Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8859
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: my ny zwal k wakt nimz e fajr ada ki mjy nhi pta tha k ye zwal ka wkt hy....kisi ny btaya k ye zwal ka wkt tha ap thori dyr bad dubara prh ly....to my dubara ada kr li......ub wo jo zwal k wkt prhi thi kya us py ALLAH ki pkr to ni ho ge?

Answer: Qaza namaz har waqt perhi ja sakti hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1381). Update on dated 17-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9174
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ek sath kisi wajah se hamari do char din ki namaz qaza ho gai to un sab namazo ko kaise ada karein..? Kya sab waqt ki alag alag ada karni hogi ya ek hi baar.. Kaise..?

Answer: Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye. Jis shaks ki qaza namaz ho jaay zarore hai k is ki qaza perhne me kotai na kare albata is ka fouran perhna wajib nahe hai.(balke toure toure kar k bhi perh sakte hai.) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 37th edition, maslah #1356,1358 ) . Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum mera sawal ye hai k Fajar Namaz ki sunnatain agar Reh jain to unhe Parhne ka kya Hukam hai.... Jazak Allah

Answer: Nafil namaz ki qaza takeedi mustahab hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344). Update on dated 04-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9466
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam mera swal ya ha k agar koi shuks numaz purhna ma galti kra or bat ma us ko pta chla k vo numaz galt purh rha tha to is k bat kya kra jaya

Answer: Agar ghalti ghair wajib-e-rukni main ho or wo shakh jaahil e qasir nahi to namaz sahi hay or jo ghalat parh raha tha usay seekh lia jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #929 ). Update on dated 28-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Subha kazab se ly ker fajar tak koi kaza nemaz perhi ja sakti he

Answer: Jee qaza namaz har waqt parhi ja sakti hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Almasail ul muntakhaba, maslah #436). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9622
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera swal ye h k insan ne ghunao se toba kr li ho pr uski pichli nimazo ko kesy ada kr skta h kia koi kfara ada kr k ya kesy?

Answer: Jis shakhs ne apni rozana ki namazain un k waqt me nah parhi hoon to zaruri he k un ki qaza karain aur is k lie koi kaffara nahi he lekin orat say jo nemazen panjgana haiz ki wajah say choten hen unki qaza nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1367 ). Update on dated 07-02-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9670
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u Alaikum Mera sawal ye hai mein foreign mai rehta hu kya mein job pe duty ki wajah se namaz qaza kar sakta hu kiun ke boss muslim nahi ha or wo namaz ke liye time nahi deta tou muje kya karna chahye

Answer: Wajib hay k namaz waqt k andar parhi jaey kisi bhi wajah se namaz ko qaza kerna jaiz nahi hai. (Ref : Jadeed fiqhi Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #64 , pg #69 ). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9672
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: fajar k sath asar maghrib aur isha ki kaza namaz parhee ja skhti hai?

Answer: Jee haan, parh saktay hen, laikin namaz qaza kerna gunah hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah # 1361,1365). Update on dated 30-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9907
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam aleikum. Agar asar ki namaz qaza hojae to magrib parh sakte hen ? Ya pehle asar ki qaza parhna lazmi ha warna magrib qabool ni hogi?

Answer: Agar asar ki namaz parhanay say maghrib ki namaz ki fazeelat wala waqat khatam nahi hota to behtar hay k asar ki namaz pehlay parhi jaey . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1365). Update on dated 21-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10110
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar koi chahe ke meri zindagi me jo pehle namazen qaza howi hen un ki qaza parhi jae tu us ka kiya tarika he

Answer: Agar kisi shaks ko yeh yaad na ho keh us se kitni namazain qaza huwi hain to agar woh sab se chotay adad k hisab se namaz parh lay to kafi hai maslan yeh na janta ho keh 3 saal ki namazain qaza huwi theen ya 4 ya 5 saal ki, to agar woh 3 saal ki namazain parh lay to kafi hai. lekin behtar yeh hai ke itni namazain parhay ke isay yaqeen ho jai keh sari namazain parh li hain. yanay upper wali misal k eytibaar se behtar yeh hai k 5 saal ki namazain parh lay. (Ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no. 1364) [Updated on 27-Nov-2018 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!