Question: Assalamualaikum Agr sehri ka time end hojya or ap ki neend na khula Mtlb Roza chut jya magar Jan bhuj kr na chorain ho tu Kya krna Cahiye
Answer: Jo shakhs (mard, aurat) Ramazan ke Rozon aur isi tarah wajib Rozon mein jin ke din muyyin hain, Rozay ki niyaat kiye baghair Azaan-e-subh se pehle so jaaye agar wo zuhr se pehle bedaar ho jaaye (to agar roze ko baatil karne wala maslan khana, peena wagera nah kiya ho) aur Rozay ki niyyat kar lay to us ka roza sahi hai aur agar wo zuhr ke bad bedaar ho to zaroori hai ke ehtiyaat karte hue qurbat-e-mutlaqa ki niyyat se baaqi din khud ko roza baatil karne waali cheezon se bachaaye aur is din ke roze ki Qaza bhi baja laaye. Note: khud roza rakhna wajib hai jabke roze main sehri karna wajib nahin balke mustahab hai aur bager sehri ke bhi roza ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1535). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya roze me baby ko feeding kra sakte hai
Answer: Jee han, kara sakti hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553). [Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Rozay ki halat main nikkah karna jaiz hai
Answer: Jee, Rozay ki halat main faqat nikah karna jaiz hai lekin nikah ke baad rozay ki halat main shohar or biwi jima nahin kar sakte warna roza baatil ho jaye ga aur ramzaan ke rozay ko jima ke zariye baatil karne se rozay ki qaza ke awala kaffara bhi wajib hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1565,1630). [Updated on 28-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar roza mn bar bar dakar ahy
Answer: Agar khud ba khud aa rahe hain to koi haraj nahin Lekin agar dakaar li jaye aur koi cheez halaq ya monh main aajaye to zaroori hai ke use ugal diya jaye aur agar wo cheez bay ikhtiyaar pait main chali jaye to roza sahi hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1623,1624). [Updated on 30-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asslamoalikum..!main japan main hoti hun or yahan imambargha hamary ger say 57 kilometres door hy kia main zohur ky bad safar kr k iftar imambargha ker sakti hun kia mera roza mukamal mana jaega…?
Answer: Jee han, Agar zuhr ke baad safar karen to imambarghah men iftaar kar sakti hain aur roza sahi ho jaye ga, Q ke agar safar ki ibtida zuhur ke baad ho to ehtiyaat ki bina par us din ke roze ko poora karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1685,1692). [Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: کیا روزے کی حالت میں ہیر کلر کر سکتے ہیں
Answer: Jee han, Kar sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 05-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr koi shakhs is ehtamal pr k uska roza batil ho chuka ha aur wo roza torny ka srf irada kry to kiya uska roza batil ho Jayega?
Answer: Roza torne ka irada karne ke baad agar dobara roze ki niyat nah ki ho to roza baatil ho jaye ga aur agar dobara roze ki niyat ki ho to ehtiyat-e-wajib ye hai ke is din ka roza poora kare or baad main is ki qaza kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1551). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya bemari ki halat mn roza mn tablet kha skty hn?
Answer: Agar dawai zaroori ho yani agar aap dawa nahin len ge to yeh aap ke liye buhat nuqsaandeh hai to dawai kha sakte hain lekin yaad rahe ke is se roza baatil jo jaye ga. phir is rozay ki sirf qaza karni hogi. (Ref: Mujtahid Say Poochay Gaye Sawalat (Roza) sawal #23). [Updated on 13-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: روزے کی حالت میں دانت صاف کرنا
Answer: Rozay ki halat me daant saaf kar sakte hain Q ke brush aur tooth paste ke zariye daant saaf karna rozay ko baatil nahin karta. jab tak daanton ki safaei ke douran luaab dahan ke sath mili huei kisi cheez (tooth paste waghera) ko roza daar nigal na lay. Albata luaab dahan ke sath ghul mil jane wali cheez se roza baatil nahin hota. (Ref: Jadeed fiqhi masail, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #103). [Updated on 17-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mera ek sawal hy k jb mere haiz ka akhri k dinon me jese 8/9 day ko khoon ana ruk jata hy to gusul lene k bad brown discharge hota hy to kya wo b haiz me shumaar hoga or uske lye dubara gusul lena zaruri hoga?
Answer: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak ghusl nahin kiya jaa sakta, Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon-e-haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royi(cotton) rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa k baaz aurton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikaal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah howa ho ya thaurha sa zard pani laga ho. Ps agar wo Heyz ki mo’eyin ‘adat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi uski aadat ke din tamam nah houe hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar 10 din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen(10) din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya 10 din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #496). [Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]