Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17227
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: period ka khatam hona per nahanana ka baad little blood aa jay to roza rakh sakta hai ?

Answer: Jab tak haiz ka khoon mukammal khatam nahin ho jaata tab tak ghusl nahin kiya jaa sakta, Agar kisi aurat ka khoon 10 din guzarne se pehle band ho jaye aur is baat ka ehtimaal ho ke us ke baatin mein khoon-e-haiz hai to zaroori hai ke ya ehtiyat karte hue ibadaaton ko anjam day ya Istibra kare aur Istibra kiye bager ibadaat ko tark karna jaiz nahin hai. Istibra ye hai ke apni sharamgah mein kuch dair royi(cotton) rakh kar intizar kare. Haan! Agar iski aadat aisi hai ke Haiz ke dauran bhi us ka khoon kuch dair ke liye ruk jaata hai, jesa ke baaz aurton ke bare mein aisa kaha jaata hai to zaroori hai ke us miqdar se ziyada dair tak intizar kare us ke baad nikaal lay. Pas agar khoon khatam ho gaya ho to ghusl kare aur ibadaat baja laaye aur agar khoon band nah hua ho ya thora sa zard pani laga ho. Ps agar wo Haiz ki muyyin aadat nah rakhti ho ya uski aadat 10 din ki ho ya abhi uski aadat ke din tamam nah hue hon to use chahiye ke intizar kare aur agar 10 din se pehle khoon khatam ho jaye to ghusl kare aur agar 10 din ke khatme par khoon aana band ho ya 10 din ke baad bhi khoon aata rahe to daswen(10) din ke ikhtitaam par ghusl kare aur agar uski aadat 10 dino se kam ho aur wo jaanti ho ke 10 din khatam hone se pehle ya 10 din ke khaatme par khoon band ho jaye ga to wo ghusl nahin kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #496). [Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17229
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum, agar ramzan me sehri karte karte aaan ho jaye aur kuch Time upar ho jaye aur sehri kare to kya Yeh Roza ho jayega ? 5 10 mint aaan se upar ho jaye to ?

Answer: 1: Rozay daar ke liye zaroori hai ke Azaan e subh(fajr) se maghrib tak roze ko baatil karne waali chezoon se perhaiz kare. 2: Jab roze daar khana(food) khaa raha ho agar use maloom ho jaaye ke subah(fajr) ho gaye hai to zaroori hai ke jo luqma mooh (mouth) main ho use ugal day. Aur agar jaan boojh kar wo luqma nigal lay to us ka roza baatil ho jaaye ga aur kaffara bhi daina hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1554,1555,1630). [Updated on 19-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17235
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: جب غسل فرض ہو توکیا غسل کیے بغیر روزہ رکھا جاسکتا ہے ؟

Answer: 1: Ramzaan ke wajib roze ya us ki qaza karne men Ghusl janabat ,haiz ya ghusal nifaas kiye bager roza nahin rakh sakte balke jaan bhooj kar Azan e Subah tak halat e janabat par baqi rehne se roza batil ho jata hai. 2: Agar koi shakhs azan e subah tak ghusl na kare to zaroori hai ke us din mafi-u-zimmah ki niyat se roza rakhe (yani jo bhi Allah Taala ke nazdeek mere liye zimmedari hai us ko Allah Taala ke liye anjaam de raha hon), aur phir ramzaan ke baad isi roze ki qaza kare lekin is main qaza ki niyat na kare balke mafi-u-zimmah hi ki niyat kare, aur Azaan e Subah se pehle gusal e janabat na karne ki wajah se kaffara bhi ada kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1592,1630). [Updated on 21-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17253
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozay me ihtelam hojaye to nimaz aur tailwat ker sakta hai aur gusal pir aftari kernay k baad karay????

Answer: Agar rozedaar roza rakh kar din me kisi waqt so jaye aur use ehtilaam ho jaye to us ka roza baatil nahin hota. Aur quran ki chaar wajib sajde waali ayaton ke alawa baaqi quran ki tilawat bhi kar sakta hai lekin namaz aur is jesi ibadaton aur quran ke alfaaz aur allah taala ke naam ko choone ke liye ghusl e janabat karna wajib hai yani ghusl kiye bager namaz sahi nahin hogi aur quran ke alfaaz ko bhi choo nahin sakte. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #354,356,1571). [Updated on 25-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.o.A. SIR, Agar Rozay ki niyat rkhta ho ore Rat ko Ehtlam ho jaye ore us WaQt nahaye bgaira Roza rkha ja skta ha kia k Subah uth k naha lay ga..

Answer: Jee nahin, balke maah e ramazan main azaan subah se pehle ghusl e janabat karna laazmi or zaroori hai Q ke maah e ramazan ya main azaan subah tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subah se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1591,1625,1630). [Updated on 26-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17265
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can we clean ear in situation of ramadhan

Answer: Jee, Ramzan me kaan saaf kar sakte hain aur is roza baatil nahin hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553). [Updated on 27-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17273
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr rozy ky ly lat uthy to

Answer: Jo shakhs (mard, aurat) Ramadhan ke Rozon aur isi tarah wajib Rozon mein jin ke din muyyin hain, Rozay ki niyaat kiye baghair Azaan-e-subh se pehle so jaaye agar wo zuhr se pehle bedaar ho jaaye (to agar roze ko baatil karne wala maslan khana, peena wagera nah kiya ho) aur Rozay ki niyyat kar lay to us ka roza sahi hai aur agar wo zuhr ke bad bedaar ho to zaroori hai ke ehtiyaat karte hue qurbat-e-mutlaqa ki niyyat se baaqi din khud ko roza baatil karne waali cheezon se bachaaye aur is din ke roze ki Qaza bhi baja laaye. Note: khud roza rakhna wajib hai jabke roze main sehri karna wajib nahin balke mustahab hai aur bager sehri ke bhi roza ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1535). [Updated on 28-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17318
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Mai sure ni thi fajar time k Paak hu k nii to mainy sehri kr k nyat ki hai rozy ki lkn ghusal ni Kya to Kya subha 10 bjy ghusal kr k roza shuru kru or Kya is rozy ki phr qaza ho gee or ghusal haiz k lye haii

Answer: Jab tak paak hone ka yaqeen ya itminaan nah ho Roza nahin rakh sakien. aur agar yaqeen ho jaye ke paak ho gayei thein to Roza rakhne ke hawale se sharaei maslah ye hai Azaan e subh se pehle Ghusl kiye bager Roza nahin rakh saktein. Balke Ramazan ke rozon mein Aurat agar subh ki azaan se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaaye Aur jaan bhooj kar ghusl na kare ya us ka fareeza tayyamum karna ho aur wo tayyamum na kare to zaroori hai ke us din ke roze ko poora kare aur uski qaza bhi kare. Aur ramazan ke Rozay ki qaza mein agar jaan bhoojh ke ghusl ya tayyamum na kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo us din ka roza nahin rakh sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1608). [Updated on 06-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17324
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam I by mistake aftar my roza 4 minutes before time after realizing I stopped and perform qulli but taste of dates was in my mouth Afterwards I waited for actual time What’s shariat says about JazakAllah

Answer: Rozay ki hakat main galati se khana ya peenay rozay ko baatil nahin hota balke roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1554). [Updated on 07-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17329
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy ki halt m plaking kerwa sakty han ya nhi

Answer: Agar is se muraad Eyebrows set karwana ya banwana hai to jee han, Rozay ki halat me Eyebrows banwa sakte hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1553,1629). [Updated on 08-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!