Question: Qaza nmazo ka tareeqs
Answer: qaza namaz bilkul usi tareekay sai adaa ki jaaye gi jis tarah waqt k andar adaa namaz parhi jaati hai bus niyyat sirf aap qaza namaz ki karein gay.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356). [Updated on 12-Jul-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr qaza nimazon k tadad maloom na ho … phr hr aik nimaz kai sath agr us ki qaza phrtai jayein toh is sai qaza nimazein puri ho skte hai?? Is tarah krna jaez hai??
Answer: Agar kisi shakhs ko yeh yaad na ho keh us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay adad k hisab se namaz parh lay to kafi hai maslan yeh na janta ho keh 3 theen ya 4 ya 5, to agar woh 3 namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yani upper wali misal k etibaar se behtar yeh hai k 5 namazain parh lay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, masalah #1364). [Updated on 16-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr hum zohar ya kisi bhi waqt ki namaz prhny lgy hen or qaza namaz prhna chahen to kya qaza namaz us namaz sy phly prhni hy ya bad main..?
Answer: 1: Jis shakhs ki namaz qaza ho jaye to zaroori hai k is ki qaza parhne me kotahi nah kare albata is ka fouran parhna wajib nahin hai. 2: Jis shakhs ki guzishta dino ki faqat aik namaaz qaza hue ho us ke liye behtar hai keh agar us din ki namaaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to pehle qaza parhe aur us ke baad us din ki namaaz mein mashghul ho. Neez agar us ki guzishta dino ki koi namaaz qaza na huye ho, laikin usi din ki ek ya ek se zayada namaazein qaza huye hon to agar us din ki namaaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to behtar yeh hai keh oos din ki qaza namaazein adaa namaaz se pahle parhe. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1358,1365). (Note: Qaza namaz wese to kabhi bhi parhi ja sakti hai Q ke qaza namaz ke parhne ka koi waqt muayen nahin hai jese ke upar bayan kiya gaya lekin agar jis din namaz qaza hue hai usi din parhna chahen to agar us din ki ada namaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to qaza namaz ko us din ki ada namaz se pehle parh sakti hain. maslan agar aik din ki namaz e fajr qaza hue ho or usi din parhna chahen or us din ki namaz e zuhr ki fazilat ka waqt khatam bhi na ho raha ho to namaz e fajr ko us din ki namaz e zuhr se pehle parh sakti hain). [Updated on 15-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Puri life me jitni namaz chout gayi h usse kaise ada kre?
Answer: Agr kisi shakhs ki namazen qaza ho gai hon or wo ye na janta ho ya bhool gaya ho k un qaza namazon ki tadad kiya hai maslan wo ye na janta ho k 3 thi 4 thi ya 5 thi to agar wo chotay adad k hisab say parh lay to kafi hai lakin behtr ye hai k itni namazain parhay k usay yaqeen ho jaye k sari qaza namazain parh li hain maslan agar wo bhool gaya ho k os ki kitni namazain qaza hui thin aur usay yaqeen ho k 10 sai ziada na thi to ehtiyatan 10 namazin parhay. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1364). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya Namaz e fajr rozana qaza kr k parh Skte Hein ??
Answer: Jee nahin, Qaza nahin kar sakte Q ke Jaan bojh ker namaz ko waqt par nah parhna (yani qaza karna) gunah e kabira hay. aur jo namaz waqt par nah parhi jaye tu os namaz ko qaza ki niyat se parhna wajib hoga.(Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #30. +Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1356). [Updated on 28-Oct-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: If a person get up late like after 8 am his namaz qaza what should he do immediately perform or better to perform with zohrain
Answer: Agar namaz qaza ho jaye to zaroori hai k is ki qaza perhne me kohtae nah kare albata is ka fouran perhna wajib nahin hai. Agar isi din ki aik ya aik se ziyada namaz qaza hoe hoon tu agar os din ki namaz ki fazilat ka waqt khatam nah ho raha ho tu behter ye hay keh os din ki qaza namazin ada namaz se pehle perhay.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1366). [Updated on 07-Jun-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa.. kia qaza namazein ikhatay jese 1000 rakat tamam qaza namazo me se parhte hain.. na k zuhr ki alah asar ki alag. Mtlb rakatein poori krein tou theek he?
Answer: Jee nahin, balkeh qaza namaz me bhi har namaz ko us ke usi tareeqe ke mutabiq anjam dena zaroori jo tareeqa ada namaz ke baare me bataya gaya hai. jaise ke namaz e fajr ki do rakat parhni zaroori hain, zuhr ki chaar rakat parhni zaroori hain, wageraa...... (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sitsani(d.b), edition #42, maslah #930 to 1092,1356). [Updated on 19-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia suba ki nimaz Suraj nikalny k bad par sakty hn
Answer: Subah ki namaz ki adaigi (jis me fajr ki namaz ada ki niyat se parhni hai) ka aik waqt muqarar hai us ke baad namaz e fajr qaza ho jaati hai, lihaaza is se pehle namaz e fajr adaa karna zaroori hai. aur suraj nikalte hi fajr ki namaz qaza ho jaati hai, lihaaza suraj nikalne ke baad namaz e fajr, qaza ki niyat se parhni hogi aur qaza ka waqt muayyin nahin wo kabhi bhi parhi ja sakti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42,, maslah #729,1358). [Updated on 22-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kone Sai nimaz hai jo qaza hu nai pai nhy padthi hai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).Jin namazo ki qaza nahe hay in se khuch ye hay . Wo eid fitr aur eid qurbaan ki namaz hai ke agar waqt guzar jaye to in ki qaza nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1829). [Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kone Sai nimaz hai jo qaza hu nai k baad nhy padthi hai
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain).Jin namazo ki qaza nahe hay in me se khuch ye Hain Wo eid fitr aur eid qurbaan ki namaz hai ke agar waqt guzar jaye to in ki qaza nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, maslah #1829). [Updated on 25-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]