Question: I m medical student I wnt to ask kya female and male pateints k private part examine karny se roza makro hojata ?Hai?
Answer: Is se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 02-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai roza thi bt sehri k bd, nimaz k baad mjy boht pyas lagi ki mjy neend na aaye aur behoshi si mehsus hone lagi agr aisa lage tou kya ap roza toad sakhte hai ki nai?
Answer: Agar behoshi taari ho jaey or din main kisi waqt hosh aa jaey tu ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay is din ka roza tamaam kare or agar tamaam nah kare tu oski qaza baja laey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1539). Update on dated 05-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam... mai roze ki halat me hand practice kardy o sperm nikal gaya ...kia is se mere roza toot gya ???? agar roza toot gaya tu ab main kia karu koi islami hal bataye ...
Answer: Istimna(hand practice) se roza tut jata hay. or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffa ye hay k ya 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1569,1632). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam ... rozai ki halat mai may nai hand job krtai huai sperm nikala matlab pora kaam krdia ... kia mera roza toot gaya ? agar mera roza toot gya tu ab mai kia karu koi islami hal batain ...
Answer: Istimna(hand practice) se roza tut jata hay. or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffa ye hay k ya 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1569,1632). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir ager kisi tasweer ko dekhny ka bad peshab wali jaga sa qatra pani nikly to roza toot jai ga
Answer: Agar nikalne wali ratubat mani hay or ikhtiyaar se nikli hay tu roza batil hay or agar ratubat mazi hay tu is se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1570). Update on dated 04-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya roza rahete hue mai apne bibi s sex kar sakta hu?
Answer: Bivi se hambistari kerne se roza tut jata hay.agar roze daar mani nikaalne k irade k baghair apni bivi se cherh chaar or hansi mazaq kare or ose mani kharij nah hone ka itminaan nah ho tu is sorat main jab mani kharij hogi tu os ka roza batil ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1593,1604). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya nind me mani kharij hone ke bad jab goosal karte hai aur uske bad liquid nikata hai to kya roza batil ho jata hai ? please reply on email asap.
Answer: Jab roze daar ko ehtilaam ho jaey tu agar os ko ilm ho k paisab ki nali main mani baqi reh gae hay ab agar wo ghusl se pehle paishab nah kare or ghusl kare tu ghusl k baad mani nikal aey,tu ehtiyaat e wajib hay k ghusl se pehle paishab kare. Laikin phir bhi roza bati nahi hay. Agar ghusl k baad koe ratubat kharij ho jis k bare main ilm nah ho mani hay ya koe or ratubat tu wo mani ka hokum rakhti hay. Or is k baad ghusl kerna hoga. (Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1588). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-o-Alikum mra sawal ya ha k rozy ki haalt ma gusal kr skty hain.????
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kiya halat roza main khusal karna sahi hai jo wajib na hoo
Answer: jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 05-07-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: roze me mast zani karo tu kya roza tut jata ha.
Answer: Istimna(hand practice) se roza tut jata hay. or ramzan k baad is roze ki qaza or kaffara daina hoga. Or kaffa ye hay k ya 60 mukhtalif gharebb momineen ko pait bahr ker khana khilaen ya har aik ko 750 gram khana dain, ya 60 roze rakhain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1569,1632). Update on dated 08-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).