Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16694
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Marhom ki namaz e qaza ka tareeqa aur tarteeb kya hai

Answer: Marhoom ki Qaza namaz parhnay ka tareeqa wohi hai jo apni ada namaz parhnay ka tareeqa hai. aur marhoom ki qaza namaz tarteeb bhi lazim nahin hai siwaye un namazon ke jin ki ada me tarteeb hai. maslan aik din ki namaz e zuhr o asr ya maghrib o isha. Sirf niyat tabdeel karni hogi (yani niyat ye karni hogi ke maslan me marhoom ki 2 rakat namaz e fajr parhta hon qurbatan ilal laah. Marhoom ki taraf se namaz parhne wale ke liye zaroori hai ke jo amal baja laaye us ke liye niyat kare ke jo khuch mayyit ke zimme hai wo baja laa raha hon aur agar koi amal anjaam day aur srif is ka sawab mayyit ko hadiya karde to ye kaafi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, Maslah #930,1369,1518,1524). (Note: Waazeh rahe ke niyat ke taur par zabaan se koi alfaaz ada karna ya dil se guzaarna zaroori nahin hain. sirf zehan mutawajjah rahe ke khuda ka hukum baja lane ki gharz se yani qurbatan ilal-laah ye amal baja laa raha hoon yehi asli niyat hay. albatta agar zabaan se alfaaz kahain to bhi koi haraj nahin). [Updated on 07-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16726
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qaza umri me Kea fajar ke sari nmaaze pahly ada kr skty he Or pher zuhar ke sari

Answer: Yaumiya namazon ki qaza me tarteeb laazim nahin hai siwaye un namazon ke jin ki ada me tarteeb hoti hai. maslan aik din ki namaz e zuhar aur asr ya maghrib aur ishaa. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1361). [Updated on 12-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16845
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ma safar ma ha or Zohar or Asir ke mnz par lata ha lakin gar ponchta ponchta bul jata ha mugrib or ishea ke mnz or subh yad ata ha is ka laya Kya ihkam ha

Answer: Jo namaz un ke apnay waqt me na parhi ho to zaroori hai ke us namaz ki qaza baja layen. aur zaroori hai ke us namaz ki qaza parhne me kotahi na ki jaye albata is ka fauran parhna wajib nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1356,1358). [Updated on 08-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16846
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ma safar ma ha or Zohar or Asir ke mnz par lata ha lakin gar ponchta ponchta bul jata ha mugrib or ishea ke mnz or subh yad ata ha is ka laya Kya ihkam ha

Answer: Jo namaz un ke apnay waqt me na parhi ho to zaroori hai ke us namaz ki qaza baja layen. aur zaroori hai ke us namaz ki qaza parhne me kotahi na ki jaye albata is ka fauran parhna wajib nahin hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1356,1358). [Updated on 06-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16893
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baap ki qaza namaz agr bete per farz ha to iska hawala dein kesi imam se hadees se ya quran se

Answer: 1. Muhammad bin abi umair baaz ashaab ke tawassut se Hazrat Imam Jaffer Sadiq(a.s) se riwayat karte hain ke Aap(a.s) se poocha gaya ke aik shakhs mar gaya, jabke us ke zimmay namaz o roza tha? farmaya: jo shakhs (wirasat mein) sab se aulaa(اولیٰ) hai wo (yeh faraiz) ada kare. 2. Abdullah bin sanan Hazrat Imam Jaffer Sadiq(a.s) se riwayat karte hain. farmaya: marnay walay ki mout se pehlay jis namaz ka waqt daakhil ho gaya tha (magar woh parh nah saka) to us ki qaza sab se ziyada qareebi waris par wajib hai. (Note: kitab wasail-us-shia ke baab e meeras me jo dusri ahaadeen bayan huei hain us me bayan kiya gaya hai ke wirasat mein sab se aulaa(اولیٰ) aur sab se ziyada qareebi waris se muraad bara beta hai). (Ref: Wasail-us-shia (urdu), part #5, pg #309,311, aur part #17, pg #274,275). [Updated on 13-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17059
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AGR KISI KO GHUSAL KA NA PTA HO OR VHO NA PAK HO TU KYA USKI NAMAZIE QABOOL HONGI?

Answer: Janabat (na-paaki) ki halat me jitni namazen parhi hain wo baatil hain (yani sahi nahin hain), agar un namazon ka waqt baaqi ho to ghusl kar ke dobara parhna zaroori hain aur agar waqt guzar gaya ho to unki qaza karna zaroori hai, Q ke wajib aur mustahab namazon mein se har aik ko wuzu, ghusl ya tayamum ke sath ada karna zaroori hai, warna namaz baatil hai. (Ref: Tauzeeh ul masail jaame(farsi), Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1009). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17081
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam sir main job karti hou main roza rakhouge namaz ka kohi intezam nahi hai office main sare non muslim hain to ky roze main sari namaz Qaza ek sath phar sakti hou ?

Answer: Jee nahin, balke jan boojh kar namaz ka qaza karna Haram aur ghunah e kabira hai aur aap ke liye zaroori hai namaz ke liye koi intezaam karen maslan lunch breack me namaz parh len ya ke aap office management se baat kar apna breack time barha den aur us me namaz parh len. lekin bhi kisi soorat me namaz apne muqarrara me nah parhna jaiz nahin hai. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30). [Updated on 12-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17183
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia apni jaga kisi or ko roza rakhwa suktay agar bimari ki waja se na rakh sakain to? Or kia kisi fot shuda admi k nam k rozay rakhwa suktay h?

Answer: 1: Jee nahin, Jab tak insaan zinda hai chahe wo apni qaza namazen (aur roze) baja laane se aajiz hi Q na ho koi dosera shaks us ki qaza namazen (aur roze) nahin baja laa sakta. 2: Jee han, Insaan ke marnay ke baad un ki namazon, rozon aur doosri ibadaton ke liye jo wo zandigi me nah baja laya ho kisi doosre shakhs ko ajeer banaya jaa sakta hai. yani wo namazain, rozay kisi ko ujrat day kar anjam diye ja sakhte hain Aur agar koi shakhs bagair ujrat liye un namazoon, rozon aur doosri ibadaton ko baja laye tab bhi sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1368,1371, 1514). [Updated on 06-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17199
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar apki Qaza namaz baki ho or jamat hony wali ho tou apko phely qaza namaz parhni chaiye ya jamat wali namaz?

Answer: Aap mukhtaar hain in me se jo chahen parhen, albatta jamaat ke sath namaz parhna ziyada sawab ka baais hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1380,1381). [Updated on 16-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17360
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam U Alaikum, mera question yeh hai k woh shakhs jisne apni life ki almost namazen qaza ki hon woh kis trah tarteeb de kr ada kre.

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq qaza namaz parhne me tarteeb zaroori nahin hai. Agar kisi shakhs ki namazen qaza ho gayei hon aur wo ye na janta ho ya bhool gaya ho ke un qaza namazon ki tadaad kiya hai maslan wo ye na janta ho ke 3 saal thi, 4 saal thi ya 5 saal thi to agar wo chotay adad (yani 3 saal) ke hisab se parh lay to kaafi hai lekin behtar ye hai ke itni namazain parhay ke use yaqeen ho jaye ke saari qaza namazain parh li hain maslan agar wo na janta ho ya bhool gaya ho ke us ki kitni namazain qaza huei thin aur use yaqeen ho ke 10 saal se ziyada nahin thein to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1361,1364). [Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!