Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17503
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozay ki halat ma mehndi laga skty han

Answer: Jee han, Rozay ki halat me mehndi laga sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17564
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr galti se mozzin magrib ki azan 5 mint phle de de or koi bnda roza khol le to kya hukm h

Answer: Agr ek rozedaar ne yh Yaqeen rkhte hue k Maghrib ka waqt dakhil hgya hai apne roze ko iftar krle to uss ka roze batil nhi hta lekin jese hi pata chal gya k Maghrib ka waqt dakhil nhi hua khane or peene ko rokna wajib hai aur jo giza Mu mai hai use nkalna wajib hai agr jan boojh khaaliya to Roza batil hai aur kaffara wajib hai (Reff : Tauzih ul Masail ,39th Edition, page number 239) [Updated on 01-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17583
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia shia bv sunni shoher k sath roza iftar kr sakti hy?

Answer: Ahle Sunnat ki rozay ki timing ke mutabiq sunni shohar ke sath shia biwi roza iftaar nahin kar sakti, aur agar us ke sath roza iftaar kar lay to shia biwi ka roza baatil ho jaye ga. (Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, chapter roza, sawal #9,10,11, pg #20,21). [Updated on 23-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19225
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam Alaikum rozay ki halat mein personal parts ke hair remove kar saktay hain !

Answer: Jee han, rozay ki halat mein hair remove kar saktay hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 25-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19250
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AoA rat m niyt thi k roze knliye sehri krungi lkin nhi Uth saki or Subah k 10 Mene rozy ki niyt krli Kiya Mera roza hoga??

Answer: Agar roze ko baatil karne wala kaam maslan khana, peena wagera nah kiya ho aur Rozay ki niyyat kar li ho to us ka roza sahi hai. Note: Roza rakhne ke liye sehri karna wajib nahin balke mustahab hai aur bager sehri ke bhi roza sahi ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1534,1535). [Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19374
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa If we get our period 5 minutr prior to aftar in roza is it considered complte

Answer: Jo aurat pehle haiz aur nifaas se paak ho lekin Roza rakhne ke baad haiz ya nifaas ka khoon aa jaye to agarche maghrib se aik lamhe (second) pehle hi aaye, roza baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, maslah #22. + Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #1612). [Updated on 11-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19379
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya naa mehram ka hath pakrny sy roza tut jata hai?? Please my question

Answer: Na-mehram ka haath pakarne se roza baatil nahin hota lekin ye kaam khud Haraam hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,minhajussuleheen ,aqa sistani,jild #3,pg:20,masla no:16). [Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19386
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Mery pichly saal 2023 ma ramzan k 8 rozay hez ki wajah se reh gae the phr meri pregency hogai shawal ma tou ma rozy nhi rakhpai .. Kia mjhy mudd bata skty hain k kitna mudd niklna hoga?

Answer: Haiz (periods) ki wajh se na rakhay gaye rozon ko ramzan ke baad aur agle ramzan se pehlay ehtiyat-e-mustahab (yani behtar) hai ke un ki qaza baja layei jaye warna fidiya-e-takheer zimme aa jata hai. Ab un 8 rozay ki qaza bhi karna zaroori hai aur fidiya-e-takheer bhi dena zaroori hai. Fidiya-e-takheer yani har din ke rozay liye aik mud (yani 750 giram) taam faqeer ko day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1612,1676,1677, minhajussuleheen,aqa sistani,jild no: 1,topic roze ke ahkaam ). [Updated on 14-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19387
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri sawa maheeny ki beti ha kia ma roza rkh skti hun is ramzan ma? Mai usko apna feed deti hun bus.

Answer: 1: Bachay ko doodh pilane waali aurat ka roza. Woh aurat jo bachay ko doodh pilate hai aur is ka doodh kam ho agar roza is ke ya is ke bachay ke liye zarrar (nuqsaan ) rakhta ho to is par roza wajib nahin hai, aur har din ke liye( 750 gram ,ghehon, aata, ya chawal) fidiye ke taur faqeer ko day aur baad mein is rozay ki qaza baja laaye, lekin ehtiyat e wajib ki bina par yeh hukum is soorat mein hai ke bacha ko doodh pilana sirf isi tareeqay par munhasir ho, lekin agar koi dosra tareeqa mumkin ho. maslan dabbay ke doodh se istifada karen, to ehtiyat e wajib ki bina par roza rakhna lazim hai. lekin agar maloom ho ke toolani muddat tak bachay ko dabbay ka doodh pilana is ke liye zarar ka baais hai maslan woh bacha jis ke doodh peenay ke ibtidayei ayyaam hon aur dabbay ka doodh pilana baais bane ke bacha mah Ramazan ke baad maan ka doodh nahin piye ga aur yeh is ke liye zarar rakhta ho to is soorat mein bhi guzashta soorat ki tarah roza wajib nahin hai balkay har din ke liye (750 gram ,gheehon, aatta, ya chawal) fidiye ke taur faqeer ko day aur baad mein is rozay ki qaza baja laaye. 2: Fidya aise shakhs ko diya jaye jis men darj zel sharaait maujood hon: 1: Faqeer ho. aur faqeer woh hai ke jis ke paas khud apne aur apne ehal-o-eyal ke salana akhraajaat apni shaan ke mutabiq nah hon aur us ka bandobast karne mein kamzor aur natawaan ho aur Miskeen woh shakhs hai jo apni zindagi faqeer se ziyada sakht guzarta ho aur us ki zindagi guzaarne ke andaaz ki haalat na munasib tar ho jaise ye ke woh apne rozana ki zaroorat ke silsilay ka nafqa bhi nah rakhta ho. 2: Ehtiyat e wajib ki bina par baara imami shia ho yani 12 imamo ko maane wala ho. 3: Fidya kisi aisay shakhs ko nahin diya jaa sakta jis ka nafaqa khud Fidya dainay walay par wajib ho (maslan walidain, aulaad), lekin dosray mustahiq rishta daaron ko dena jaaiz hai. balkay afzal hai. 4: Fidya ki raqam ko haraam kaam mein kharch nah karta ho aur ehtiyat e wajib ki bina par us ko Fidya dena ghunah mein madad aur bure kaamon me shauq dilana shumaar nah ho. 5: Ehtiyat e wajib ki bina par sharaabi aur be-namazi aur khulam khula ghunah karne wala nah ho. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1700. + Tauzeeh ul masail jaame(farsi), part #2, maslah #807,1147,1148,1150,1151). [Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19390
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy ki halat m mu k andar jo pani ata h agr wo halaq m chala jaye to kia roza toot jata h

Answer: Monh (mouth) ka pani (thook) niglnay se roza baatil nahin hota, chahe kisi bhi wajah se monh me aa jaye. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1560). [Updated on 13-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!