Question: Kya apni zindagy main apni pichli jo qaza namazain hain unka fidya desakty hain ham? Agar qaza karny ki himat taqat na ho....
Answer: jee nahi aisa koi fidya nahi hai qaza karna lazmi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 1356) [Updated on 15-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia fajar ki namaz qaza karnay k liye is ki 2 sunnat pehle ada karna zaroori hay ya khali 2 farz parh k qaza namaz ho jati hay fajar ki?
Answer: Fajar ki wajib namaz agar qaza ho jaey tu oski qaza namaz perhna zarori hay laikin fajar ki sunnat namaz ki qaza mustahab hay zarori nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #1356). Update on dated 19-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamo alaikum Hazrat kaza umri namaz kaise padhe
Answer: Yoomiya namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1361) [Updated on 05-Dec-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aoa Agar Namaz e Fajr aap sy inteha e waqat mein ada ho jaye, air baad mein pata chaly k ye inteha e waqat tha. Tu kya Namaz ki adaigi dobara krna hogi?
Answer: Namaz dobara parhne ki zaroorat nahi hai ku keh namaz waqt ke andar hogayi hai. (mafhoom e masla) (Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, 41st edition, Maslah no 730). [Updated on 28-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: As'Salamu Alaikum Wa Rehmatullahi WaTa'ala Wa Barakatuhu Mera sawal yeh hai ki Kya Fajar Aur Asar mea khaza namaz padh sakte hai ya Nahi? Please bataye
Answer: Yoomiya namazo ki qaza main terteeb laazim nahi hay siwaay on namazo k jin ki ada main terteeb hoti hay.maslan aik din ki namaz e zuhar or asr ya maghrib or ishaa(yani jab bhi qaza namazain perhain tu pehlay zuhar se pehlay asr nah perhain or isi tarah isha ko maghrib ki namaz se pehlay nah perhain ). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya na mehram ka umrah krna jaiz hai agar jaiz hai tau kis tara niyat kar kai kar sakhtai hai umrah na mehram kai liyai
Answer: insan ke marney ke baad un namazon aur dosri ibadaton ke liay jo woh zindagi mein na baja laya ho kisi dosray shaks ko ajeer banaya ja sakta hai. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, masla no 1514) [Updated on 19-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sir Mera wala ye hai k QAZA namaz kis Waqt Ada kr skte hai ????
Answer: Qaza namaz kisi bhi waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Almasail ul muntakhaba, maslah #436). [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: women ki period ky duran ki namazy maaf ho jai ge ya period katam hony ky bad namazy complete karni ho ge .please es bary mai koi hadis bata den . shukria
Answer: 1) Halat e haiz main namaz or os jaisi digar ibadatain jinhain wuzu, ghusl ya tayammum k sath ada kerna zarori hay, agar is niyat se anjam day k sahi amal anjam day rahi hoon, jaiz nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #456) 2) jo namazain aurat nay haiz ki halat main nah perhi hoon on ki qaza nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #459) [Updated on 17-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya asar ki namaz k saath qaza namaz adaa hojati hai ya nai
Answer: Asr ki namaz k baad qaza namaz perhi jaa saktti hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#1367). [Updated on 15-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Sony ke waja sy koi namaz qaza ho gai ho tu us ke qaza agli namaz ma ada ho skti hai or qaza namaz bd ma ada ke jahy ge ya phely masaln Meri zohr qaza ho gai ab asar ka time hai ma phely asar parho ga ya zohr ke qaza namaz paro ga
Answer: Note: Is web par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain.