Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9160
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa mujha aj sa pehla nahe pta tha k roza mai handpractice krne sa roza tut jata to kya meray rozy tuty ho gy ya nahe or in ka kafara kya ho ga?

Answer: Agar aap ko pukhta yaqeen ho k handpractice se roza batil nahe ho ga to aap per kaffara wajib nahe hai laikin qaza karna zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1630, 1631) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9161
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shoe polish sungny sy roza tut skta hy?

Answer: Nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553 ) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9477
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maine Ramadan ka qaza roza rakha or wazu karte waqat galti se pani mere halaq main chala gaya to roza tooth gaya

Answer: Nahi , aapka roza sahi hy. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1556). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9524
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam o Alaikum. Piles ki wajah se khoon nikaljane se roza makru ya tuth jaata hai kya

Answer: is say roza batil nahi hota or makhrooh bhi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzi hul masael, Mafhoom e Maslah #1553, 1629). Update on dated 24-10-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9948
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar pak hony bad ek qatra bh khoon ka ajye tu kya roza tot jta hai?

Answer: Agar roze k doran khoon e haiz aajaey tu roza batil hojata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1612). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9951
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Roza ki halat ma mushth zani sa roza par kya asar partha ha

Answer: Agar rozadaar Istimna ya mushtzani kare tu os ka roza batil ho jata hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1669). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9953
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: naswar rozay mai rakhna sy kia hota hai

Answer: Niswaar faqat monh main rakhne se roza batil nahi hota balkeh roza sirif os waqt toatay ga jab niswar ya os ka arq(rus) halaq se nechay chala jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1554). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9954
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA SIr Mera Question Yeah Hai kay Rozay mein Agar naswar rakhi jaye to kaya roza tot jata hai ya nahe..

Answer: Niswaar se roza os waqt toatay ga jab wo ya os ka arq(rus) halaq se nechay chala jaey. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1554). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9955
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar ak shaks roza rakh ka so jaya aor atlam ho jays to roza tot jata ha

Answer: Agar rozadaar roza rakh ker so jaey or din main ehtilam ho jaey tu os ka roza batil nahi hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #1571). Update on dated 20-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9961
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam aleikum. mera sawal yeh hai ki ramzan me fajr ki namaz parh ke sota hun sote mei mani nikal jaae to roza mana jaaega aur zusl kab jaawib hoga.

Answer: Roze ki halat main ehtilam hone se roza batil nahi hota, or namaz perhne k liay ghusl e janabat wajib hoga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 39th edition, maslah #356,1571). Update on dated 24-05-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!