Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7416
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qaza namaz parhni ho mean zuhar or asr ki parhni ho to kia tarteeb ho gi phle zuhar ki farz or phr zuhar ki kaza phr asr or phr asr ki qaza ya zuhar frz or asr frz parh k zuhar ki qaza r phr asr ki qaza parh sakty hain?

Answer: Ager zuhar o asar ki qaza namaazain 1 din ki pherhna maqsood ho jese zuhar o asar ya maghrib o isha(jumme ke din ki) indono ke dermiyaan tarteeb lazim hai, or ager in ko yoomiya farz namazoo ke saath pharna ho to ager farz namaaz ki fazilat ka waqt khatam na ho raha ho to behtar hai k pehle qaza phare phir farz. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1361 , 1365 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7469
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A. sir i want to ask main jinko chahti hon kia un k hisay ki namaz ada kar skti hon? wo bht masrofiyat ki wjah se 5 wkt ki adaegi nae kar paatay. please mjhay jawab dain jaldi plz

Answer: Gee nahi ye jaiz nahi hai apki us ki taraf se namaz ki adaigi se us pr se namaz ki zimedari khatam nahi hogi, chahe kitni hi masrufiat ho. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 1414 , maslah # 1368 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7561
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Can we pray qadha namaz in tahajud namaz. Eg. Instead of 2x4 nnamaz shub, if can pray 4 rakat namaz zuhar and aasaar qadha

Answer: Wssalam o alykum, yes you can. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1359 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7792
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar meri koi nmz reh jay to main usy kasy perh skta hun

Answer: Jo namaz waqt per nah perhi jay tu os namaz ko qaza ki niyat se perha hoga. Or namaz ko jaan bojh ker waqt per nah perhna gunah hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #1356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 7880
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalaamoalekum, Mera sawaal ye hai ki kya fajr ki qaza mein sunnat bhi ada kar sakte hain. Ahar haan to kis waqt tak.

Answer: Wssalam o alykum,G Han kisi bhi wqt ada kr sakte hen mager qaza ki niyat se.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2 , sawaal # 57 , pg # 36 , ALLAH TAALA hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8214
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya namaz nafila ki qaza padh sakte hai yaa padhni chahiye

Answer: Nafla namaazo ki qaza karna mustahab hai waajib nahe hai.(ref:minhaajus sauleheen, aqa sistani,jild :1,masla:723,eidition:2009) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8345
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assamo alaikum agar fajar ki namaz qaza hogai hai to kya jumme ki namaz aada hogi yta pehle fajar ki qaza namaz aada karni hogi

Answer: Wssalam o alykum, fajar ki namaaz ka pehle ada karna zarori nahi hai, pehle juma namaz ada ki ja sakti hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 720 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai)

Id: 8503
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aghar mari bhot sari namaz kaza hwi hai or mai buzurg ho chuki hu pairo mai bhot dard raita hai or mai bait kai kaza namaz par rahi hu to kya sahi hai

Answer: Jis k liay kisi majbori ki wajah se mukammal tariqay se namaz perhna mumkin nah ho or ilm ho k baad main uzr(majbori) door ho jay gi tut u ahwat e lozomi hay k wo qaza ki adaegi ko uzr k door hone tak taker kare., or agar os ko ilm ho k aakhri urma tak uzr door nahi hoga tu os k liay fuaran qaza namaz ko perhna jaiz hay , balkeh agar os ko ehtimaal bhi ho k uzr aakhiri umar tak baqi rahe ga or door nahi hoga, laikin agar uzr door ho jay tu ehtiyaat e wajib ye hay k agar kharabi o khalal arkaan main that u dobara namaz k qaza baja laay , or dobara bajalana wajib nahi agar khalal arkaan k alawa kisi or main ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #733 . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 8614
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar asar namaz qza ho gya aur magrib ka waqt ho gya to hum ko kya krna chahiy pahly magrib ki namaz ada kry ya asar ki namaz ada kry.agar asar ki namaz ada kry pahly to us ki niyat qza ki kry ya kuch aur.

Answer: Agar kise ki namaaz asar qaza ho jaay aur namaaz maghrib ki fazilat ka waqt baqi ho to behter ye hai k phele qaza namaaz perhi jaey aur phir namaaz e maghrib perhe jaey laikin phele maghrib perhna jaaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1365). Update on dated 25-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8629
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alikum Guzre howe din ke qaza namazin agle din ke ko qaza ada karne ho to kunse time ko behtar hoga

Answer: Jis shaks ki namaz qaza ho jaey tu zarori hay k oski qaza perhne main kotahi nah kare albatta os ka fori perhna zarori nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1358). Update on dated 01-05-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!