Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 133
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar daaNtoN se KHoon ata ho (aur yeh bimaari bohat purani ho), to roze par is ka kya asar paRe ga?

Answer: Agar daantoo ki reekhoon say nikalnay wala khoon luab-e-dahan say makhloot hokar khatam ho jaey to is luab say parhaez laazim nahi hay.Agar Khoon luab-e-dahan say makhloot na ho to jab tak usay niglay ga nahi Roza batil nahi hoga.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.97,1554,Pg.No.28,240.

Id: 138
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamu-e-kum warehmat ullah janab aleem saab rozy ki halat me agar koi zohar ki namaz ke baat apni ya ghare aurat saat khel sakta hai ya nahi

Answer: Salam un alaikum Rozey ki halat mai apni biwi k sath cher char karna Makrooh hai aur agar Mani nikalne kay irade se yeh kaam kia jaye to us ka roza batil hojayega.Jabke Gair aurat k sath yeh amal Mutlaqan Haram hai aur us shakhs par Qaza aur Kaffara dono wajib hain. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani Prob No 1629 & Mujtahid sey Pooche Gaye Sawalat Question No.29

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 203
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya hum rozay main kushboo (attar) laga saktay hai? aur mera hafza kamzoor hai mugay koi wazifa bataii joo main wird karoo aur hafiz ban gaooo plzz

Answer: Salam un Alaikum 1)Ji Haan lagasaktay hain is se Roza BATIL nahi hota. 2)Hafza Barhane kay lie in Umoor ko anjam dia jaskata hai A)Quran Parhna Specially Ayat ul kursi parhna B)Namaz e Shab Parhna C)Durood Parhna D)Miswaak Karna E)Shehed(Honey)Khana Ref:Book Mujtahid se Poochay Gay Sawalat Book Roza Ques.No 172 & Book Adaab ul Mutallimeen

Id: 204
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: rozay main niswar ka kya hukum hai

Answer: Agar ye Halaq tak pohunch jaey to Roza Batil ho jaey ga.Ref:Minhaajus Saaliheen A.Sistani Masala 1003

Id: 224
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.kesi ka mustahib roza ho or koi pani de ashe he isrrar na be kare tab be pani pe sakhte hain ya mana be kar sakhtye hain

Answer: Mustahib Rozay ko Ikhtitaam tak pohchanaa zaroori nahi hay.(lihaza agar aap chahain to mana bhi kar saktay hain aur chahain to pee bhi saktay hain).Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala 1718.

Id: 312
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam i have a question that k agar may nay ghusal haiz sahi nahi ki hay to 2 saal bad mujay pata chala hay ab us ursay may jo namaz our roza may nay rakka hay us ka kia ho ga our kia kaffara be hoga ya nahi plz answer me as soon as possible

Answer: Ghusl-e-Batil main parhi gaee namaz batil hay aur is ka iaada(repeat) ya qaza karna wajib hay.Ref:Tauzeehul Masail A.Khaminae Q.No.212...Agar masala maloom karnay main kotaahi na kee ho to rozoo main sirf qaza hay warna Aihtiyaat-e-Wajib ki bina par kaffara bhi day.Ref:Jadeed Masail-2 Pg.No.92.

Id: 508
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mani nikalne se roza tooth jata hai?

Answer: b.t. jee han. roza todne wali cheezo me se ek istimna bhi hain.

Id: 604
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.O.A. i am a sugar patient. age 47, male, cannot bear hunger for a long time. sugar becomes low. cannot keep the fast for a long time. Rozay na rakhnay ka kia kaffara ho ga. thanks

Answer: w.s., If the matter of fasting, or cause him embarrassment is not usually a strong and continued to fall in the last Ramadan, the judiciary and the ransom Ojpt enough to feed one poor person to pay for each day 750 grams of bread or rice or flour. (ref:www.sistani.org/arabic/al-soumul mareez/q1)

Id: 617
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam : BSRM, Agar kise aurat ka bacha 4 mah say kam ho aor woh abhe apne man kay dudh ka alawa koie aor cheez naheen peet. to ase aorat kay bara main ROZA ka kaya hukam hay woh roza rakhe ge ya naheen. aur aya inke sirf kaza kara ge ya fidia bhe da gee.

Answer: w.s. jo aurat bachhe ko dudh pilati ho aur us ka dudh km ho agar us ka roza rakhna khud un k ya dudh pine wale bachhe k liye muzir ho to us aurat par roza rakhna wajib nahi aur zaroori he k har din k ewaz ek mudd taam faqeer ko de aur jo roze na rakhe hon un ki qaza karna zaroori he lekin ehtiyate wajib ki bina par yeh hukm us soorat me he jab k bachhe ko dudh pilane ka inhesar isi par ho lekin agar bachhe ko dudh pilane ka koi aur tariqa ho to aysi soorat me is ka hukam sabit hone me ishkal he (ref:tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1738)

Id: 619
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam,mear sawal yeh hai k mai 9 month pregnant hoon,muje lagta hai k mera roza rakhna merey bachey k liye nuksandey hai. to ager mai roza nahi rakhti to kia muje qaza k sath fideya b dena hoga. iltamas-e-dua

Answer: w.s. jee fidya bhi dena hoga. (ref: istiftaat k jawabat part: ibadat Aytullah Khamnaie (d.b.)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!