Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 17342
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alaiykum..Mera sawal ye Hai k Maine glti se azaan ki awaz ko shayran ki awaz sun kr Pani pi liya kya Mera Roza mana Jaye GA..

Answer: 1: Sehri ke ikhtitam karne ke waqt me meyaar azaan nahin hai balke jaisay hi insaan ko itminan ho jaye ke fajar tulu ho chuki hai, to usi waqt insaan par roza band kar dena wajib hai aur agar azaan se yeh itminan haasil nah ho raha ho to phir is maslay ka azaan se koi talluq nahin hai. 2: Agar insaan ko yeh yaqeen haasil ho jaye ke us ne haqiqatan fajar tulu hone ke baad khana khaya hai ya paani piya hai to is ki zimma daari hai ke is rozay ki qaza kare. Aur ehtiyat e wajib ki bina par maghrib tak mubtilaat e roza se bhi parhaiz kare. Haan, agar us ko sehri karte waqt fajar tulu ho jane ka yaqeen nah ho to us ka roza sahi hai. (Ref: Mujtahid se pooche gaye sawalat, part #roza, sawal #3,6,7). [Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17367
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agher roza rakh ker kl fajar ke baad buhaar ho jaye or 12 am se pehle roza toor dain to kia kerna chahiye........ Mere se aisa hua hai plz kuch bataye is bary mai

Answer: Agar bukhar itna shadeed ho gaya tha ke qaabil e bardasht na raha ho to roza torne ki soorat me ramzan ke bad sirf qaza karna zaroori hai aur kaffara wajib nahin hoga. Lekin agar qaabil e bardasht tha aur phir bhi roza tor diya tha to is soorat me ramzan ke bad qaza aur kaffara dono wajib hon gay. (Ref: https://www.sistani.org/arabic/qa/0564/ ). [Updated on 18-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Istehadah Mai roza rkh skty hain?

Answer: Jee han, Istehaza waali aurat ke ahkaam pe amal kar ke namaz aur rozay anjam dena zaroori hai (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #44, maslah #392,393,394). [Updated on 21-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17383
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: roza ma daliy routine ki dawai kha sakty han jo dr. na lazmi hidayat ki ha.fits ki

Answer: Khaane ya peene se roza baatil ho jata hai. Han injection aur drip lagwane se roza baatil nahin hota lehaza aap injection ya drip lagwa sakte hain, lekin dawai nahin khaa sakte. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, mafhoom e maslah #1554,1557). [Updated on 22-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17393
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Aalikum Mulana Sahib Mera swal ye h mra haiz khtm hogya mri neit thi roza rakhun gi or sahri mai naha lon gi lkin ankh ni kholi to kya roza hoga or din mai naha skti hn ab

Answer: 1: Agar koi aurat ramzaan me fajar ki azaan se pehlay haiz ya nifaas se paak ho jaaye to ghusl ke liye waqt na ho to us aurat ke fareeza ye hai ke use tayammum karna zaroori hai (jabke sehri karna zaroori nahin hai). jab tayammum kar lay gi to us ka roza sahi hoga. aur baad me ghusl kar lay. 2: Agar aurat ramzaan me fajar ki azaan se pehlay haiz ya nifaas se paak ho jaaye to fajar ki azaan se pehlay pehlay ghusl haiz ya nifaas kar lena zaroori hai (jabke sehri karna zaroori nahin hai) aur agar wo ghusl karne me kotaahi aur laparwahi kare aur fajar ki azaan tak ghusl na kare aur waqt tang hone ki soorat me tayammum bhi kare to zaroori hai is din ka roza poora kare aur qaza bhi kare. lekin agar kotaahi na kare to chahe wo teen dafa soye aur fajar ki azaan tak ghusl na kare aur tayammum karne me bhi kotaahi na kare to us ka roza sahi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1610,1611,1614). [Updated on 27-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17417
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir my iftar time to open roza has been delayed . Iftar time was 6:52 but I woke up around 7:19 . I reside alone and I was extremely tired and not realizing I was fasting . Are there any problems with it ?

