Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9117
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assllamallekum mai jitna bar waju karta hun utni bar pani halk se niche jata hai to kya meri roja tut gayi pls jald bataieee...

Answer: Wuzu me mou me pani daalna (kulli karna) zarori nahi hay. Agar koi wuzu karte waqt kulli kare aur pani beikhteyaar mou me chele jaay to roza batil nahi hota . Agar kise shaks ko maloom ho k kulli karne se beikhteyaar ya bhool jane ki waja se pani is k halaq me chala ja.ay ga to zarori hai k kulli na kare aur is surat me agar kulli kare laikin pani halaq se na utre to ehteyaate wajib ki bina per roze ki qaza kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1659,1664). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9121
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia rozy ki halat mein sir sy juain (lice) nikal k marna jaiz hy?

Answer: Is se roze per koi faraq nahe perta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ). Update on dated 04-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9122
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya MaI ramadan ke roza rakh sakti hu priods ki halte me

Answer: Haiz ki halat main roza nahi rakha jasakta. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1612). Update on dated 28-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9124
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Meri halat bohat kharab hogayi aise laga k ulti ajaye gi tou me ne jaan k thooken pehnki phir ulti agai tou roza. T

Answer: Aap ka roza durust hay. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, ,Mafhoom e Maslah #1655). Update on dated13-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9128
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar gusal karte time brife karte samay galti se pani naak me janese kya roza Toot jata he ?

Answer: Agar galti se pani chala jaay to roza batil nahe hota. (Ref: Ayatullah khoe ,Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1584 ). Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9141
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rozy ke doran brus kia ja sakta he

Answer: Roze ki halat me tooth burush karna jaiz hai haan agar rozedaar toot burush mou se nikaale aur dobara mou me le jaay aur is ki tari nigal le to roza batil hai sewaey is surat k is ki tari luaab dehan me gol mil kar is tara khatam ho jaay k ise behroni tari na kaha jaay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553,1554). Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9142
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamualaikum mera dawal ye hai roze me ganda sochne se roza toot jata hai ya nahi

Answer: Is se roza nahe toota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1553). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9148
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam.....aaj subo roza rakh k namaz k baad ma soya tha. Mjy peeshab tez aaya tha par ma otha nai and ma apnay aaza ko bistar par ragarta rha par mera irada ye nai tha k ma muth maron. Achanak mani nikal ai. Kia roza batil hy?

Answer: Agar koi shaks mani kharij karne k irade se mush zani kare aur mani kharij ho jaay to is ka roza batil hoga aur is k zimme roze ki qaza aur kaffara jo k 2 mahene musalsal roze rakhna hai ya 60 masakeen ko khana khelana hai wajib hoga aur agar inzaal (mani kharij hone ) ki niyat se ye amal anjaam de magar mani kharij na ho to ise chaie k qurbat mutlaqa ki niyat se is din k roze ko mukammal kare aur baad me qaza bhi baja laae aur agar koi shaks ye amal anjaam de laikin is ka irada inzaal (mani kharij karna) na ho aur na is ki ye aadat thi k fouran mani kharij ho laikin srif inzaal (mani kharij hone ka) ahtemaal deta tha aur inzaal (mani kharij ho jaay) to is shaks per is din k roze ki qaza wajib hoghe kaffara wajib nahe hoga aur agar ise mukammal wusooq (itmenaan ) tha k mani kharij nahe hoghe laikin itefaqan mani kharij ho jaay to is surat me roze ki qaza bhi wajib nahe . (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 110 , pg # 90, eidition 5). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9149
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya pani nahatey hoey galty sey haluq sey neechy ik dum uter jayey to kya roza toot gya??? mery

Answer: Agar galty se pani halaq tak pouch jaay to is se roza batil hai. (Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #1584). Update on dated 14-07-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9151
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ki halat ma intercourse

Answer: Roze ko batil kardeta hai. (Ref: Ayatullah Khumeni,Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1569 ) Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!