waqt muayyan nahin hai qaza namaz kisi bhi waqt parhi ja sakti hai, Jis kisi ki namaz qaza ho jaay zaroori hai k is ki qaza perhne me kotai na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, Edition 39th, maslah #1356,1358) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Fajr aur zohr ki namaz qaza karne kitni rakat padhni hai?
Answer: utni hi rakaat ki qaza karni hai yaane fajr k 2 or zohar ki 4. nawafil ki qaza mustahab hay lehaaza parhna zaroori nahi hai chahein tu us ki bhi qaza kar saktay hain.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356). [Updated on 14-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya asar ki Namaaz se pahle usi din ki Fazar ki qaza namaaz padh sakte hai ?
Answer: Jee han, Parh sakte hain, Lekin Qaza namaz ka koi waqt muayyan nahin wo kabhi bhi perhi ja sakti hay. (Ref: Tauzeeh ul masail Ayatullah Sistani, Edition 41st, maslah #1356, 1358). [Updated on 21-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]