Answer: Iftar ka waqt hote hi roza iftar karna wajib nahin hai balke agar jaan bhooj kar bhi der se roza iftar kare tab bhi koi haraj nahin. balke rozay daar ke liye mustahab hai ke rozay iftar karne se pehlay maghrib aur isha ki namaz parhay, lekin agar koi doosra shakhs us ka intzaar kar raha ho ya use itni bhook lagi ho ke huzoor-e-qalb ke sath namaz na parh sakta ho to behtar hai ke pehlay roza iftar kare, (bad me namaz parhay) lekin jahan tak mumkin ho namaz fazeelat ke waqt mein hi ada kare. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1720). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17442
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Slm agr Roza me nightfall hi gayee tu gusul ma hogayee kisi bo waja sy or wazo kry nmz kry kal per Roza raky bghr Gusul ke kya os tarha ho Sakta hy Plz Ansme

Answer: Agar rozay ke dauran yani ke din me maslan kisi waqt sote hue ihtilaam ho jaye to is se roza baatil nahin hota. lekin bager ghusl kiye sirf wuzu kar ke namaz parhne se namaz sahi nahin hoti, balke namaz ke liye ghusl karna zaroori hai. Aur kal ka roza rakhne ke liye bhi fajar se pehlay ghusl karna zaroori hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #356,1553,1571). [Updated on 15-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17453
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam alaikum, Mera sawal yeh hai ke kya fajr ki azan ke dauraan sehri jaari rakh sakte hain? Mtlb ke azan khatam hone tak? Jaise azaan horhi toh kya main khana khaa sakta hon azan band hone tak?

Answer: Ye yaqeen hasil karnay ke liye insan is tamaam waqt me wo rozay se reha hai zaroori hai ke kuch dair azan e subah se pehlay aur kuch dair maghrib ke baad bhi aisa kaam karnay se parhaiz karay jis se roza baatil ho jata hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1531). [Updated on 28-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17454
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam o alaikum. Mera sawal hai k agr koi rozy k bary main confirm soch le k roza rakhna hai lakin niyat nahi ki/parhi. Sath he shohar k sath mubashirat b kr le or fajar ki azan b guzar jaye is main kya hukam hai?

Answer: 1: Niyyat, zabaan ya dil se adaa karna zaroori nahin balke faqat iraada ho to ye kaafi hai. 2: Maah e ramazan main azaan subah se pehle ghusl e janabat karna laazmi or zaroori hai Q ke maah e ramazan ya main azaan subah tak janabat ki halat main raha jaye aur ghusl nah kiya jaye to ye roze ko baatil kar deta hai, lihaza zaroori hai ke azan subah se pehlay ghusl kiya jaye. Lekin agar jaan bojh kar azan subh tak ghusl nah kiya jaye to zaroori hai ke us din ka roza poora kiya jaye aur phir ramzan ke baad aik din aur roza rakha jaye aur pehla roza maa-fiz-zimma ki niyat se rakhna hai aur ramzan ke baad bhi jis din roza rakha jaye aur us main qaza ki niyat nah ki jaye. Is ke alawa kaffara bhi wajib hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1531,1591,1625,1630). [Updated on 22-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17455
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o alaikum shdeed piyaas me roza tor sakty hyn jo k bardashst nh ho rahi jy neend b nh arahi hy piyas ki shiddat se aik din pehle pani b thk se nh piya howa tha

Answer: Agar rozedar ko itni peyas lage ke use peyas se marjane ka khauf ho ya use nuqsan ka andesha ho ya itni sakhti uthani pare jo is ke liye na-qabil-e-bardasht ho to itna pani pi sakta hai ke in umoor ka khauf katam ho jaye balke agar mout aur is jaisi cheez ka khauf ho to pani peena wajib hai. lekin us ka roza baatil ho jaye ga aur agar ramzan ho to ehtiyat-e-lazim ki bina par zaroori hai ke is se ziyada pani na piye aur din ke baqi hissay me wo kaam karnay se parhaiz kare jis se roza batil ho jata hai. (Lekin ramzan ke bad agle ramzan se pehlay is roze ki qaza baja laani hogi warna is din ke roze ke liye aik mud {750 giram} taam(khana ) bhi faqeer ko day). Albatta Insan kamzori aur naqahat ki waja se roza nahin chor sakta lekin agar kamzori is had tak ho ke umooman bardasht na ho sake to phir roza chorne me koi haraj nahin. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1562,1564,1676). [Updated on 23-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!