Question: ROZA BATAL HO GANA OR TOOT GANA MA KEA FARK HA?
Answer: Roza batil ya toot janay main koe faraq nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: rozy may agar soty way janabat ho jaye to roza toot jata hai k nai ?
Answer: Ehtilaam se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 25-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aslam o alaikum agr rat ko ehtlam ho jaye to bnda subha uth k roza rakh skta h?
Answer: Agar ramzan k mahine main raat ko ehtilaam ho jaey tu fajr se pehle ghuls e janabat kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1591). Update on dated 25-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir agr rozay k doran kch pics ya videos dykhnay say pins say kch nikalta mehsos ho to roza tot jata ha...?
Answer: Agar mani k qatre hoon tu roza batil hay or agar mazi k qatre hoon tu roza batil nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jame,Edition# 1435,Mafhoom e Maslah #1974). Update on dated 28-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai gehri neend me tha aur sperm nikal gaya mai gaflat me tha kya is se roza toot jata mujhe plz jald bataiye mai bahut pareshan houn
Answer: Ehtilam se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 28-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalamu aalai kum kya transpent wala semen nikal ne se kya roza toot tha hai Kya, is halat me kya hum Namaz pad sakte hai kya ghusl wajib hai.
Answer: 1)Agar koe shaks mani nikalne k k irade se chairh charh or dil lagi kare laikin o ski mani nah nikle tu agar dobara roze ki niyat nah kare tu roza bati hay or agar dobara roze ki niyat ker le t ehtiyaat lazim ki bina per zarori hay k roze ko tamaam kare or o ski qaza bhi baja laey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1575). 2)Is ratubat ko mazi kaha jata hay or is halat main namaz bhi perhi jasakti hay or ghuls bhi wajib nahi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #70). Update on dated 27-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir me Roza ki halat me apni girl friend sa bt kr rha tha or jb utha tu or washrom me gya tu mere 2 drops nikal gae tha tu kya mera Roz Makrooh ho gya
Answer: Roze main ye makhrooh hay k mani nikaalne k qasd k baghair koe shehwat angaiz karaam kia jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629). Update on dated 27-06-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agr roze ki halat main zina ho jay to is ka kafara kesy adaa ho ga?
Answer: Agar roze daar ikhteyaar se jima kare tu os ka roza batil ho jata hay.or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffa ye hay k ya 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1567,1632). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sehri khatam hony k bad olti ajay to roza hoga?
Answer: Agar be-ikhteyaar ulti ho jaey tu roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1618). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sallam Mara sawal hai ager Mani ka test Dana hai us say roza toot jata hai plz jaldi answer dana
Answer: Roze main mani nikalne roza toot jata hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 01-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).