Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 21438
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mera Q? ye h k meri ramzan k month me night shift h kam ki aj raat jb me sehri se ak ganta phle gr aya to me ate he so gya or pher zuher ki namaz k wqt utha to me ne sehri b nai ki to uthe he mene rozy ki niyat kr ki to is doraan kya mera roza jaiz h ya nai???or kya perfioums ya koi khusboo etc. lgane se roza toot jata h??????????

Answer:

Id: 22055
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: AoA, Meri Wife ney Nafley Rozey ki niyyat ki aur Chasht k waqt Haiz agya, too may na kha k Roza Toor doo aur kha pee loo, Is Rozey k barey main batey k kia dobara rakhna ho ga aur neyyat be bata dai, Nihaney k baad bhi us ney nafli rozey rakey hai kia ye us rozey k liyee qabool ho ga ya qaza rozey ki , aur aisi halat mai kana peena drust hai jaisa k Ramazan main mana hai

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 22453
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: asslam o aliekum mera sawal yeh k meray dada ji ki umer 100 saal se uper hai or wo ab buhat kamzor ho gaye hain bimar b rehtay hain.ab ramzan main wo rozay nai rakh saktay.kia unki jaga koi or rozay rakh sakta hai ya hum kisi maskeen ko hadiya de dein? aik rozay k hisab se hadiya kitna dena ho ga?? or kia unki ulaad main se b koi unke liay yeh rozay rakh sakta hai?? please reply me

Answer:

Id: 22470
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asalam wkum....... My Question is: Roze ka rakhna aur pora karna Quarn M ata hai k According to Quran "Khao aur Pio Yaha Tak k subha ki safeed dhari rat ki siya dhari se alag nazar aane lage phir roza rakh kar rat tak pora karo. . . . .Quran to bta raha hai k roza rat(Lail) tak pora karo nake maghrib tak yaha ye sb log to roze torh rahe hai nake pora kar rahe hai.....! ap kia jawab denge According to Quran....

Answer:

Id: 22519
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assala ailikum,janab mera masla Yeh hay k mera roza mein stomach mein gasses ka bohut shadeed derd utha aur mere zaban aur halq bilkul khusk ho gaie.aur poora jism dhanda per geya.vomiting bhe ho gaie .2 gante bardasht keya laikin Jub na qable bardasht ho geya to roza 11 baje say phele toor deya aur pani pee leya laikin poore din kuch khaya nahe.mein suger patient bhe hoon8.ab masla Yeh hay k KIA mujhe is roza ka qaza rukhne ho ga ya kaffara bhe ADA kurna ho ga.aur woh KIA ho ga .

Answer:

Id: 22538
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam-o-Alekum, Sir men Ramzan shuroo honay say din 3 pehlay yahan aya tha, abhi logon say jan pehchaan bhi nhi hui thi k Ramzaan shuroo hua. Men nay Shabaan k akhri din Ramzaan k rozay ki niyat say Sehri kr li Dopehr ko maloom hua k aaj to shabaan ka akhri din hay, men nay roza khol liya or aglay din say Ramzaan k rozay rakhna shuroo kr diye. Plz btaen k mujhy is rozay ka koi kaffara ada karna paray ga ? Or ek din mery sehri 2 minute late close hui. is k bary men bhi bata den. Shukar Guzaar hon ga.

Answer:

Id: 22594
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: agar ham kisi aisi aftaar party main invite hain jahan sab log ahle sunnat hain or wo10-12 minute pahalay roza aftaar kar laitay hain or sirf 1 shaks Jafri hai tu kia wo un kay sath zroza aftaar kar sakta hai ya 12 min intizaar karay or shia timing ko follow karay.

Answer:

Id: 22986
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: sir mera sawal ye ha ke mje pta to ha ke mani ke nikalne se roza tootjata ha.........lakin roze ke doran kisi lerki ko kiss kerne se mani ka aik katra nikal aya,,mje ye maloom nai tha ke mani nikal ae gi lerki ko kiss kerne se..per aik katra nikal aya..to is se roza toot geya yan na

Answer:

Id: 23542
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: A o a. main ak non musliam fimaly se taluk rakhta hun.main pakistan ka rekhne wala mujy islam mazahb buhat pasnd hai.inshALLAH main jhald daira e islam main hona chahta hun.mujy ye janna hai k main roze rakhta hun namaz sikh raha hu apne dost se. Main abi islam qabool ne kiya,kya mare rakhe howe roze fazol jarahy hain .kya ak n

Answer:

Id: 23703
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Mere husband ramzan k rozay nahee rakhtay.kehtay hein sar me dard hota hay jab k mere mutabik unko yeh dard bardasht kar k roza rakhna chahiye.na hi wo ehtram e ramzan kartay hein k chup k khaen bal k rozay dar k agay khatay peetay hein.me ne unko mana kiya hay k mujh se khana mangein. Kya yeh ghalat hay. Un ko kese ehsas ho k roza rakhna ehem hay. Unka poora kgadaan rozay ka ehtaram ni karta or bahano se rozay chorta hay.

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!