Question: Kya porn dekhne se roza tut jata h kya
Answer: 1)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k baghair ye kaam kare aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaey is ka roza sahi he.Albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaey ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1629,-1576). 2) Ehtiyat e wajib ki bina per fahash filmo aur tasweero ka dekhna haram he, agarchah shak aur lazzat k baghair dekha jaey. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # 463 , Pg # 254 , Eidition# 5). Update on dated 06-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kaya rozy ki halat mei pani mei guta laga sakte hai?
Answer: Pora sar pani main dibonay se roza batil nahi hota laikin ye shaded makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1590). Update on dated 17-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalam o walaikum roza k waqt girl friend ya kharab soch se peshab ki jagah se chikna pani nikal na roza tut jata hai
Answer: Mazi se roza batil nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 13-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam. main aap se ye pochna chahta hoon k kia istimna haram hay or is se roza toot jata hay?
Answer: ye haram hay or is se roza tot jata hay.
Question: salam agr roza toot jaye tu kia karay khaa pee sakty hn kia phir?
Answer: Agar koi ramzaan me din k waqt khuch kha le to ehtiyaate (wajib) ye hai k baqi pura din roza batil karne wali cheezo se ijtenaab kare laikin agar ijtenaab na kare to is per koi kaffara nahi hay. (Mujtahid se pochay gay sawalaat roza,pg:22,sawaal#13) . Update on dated 17-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kay rooze mey naak mey dawai (spray) dal saktey hain agr bhut zarorat hu.
Answer: Roze ki halat me naak me dawa daalna jab k ilm na ho k halaq tak pouche ghi makroh hai aur agar ilm ho k halaq tak pouche gi to is ka istemaal jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 35th edition, maslah # 1629). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam u Alaikum agar fajr k baad haiz ka ghusal kar k roza rakha to roza hoga?
Answer: Agar koi aurat subah ki azaan k baad haiz k khoon se paak ho jaay to is ka roza batil hai or agar Ramazan ke rozo mein Aurat subh se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaay aur jaan boojh ker ghusl na kare ya oska fariza tayamum karna ho aur wo tayammum nah kare to zaruri hai k os din k roze ko poora kare aur oski qaza bhi kare. Or agar Ramazan k qaza roze main agar jaan bhoojh k ghusl ya tayammum nah kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo os din ka roza nahi rakh sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1612,1608 ) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam u Alaikum fajr k baad haiz ka ghusal kar k roza rakh lya to kya roza hoga?
Answer: Agar koi aurat subah ki azaan k baad haiz k khoon se paak ho jaay to is ka roza batil hai or agar Ramazan ke rozo mein Aurat subh se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaay aur jaan boojh ker ghusl na kare ya oska fariza tayamum karna ho aur wo tayammum nah kare to zaruri hai k os din k roze ko poora kare aur oski qaza bhi kare. Or agar Ramazan k qaza roze main agar jaan bhoojh k ghusl ya tayammum nah kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo os din ka roza nahi rakh sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1612,1608 ) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mai ne rozze mai biwi k sath humbistri ki or jis ka kaffar 60 bando ko khana kehlana hai jab k mari itni istaat nai k 60 bando ko kehla sakoo kia koi or hal hai jis se kaffara ada ho jay 2 mah rozze b nai rakh Santa plzz tell me.
Answer: Agar koi sa bhi kaffara dena mumkin nah ho to baqdr-e-imkaan sadqa daina zaruri hai aur agar yeh mumkin na ho to tauba aur astaghfaar kare aur ehtayaat-e-waajib yeh hai ke jis waqt (kaffara daina ke ) qaabil ho jaay kaffara de. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1632). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Roze ki halat me din me sote waqt agar kuch waja se mazi nikal aae or muje khabar na pade to kya rpza tut jata hai?
Answer: Agar rozedaar ko neend me ahtelaam (mani kharij ho jaay) to is ka roza batil nahe hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1571). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).